Monday, April 16, 2012

taqleed se kya nuqsaan hota hai.!!!!

bismillahirrahmanirraheem





=====================

taqleed se kya nuqsaan hota hai.!!!!

=====================

PART-1

1

Mahemoodul Hasan Deobandi Farmate hain.

"Is (Imam Shafi) ka mazhab raajeh hai aur Haq wa insaaf ye hai ke is masle me (imam) shaafi ko tarjeeh haasil hai aur hum muqallid hai hum par hamare imam abu hanifa ra. ki taqleed waajib hai.

(At-Taqreer Tirmizi, Page 36)

gaur kare kis tarha haq wa insaaf ko chhor kar apne imam ki taqleed ko sine se lagya hai.





2

Husain Ahmed Madni Tandavi likhte hain ke "Ek waaqia pesh aaya ke ek martaba teen aalim (Hanfi, shaafi aur Hanbali) Milkar ek Maliki ke paas gaye aur poocha ke "tum Irsaal (haath chhor kar namaaz padhna) kiyun karte ho? Is ne jawaab diya ke Main Imam Malik ka muqallid hun daleel in se jaakar poocho AGAR MUJHE DALAIL MAALOOM HOTE TO TAQLEED KIYUN KARTA? to wo log saakit ho gaye.

(Taqreer Trimizi Urdu, Page no. 399, Matbooa, Kutub Khana Majeedya Multan)



3

Ahmed yaar khan nayeemi farmate hain. (ye bhi to hanfi mukallid hai isliye hawala diya)

"kiyun ki Hanfiyo ke dalaail ye rewaayaat nahi inki daleel sirf qaule imaam (imaam ka qaul) hai.

(Jaa-al-Haq, Jild 2, Page 9)

Note: ye nayeemi sahab mukallid bhi hain aur hanafi bhi hain isliye hawala diya gaya)





4.

shabbir ahmed usmani deobandi likhte hain:



"(tanbiyah) doodh churane ki muddat jo yahan do saal bayan hui baaitebar ghalib aur aksari aadat ke hai. imam abu hanifa ra. jo aksar muddat dhaai saal batate hain inke paas koi aur daleel hogi.jamhoor ke nazdik do hi saal hain wallah alam"

(tafsir usmani page 548, surah luqman: ayat 14, hashiya 10)

in hawalo ka khulasa ye hai ke AGAR HAQ apne mazhab ya imam ke khilaf bhi rahe to use radd kardenge.





PART-2

===========================================

===========================================

TAQLEED KI WAJA SE quran majeed ki aayat mubarika ko

pase pusht daal diya jata hai:

===========================================

=========================================== masla:

KARKHI HANAFI (taqlidi) kahte hain:

asal ye hai ke har ayat jo hamare sathiyo (fuqha hanaifya) ke khilaf hai ise mansookhiyar par mahmool ya marjoo samjha jayega, bahetar hai ke tatbeeq karte hue iski taweel kar li jaye"

usoole karkhi, p. 29,)





2.

TAQLEED KI WAJAS SE AHADEES SAHIHYA KO PAS-E-PUSH DAAL DIYA JATA HAI:

MASLAN:

karki likhte hain:

asal ye hai ke har hadees jo hamare saathiyon (fuqha hanafiya) ke qaul ke khilaf hai to ise mansookh ya is jaisi doosri riwayat ke muaariz samjha jayega phir dusri daleel di taraf ruku kiya jayega.



(usool karkhi p. 29, asal 30)





3.

yusuf bin moosa malti hanafi kahta hai.

jo shaks imam bukhari ki kitab (sahih bukhari) padhta hai wo zandeeq ho jata hai.

(shazrat zaheb j. 7, p. 40)



4.

taqleed shaksi ki waja se kai maqaamat par ijmaa ko radd kar diya jata hai.



KHAIRUL QURUN ME IS BAAT PAR IJMA HAI KE TAQLEED SHAKSI NAJAYAZ HAI.

(ALNABZAT ALKAFIYA P. 71,)

LEKIN MUQALLIDIN TAQLEED KA RAAG ALAPTE HAIN:





5

taqleed ki waja se salf salihin ki gawahion aur tehqiqaat ko radd karke baaz auqaat ailaniya inki tauheen bhi ki jaati hai

maslan

hanfi taqlidion ki kitab usool shaashi me sayada abu huraira rz ko ijtihaad aur fatwa ke darje se bahar nikal kar ailan kiya gya hai.

"aur isi (usool) par hamare saathiyon ne (saydna) abu huraira rz ki riwayat ko tark kar diya hai.

(usool shashi ma'a ahsan alhawashi p. 75)





6.

EK HANAFI TAQLIDI NAUJAWAN NE SADIYON PAHLE BUGHDAD KI JAMA MASJID ME KAHA THA:

abu huraira ki hadees qaabil-e-qabul nahi hai.

(seera alaam nabla, j. 2, page 619, majmua fatawa ibn taimiya j. 4, p. 538, haiwatul haiwan lidmiri j. 1, page 399)





7.

taqlidi ki waja se aal-e-taqleed samajhte hain ke quran majeed ki do aayaton me tarruz waaqe ho sakta hai.

maslan:

mulla jeewan hanfi likhta hai.

"kyunki agar do ayaton me ta'arruz hojaye to dono saaqit ho jati hai.

(noorul anwar ma'a qamarul aqmaar p. 193)

NOTE: HAALANKI QURAN MAJEED KI AYAAT ME KOI TA'ARRUZ SIRE SE MAUJUD NAHI HAI AUR NA QURAN WA AHADEES SAHIHYA KE DARMIYAN KISI KISM KA TA'ARRUZ HAI. alhamdulillah.





8.

TAQLEED KI WAJA SE AALE TAQLEED NE APNE TAQLEEDI BHAYION PAR FATWE TAK LAGA DIYA.

MASLAN:



i

MOHAMMED BIN MUSA ALBALA SAAGUNI HANFI SE MARWI HAI KE ISNE KAHA:



AGAR MERE PAAS IKHTIYAR HOTA TO MAIN SHAAFIYON SE (INHE KAFIR SAMAJH AKR) JIZIYA LETA.

(MEEzan aitedal zehbi j. 4, page 52)



ii)

hanafiyon ke ek imam safkar dari ne kaha:

Hanfi ko nahi chahiye ke wo apni beti ka nikah kisi shafi mazhab wale se kare lekin wo is (shafai) ki ladki se nikah kar sakta hai.

(fatawa bazaziya ala hamish fatawa alamgiriya j. 2, page 112)



yani shafi mazhab wale (hanfiyon ke nazdik) ahle kitab (yahud nasara) ke hukm me hai.

(albahrur raaiq j. 2, page 46)





9.

TAQLEED HI KI WAJA SE HANAFIYON AUR SHAFIYON NE EK DOOSRE SE KHOON-REZ JUNGEIN (LADAAI) LADI. EK DUSRE KO QATAL KIYA, DUKANE LUTEI AUR MOHALLE JALAYE.

TAFSEEL

YAQOOT ALHAMWI, 623 HIJ. KI MU'AJJAMUL BALDAN

J. 1, PAGE 209, ASBAHAAN, J. 3, PAGE 117,

SEE, TARIKH IBN ASEER (ALKAMIL J. 9, P. 92)



10.

i

taqleed hi ki waja se aadmi haq wa insaaf aur daleel nahi manta balke apne mazoom imam ki andha dhund be daleel pairwi me laga rahta hai.



EK SAHAB NE EK HADIS KO QAWI (YANI SAHIH) TASLEEM KARKE, ISKE JAWAB ME 14 SAAL LAGA DIYE.

(ALURF SHAZI, J. 1, PAGE 107)



ii)

mehmoodul hasan deobandi kahte hain:



"haq wa insaaf ye hai ke is masle me (imam) shafai ko tarjeeh haasil hai aur hum muqallid hain hum par hamare imam abu hanifa ki taqleed wajib hai.

(taqreer tirmizi p. 36, din me taqlid ka masla p. 24)



iii)

Ahmed yar nayeemi barelwi hanfi mukallid likhte hain:

"kyunki hanafiyon ke dalaail ye riwayatin nahi inke dalil sirf qaule imam hai...."

(ja'aul haq. j. 2, pa. 9, deen me taqlid ka masla 26)



11.



TAQLEED SHAKSI KI WAJA SE GHAALI MUQALLIDIN NE BAITULAH ME 4 MUSALLE BANA DALE THE.

jinke bare me rashid ahmed ganguhi sahab farmete hain:



albatta chaar musalla jo makka mu'azzama me muqarrar kiye hain laraib ye amar zabu hai ke takrar jama'at wa iftiraaq is se laazim aagaya ke EK JAMAT HONE ME DUSRE MAZHAB KI JAMAT BAITHI RAHTI AUR SHARIK JAMAT NAHI HOTI AUR MURTAKIB HURMAT HOTE HAIN:

(taleefat rasheediya p. 517)