Tuesday, April 5, 2016

USOOL E MUQALLIDEEN AUR MUQALLIDEEN KA DHOKA



Bismillahirrahmanirraheem



ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH



USOOL E MUQALLIDEEN AUR MUQALLIDEEN KA DHOKA


Muqallid Aksar Chillate Rehte Hain Ki Hamara Usool Quran Hadees Ijma Qyaas Hai Haalanki Ye Ek Bahut Badaa Jhoot Hai Ye Usool Muqallid Ke Nahi Balki Mujtahid Ke Hain

Sa’ad Ud Din Mas’ood Bin Umar Taftazaani Likhte Hain Ki

وَالْأَدِلَّةُ الْأَرْبَعَةُ إنَّمَا يَتَوَصَّلُ بِهَا الْمُجْتَهِدُ لَا الْمُقَلِّدُ فَأَمَّا الْمُقَلِّدُ فَالدَّلِيلُ عِنْدَهُ قَوْلُ الْمُجْتَهِدِ فَالْمُقَلِّدُ يَقُولُ هَذَا الْحُكْمُ وَاقِعٌ عِنْدِي؛ لِأَنَّهُ أَدَّى إلَيْهِ رَأْيُ أَبِي حَنِيفَةَ – رَحِمَهُ اللَّهُ – وَكُلُّ مَا أَدَّى إلَيْهِ رَأْيُهُ فَهُوَ وَاقِعٌ عِنْدِي

Adilla E Arba’a (Quran,Hadees,Ijma,Qyaas,) Ka Ta’alluq Mujtahid Se Hai Na Ki Muqallid Se Kyon Ki Muqallid Ke Liye Daleel Mujtahid Ka Qaul Hai,Lehaza Muqallid Kahega Ki Ye Hukm Mere Nazdeeq Isliye Hai Kyon Ki Isme Abu Hanifa Rh Ki Ye Raaye Hai Aur Har Ek Mu’aamla Me Unki Jo Raaye Hai Meri Bhi Wahi Hai

[[ Sharah At Talweeh Alaa At Taozeeh Jild 1 Safa 21 ]]

Lehaza Muqallideen Se Guzarish Hai Ki Aaj Ke Baad Se Ye Usool Apne Oopar Chaspa Na Karen

SCAN




EK MAZHAB KI TAQLEED AUR IMAM TAAJ UD DEEN AS SUBKI RH

Allama Taaj Ud Deen As Subki Rh (771 H) Farmate Hain

وأما تعصبكم في فروع الدين وحملكم الناس على مذهب واحد فهو الذي لا يقبله الله منكم ولا يحملكم عليه إلا محض التعصب والتحاسد ولو أن الشافعي وأبا حنيفة ومالكا وأحمد أحياء يرزقون لشددوا النكير عليكم وتبرءوا منكم فيما تفعلون

Ki Furoo E Deen Ke Mu’aamle Me Tumhari Ye Ta’assub Parasti Aur Logo’n Ko Ek Mazhab Ko Pakadne Ki Targeeb Karna Ye Aisa Amal Hai Jise Allah Tumse Qubool Nahi Karega Aur Kuch Bhi Tumhe Targeeb Nahi Deta Siwaye Ta’assub Parasti Aur Jalan Ke. Agar Imam Malik Rh,Imam Abu Hanifa Rh,Imam Shafayi Rh,Imam Ahmad Rh Zindaa Hote To Ye Sab Bahut Buri Tarah Se Tumhari Tardeed Karte Aur Tah E Dil Se Iski Mazammat Karte Jo Tum Kar Rahe Ho

[[ Mu’eed Un Na’am Safa 76 ]]

SCAN







QAUL E NABWI KI TARAF RUJU KARNA TAQLEED NAHIN

Imam Abdullah Bin Ahmad Bin Qudaama Al Hambali Rh Farmate Hain

وهو فى عرف الفقهاء قبول قول الغير من غير حجة اخذا من هذاالمعنى فلا يسمى الاخذ بقول النبى صلى الله عليه وسلم والاجماع تقليدا


“Ki Ye (Taqleed) Arf E Fuqaha Me Ghair Ka Qaul Beghair Hujjat Ke Qubool Karna Hai Is Ma’na Ke Lihaaz Se Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Qaul Aur Ijmaa Tasleem Karna Taqleed Nahi Kehlata

[[ Rauzatun Naazir Wa Junnatul Manazir Safa 205]]


SCAN





Imam Ibn Hammam Hanafi Rh Farmate Hain

مَسْأَلَةُ التَّقْلِيدِ الْعَمَلُ بِقَوْلِ مَنْ لَيْسَ قَوْلُهُ إحْدَى الْحُجَ بِلَا حُجَّةٍ مِنْهَا فَلَيْسَ الرُّجُوعُ إلَى النَّبِيِّ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – وَالْإِجْمَاعُ مِنْهُ


Ki Taqleed Us Shaks Ke Qaul Par Beghair Daleel Ke Amal Ko Kehte Hain Jiska Qaul Dalail Me Se Nahi Hai,Pas Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Ijma Ki Taraf Ruju Taqleed Me Se Nahi Hai


[[ Tahreer Ibn Hammam Fi Ilm Ul Usool Jild 3 Safa 453]]


Iski Tashreeh Karte Hue Ibn Ameer Ul Hajjaj Hanafi Ne Likha Hai

مَسْأَلَةُ التَّقْلِيدِ الْعَمَلُ بِقَوْلِ مَنْ لَيْسَ قَوْلُهُ إحْدَى الْحُجَجِ) الْأَرْبَعِ الشَّرْعِيَّةِ (بِلَا حُجَّةٍ مِنْهَا فَلَيْسَ الرُّجُوعُ إلَى النَّبِيِّ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – وَالْإِجْمَاعُ مِنْهُ) أَيْ مِنْ التَّقْلِيدِ عَلَى هَذَا؛ لِأَنَّ كُلًّا مِنْهُمَا حُجَّةٌ شَرْعِيَّةٌ مِنْ الْحُجَجِ الْأَرْبَعِ، وَكَذَا لَيْسَ مِنْهُ عَلَى هَذَا عَمَلُ الْعَامِّيِّ بِقَوْلِ الْمُفْتِي وَعَمَلُ الْقَاضِي بِقَوْلِ الْعُدُولِ؛


Ki Taqleed Kisi Shaks Ke Qaul Par Beghair Daleel Ke Amal Karne Ko Kehte Hain Jo Adilla E Arba Me Se Na Ho Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Taraf Ruju Karna Taqleed Nahi Hai Isi Tarah Aami Ka Mufti Se Aur Qaazi Ka Gawahon Ki Gawahi Ke Mutabiq Faisla Karna Taqleed Nahi Hai


[[ At  Taqreer Wat Tahbeer Ala Tahbeer Fi Usool Ul Fiqh Jild 3 Safa 433] ]


Scan



Ab Muqallid Khud Hi Faisla Kar Len Aur Jo Taqleed Ki Tareef Badal Di Hai In Logo Ne Ki Apne Alim Par Aitemad Kar K Daleel Ka Mutalba Na Karna Ye Taqleed Hai To Baraye Maharbani Kisi Aimma E Mutaqaddimeen Se Saabit Kar Den Warna Ye Tasleem Kar Len Ki Taqleed Usko Kehte Hain Jiski Koi Daleel Hi Na Ho Quran O Hadees Se Phir Bhi Uspar Amal Kiya Jaye

Allah Tala Ham Sab Ko Haq Baat Lahne Aur Sunne Wa Us Par Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaaye……….Aameeen



#AamirAdnan
#IslamicLeaks