Friday, April 8, 2016

EK MAZHAB KI TAQLEED KA RADD, AHNAAF KI GHAR KI GAWAAHI



Bismillahirrahmanirraheem



EK MAZHAB KI TAQLEED KA RADD, AHNAAF KI GHAR KI GAWAAHI



Kuch Dino Pehle Hamare Ek Muqallid Bhai Ne Ek Mazhab Ki Taqleed Ke Difaa Me Kuch Aimma Rh Ke Aqwal Pesh Kiye The Aur Un Aqwaal Par Amalpeera Bhi Ho Gaye Jabki Inke Maulana Mahmood Hasan Sahab Likhte Hain Ki “Siwaye Imam Aur Kisi Ke Qaul Se Hum Par Hujjat Qaayem Karna Ba’eed Az Aqal Hai ”


[[ E’zah Ul Adillah Safa 489 ]]


SCAN-1


 Ab Hamare Muqallid Bhai Batayen Ki Wo Is Baat Par Hain Ya Nahi ?
Agar Hain To Phir Wo Doosre Aimma Ke Aqwal Par Amal Nahi Kar Sakte Aur Agar Muqallid Nahi Hain To Ap Amal Karen


Jo Aqwal Ek Mazhab Ki Taqleed Ke Difaa Me Inhone Pesh Kiye Hain Insha Allah Ek Din Un Aqwalat Ka Bhi Jawab Diya Jayega


Ab Aaiye Inke Ghar Ki Gawahi Dekhte Hain


Maulana Muhammad Hussain Nelwi Hanafi Likhte Hain Ki ” Jab Imam Zahbi Rh Iski Tasheeh Kar Den To Qatayi Saheeh Ban Jayegi Jiska Munkir Kaafir Nahi To Kam Az Kam Faasiq Zaroor Hoga Q Ki Imam Zahbi Rh Ka Qaul Hujjat Hai


[[ Nida E Haq Safa 285 ]]

SCAN-2




Ab Dekhte Imam Zahbi Rh Kya Farmate Hain

Farmate Hain Ki
: مَا يَتَقَيَّدُ بِمَذْهَبٍ وَاحِدٍ إلَّا مَنْ هُوَ قَاصِرٌ فِي التَّمَكُّنِ مِنَ العِلْمِ، كَأَكْثَرِ عُلَمَاءِ زَمَانِنَا، أَوْ مَنْ هُوَ مُتَعَصِّبٌ،

Ek Mazhab Ki Itteba Ko Wahi Chunta Hai Jo Shaks Ilm Haasil Karne Ki Salahiyat Nahi Rakhta Jaise Waqt Ke Aksar Ulama Aur Jo Ahlul Hawa Hon (Yani Muta’assib Hon)
                         
[[ Siyar A’lamin Nubala Jild 14 Safa 491 ]]

Scan-3




Aur Saaheb E Fawateh Ur Rahmoot Basharah Musallam Us Suboot Likhte Hain Ki

إذا لا واجب إلأ ما أوجبه الله تعالىٰ والحكم له ولم يوجب على أحد أن يتمذهب بمذهب رجل من الأئمه

Amal Wahi Wajib Hai Jo Allah Ne Wajib Kiya Hai Aur Allah Ta’ala Ne Kisi Par Bhi Kisi Imam Ke Mazhab Ko Wajib Nahi Kiya

[[Fawateh Ur Rahmoot Basharah Musallam Us Suboot Jild 2 Safa 438 ]]
[[ Musallam Us Suboot Jild 2 Safa 355 ]]

Aur Agle Page Par Likhte Hain
 أجمع المحققون على منع العوام من تقليد الصحابه

Muhaqqiqeen Is Baat Par Jamaa Hain Ki Awaam Ko Sahaba Ki Bhi Taqleed Mana Hai

[[ Fawateh Ur Rahmoot Basharah Musallam Us Suboot Jild 2 Safa 439 ]]
[[ Musallam Us Suboot Jild 2 Safa 356 ]]

SCAN-4




ULEMAON KI TARAF RUJU KARNA TAQLEED NAHIN BAQAUL IMAM IBN E HAZIB AL NAHWI RH




IMAM IBN HAJIB AL NAHWI RH (646 H) Farmate Hain

” فالتقليد العمل بقول غيرك من غير حجة وليس الرجوع الى قوله صلى الله عليه وسلم والى الاجماع والعامى الى المفتى والقاضى الى العدول بتقليد لقيام الحجة ”


Ki Ittiba E Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam,Waqt Ke Fuqaha Ka Ijma, Jaahil Ka Mufti Se Poochna, Qaazi Ka Gawahon Ki Gawahi Ke Mutabiq Faisla Karna Taqleed Nahi


[[ Muntaha Al Wusool Wal Amal Min Ilm Al Usool Safa 163 ]]


Scan-5



Note>>> Oopar Bayan Kiye Hue Alfaz Par Gaur Karen Maslan Ek Aami Ne Apne Ulama Se Sawal Kiya Ki Mujhe Falan Falan Cheez Ka Jawab Quran Wa Hadees Se Den Aur Ulama Ne Usko Jawab Diya Ye Taqleed Nahi
                     
Khulasa E Kalam Ye Hai Ki Jiska Qaul Ya Fatwa Ki Koi Daleel Hi Na Ho Kitab O Sunnat Me Us Par Amal Ko Taqleed Kehte Hain Agar Daleel Hoti To Wo Taqleed Na Kehlata Maloom Ye Hua Ki Quran O Hadees Se Jiski Koi Daleel Na Ho Us Par Amal Karne Ko Taqleed Kehte Hain

Aur Aj Ke Daur Ke Muqallideen Ne Taqleed Ki Tareef Hi Badal Di Hai Inke Ulama Ne Likha Hai Ki Gair Nabi Ka Qaul Us Par Aitemad Kar Ke Beghair Husn O Zann Ke Manna Aur Ye Samajhna Ki Uske Paas Zaroor Koi Daleel Hogi Ispar Amal Ko Taqleed Kehte Hain Lehaza Muqallideen Se Guzarish Hai Ki Ye Tareef Kisi Aimma E Mutaqaddimeen Se Dikhaayen Warna Ye Tasleem Kar Len Ki Taqleed Use Kehte Hain Jiski Quran O Hadeees Se Koi Bhi Daleel Na Ho Phir Bhi Uspar Amal Kiya Jaye Q Ki Agar Daleel Hoti To Ye Taqleed Na Kahlata

Lehaza Ye Tasleem Kiye Beghair Koi Chara Nahi Hai Ki Gair Nabi Ka Qaul Jiski Koi Daleel Hi Nahi Quran O Hadees Me Phir Bhi Us Par Amal Kiya Jaaye Asal Me Yahi Taqleed Hai Aur Aj K Daur Ke Ulamane Jo Tareef Ayan Ki Hai Ki Gair Nabi Ke Qaul Par Aitemd Kar K Amal Karna Aur Ye Sochna Ki Zaroor Uske Pass Koi Daleel Hogi To Ye Baatil Hai Aisi Tareef Kisi Mutaqaddimeen Se Pesh Karen

Allah Tala Ham Sabko Haq Baat Kahne Aur Sunne Wa Uspar Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaaye……Aameeen



#AamirAdnan
#IslamicLeaks
#AhleHadithHaq