Bismillahirrahmanirraheem
RADD E TAQLEED AUR IMAM IBN E QAYYIM AL JAUZI RH
Imam Ibn Qayyim Al Jauzi Rh Farmate Hain
وَإِنَّمَا حَدَثَتْ هَذِهِ الْبِدْعَةُ فِي الْقَرْنِ الرَّابِعِ الْمَذْمُومِ عَلَى لِسَانِ رَسُولِ اللَّهِ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ -؛
Ki Aur Ye Bid’at To Chauthi Sadi Me Paida Hui Jiski Muzammat Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apni Zuban Se Farmayi Hai
[[ I’laam Ul Muaqqieen Jild 3 Safa 485 ]]
Scan-1
Imam Ibn Qayyim Rh Farmate Hain
وَالتَّقْلِيدُ فِي دِينِ اللَّهِ غَيْرُ صَحِيحٍ،
Ki Allah Ke Deen Me Taqleed Saheeh Nahi Hai
[[ I’laamul Muaqqieen Jild 3 Safa 464 ]]
Scan-2
Imam Ibn Qayyim Rh Farmate Hain
وَالْمُقَلِّدُ لَا يَعْرِفُ الْحَقَّ مِنْ الْبَاطِلِ،
Ki Muqallid Ko Haq Wa Baatil Me Tameez Karna Nahi Aata
[[ I’laam Ul Muaqqieen Jild 3 Safa 484 ]]
Scan-3
Imam Ibn Qayyim Rh Ne Imam Abu Umar Rh Aur Deegar Ashaab Rh Ka Qaul Naqal Karte Hue Kaha
أَجْمَعَ النَّاسُ عَلَى أَنَّ الْمُقَلِّدَ لَيْسَ مَعْدُودًا مِنْ أَهْلِ الْعِلْمِ، وَأَنَّ الْعِلْمَ مَعْرِفَةُ الْحَقِّ بِدَلِيلِهِ،
Ki Ahle Ilm Ka Ijma Hai Ki Muqallid Ilm Se Khali Hota Hai Aur Ilm Daleel Ki Marifat Ka Naam Hai
[[ I’laamul Muaqqieen Jild 2 Safa 11 ]]
Scan-4
TAREEF E TAQLEED
Saheb E Fawateh Ur Rahmoot Likhte Hain
(التقلید: العمل يقول الغير من غير حجة) متعلق بالعمل، والمراد بالحجة حجة من الحجج الأربع، والأ فقول المجتهد دليله و حجته (كأخذ العامي) من المجتهد (و) أخذ المجتهد من مثله فالرجوع إلى نبى عليه) و آله و اصحابه الصلاة والسلام او إلى الجماع ليس منه) فإنه رجوع إلى دليل (و كذا) رجوع العامي إلى المفتي والقاضي إلى العدول ليس هذا الرجوع نفسه تقليداََ وإن كان العمل بما أخذو بعده تقليداََ (لايجاب النص ذلك عليهما) فهو عمل بحجة لا يقول الخبر فقط (لكن العرف) دل (أن العامي مقلد للمجتهد) بالرجوع إليه (قال الامام) إمام الحرمين (وعليه معظم الأصوليين) و هو المشتهر المعتمد عليه۔
Ki Taqleed Ghair Ke Qaul Par Beghair Hujjat Ke Amal Ko Kehte Hain Ye Amal Se Muta’alliq Hai Aur Hujjat Se (Sharayi) Adilla E Arba Muraad Hain Warna Us (Aami) Ke Liye To Mujtahid Ka Qaul Daleel Aur Hujjat Hota Hai Jaise Aami Mujtahid Se Aur Mujtahid Doosre Mujtahid Se Le (Kar Amal Kare) Pas Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Ijmaa Ki Taraf Ruju Taqleed Me Se Nahi Hai Q Ki Ye Daleel Ki Taraf Ruju Hai Aur Isi Tarah Aami Ka Mufti Ki Taraf Aur Qaazi Ka Gawahon Ki Gawahi Par Faisla Taqleed Nahi Hai Agarcha Baad Waalo Ne Is Amal Ko Taqleed Qarar Diya Hai Lekin Is (Taqleed Na Karne Wale Amal) Ka Wujoob Daleel Se Sabit Hai Lehaza Ye Daleel Par Amal Hai Ghair Nabi Ke Qaul Par Amal Nahi Hai Lekin (Awaam) Ka Ye Arf Hai Ki Aami Mujtahid Ki Taraf Ruju Karne Ki Waja Se Uska Muqallid Hai. Imam Ul Harmain Ne Kaha Aam Ulama E Usool Is Par Hain (Ki Ye Taqleed Nahi Hai) Aur Ye Baat Qabil E Aitemad (Wa) Mash’hoor Hai
[[ Fawateh Ur Rahmoot Basharah Musallam Us Suboot Jild 2 Safa 432 ]]
Scan-5
Note>>> Oopar Bayan Kiye Hue Alfaz Par Gaur Karen Maslan Ek Aami Ne Apne Ulama Se Sawal Kiya Ki Mujhe Falan Falan Cheez Ka Jawab Quran Wa Hadees Se Den Aur Ulama Ne Usko Jawab Diya Ye Taqleed Nahi
Khulasa E Kalam Ye Hai Ki Jiska Qaul Ya Fatwa Ki Koi Daleel Hi Na Ho Kitab O Sunnat Me Us Par Amal Ko Taqleed Kehte Hain Agar Daleel Hoti To Wo Taqleed Na Kehlata Maloom Ye Hua Ki Quran O Hadees Se Jiski Koi Daleel Na Ho Us Par Amal Karne Ko Taqleed Kehte Hain
Aur Aj Ke Daur Ke Muqallideen Ne Taqleed Ki Tareef Hi Badal Di Hai Inke Ulama Ne Likha Hai Ki Gair Nabi Ka Qaul Us Par Aitemad Kar Ke Beghair Husn O Zann Ke Manna Aur Ye Samajhna Ki Uske Paas Zaroor Koi Daleel Hogi Ispar Amal Ko Taqleed Kehte Hain Lehaza Muqallideen Se Guzarish Hai Ki Ye Tareef Kisi Aimma E Mutaqaddimeen Se Dikhaayen Warna Ye Tasleem Kar Len Ki Taqleed Use Kehte Hain Jiski Quran O Hadeees Se Koi Bhi Daleel Na Ho Phir Bhi Uspar Amal Kiya Jaye Q Ki Agar Daleel Hoti To Ye Taqleed Na Kahlata
Lehaza Ye Tasleem Kiye Beghair Koi Chara Nahi Hai Ki Gair Nabi Ka Qaul Jiski Koi Daleel Hi Nahi Quran O Hadees Me Phir Bhi Us Par Amal Kiya Jaaye Asal Me Yahi Taqleed Hai Aur Aj K Daur Ke Ulamane Jo Tareef Ayan Ki Hai Ki Gair Nabi Ke Qaul Par Aitemd Kar K Amal Karna Aur Ye Sochna Ki Zaroor Uske Pass Koi Daleel Hogi To Ye Baatil Hai Aisi Tareef Kisi Mutaqaddimeen Se Pesh Karen
Allah Tala Ham Sabko Haq Baat Kahne Sunne Aur Uspar Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaayen…….. Aaameen
#AamirAdnan
#IslamicLeaks