Bismillahirrahmanirraheem
NEMAT-E-TAWHEED PAR KHUSHI AUR ISKE NA HONE KA KHAUFF:
Jis waqt aapko meri zikr kardah baat ka qalbi irfaan haasil ho gaya, aur us SHIRK billah ka pata chal gaya, jiske baare me allah taala ne farmaya hai:
" beshak allah ye maaf na karega ke uske saath shareeq kiya jaaye aur uske elaawah wah jise chaahe bakhs dega "
(surah nisa 48)
aur aap allah ke us deen ko pahchaan gaye jo awwal ta aakhir tamaam rasoolon ka deen raha aur jiske siwa allah aur deen pasand nahi karega, aur jab us deen se jihaalat ke sabab aksar logon ke haalat aapne dekh li, toh usse aap ko do faayede haasil honge
1- PAHLA FAAYEDA:
iska pahla faayeda ye hoga ke allah ke fazl aur uski rahmat (aqeeda e tawheed ke apnaane) par khushi haasil hogi, jaisa ke allah taala ka irshaad hai
" kah dijiye ke allah ke fazl aur rahmat par khush ho jaayen, ye unki jama punji se badarja bahtar hai"
(surah yunus 87)
DUSRA FAAYEDA:
iska dusra faayedah ye hoga ke kufr wa shirk ke artikaab ka bahut zyaada khauff dil me baith jaayega,
bila'shubah jab aap jaan gaye ke insaan apni zabaan se nikli hui kisi baat se kaafir ho jaata hai, agarchah wah na'daanishtah taur par wah baat karta hai,
aisi baat karte hue wah is khaam khayaali me mubtila hota hai ke ye use allah ka muqarrab bana degi, jaisa ke kuffar karte they,
bil'khusoos agar allah aapko wah waqeya zahen nasheen kara de jo qaum e moosa (as) ke ilm aur salaahiyat aur neki ke ba'wajood unke mutaalliq bayaan kiya gaya hai ke wah ye kahte hue hz moosa (as) ke paas aaye:
" hamare liye bhi in mushrikeen ke buton ke tarah ek mujassam maabood muqarrar kar den"
(surah aaraaf 138)
unka ye waqeya aap me aise anjaam tak pahunchaane waale kufr wa shirk ke artekaab ke khauff aur anjaam se bachaane waali tawheed ki hifaazat ke jazbe ko bahut zayadah kar de ga,
HUKUMAT-E-ILAAHI:
yahan is baat ko zahen nasheen kar len ke bila'shubah ye bhi hukumat e ilaahi hai ke usne is TAWHEED E WAHYAT ka daaiee koi aisa NABI nahi bheja jiske bahut se dushman na banaaye hon, jaisa ke farmaan e ilaahi hai
" aur isi tarah ham ne nabi ke liye jinno aur insaano se shaitaan shifat dushman banaaye, jo ek dusre ke dil me dhokah wa fareb kaari ke liye malmua ki hui baatein daalte rahte they"
(surah anaam 112)
aur tawheed ke dushmanon ke paas bahut zayadah uloom , kitaabein aur dalail wa baraheen bhi ho sakte hain. Jaisa ke irshaad e rabbani hai
" gharz jab unke paighambar unke paas khuli daleel lekar aaye toh wah log apne us ilm par bade naazaa'n hue jo unko haasil tha"
(surah ghaffir 82)
FAREEZA TALEEM E KITAAB WA SUNNAT:
Jab aapko ye malum ho gaya balke yaqeen aa gaya ke allah ke deen (seeraat e mustaqeem) par chalne ke liye us raah par baithe hue ahle ilm ke Dalail, dushman e deen se saamna huwa karta hai, toh aapka farz hai ke taalimaat e nabwi se wabasta ho jaayen, taake un shyaateen ka muqaabla kar saken jinke qaid aur sarghane iblees laeen ne ra bb e zul zallal se kaha tha:
" main (unhe gumraah karne ke liye) teri seedhi raah par baithoonga, phir unke paas unke aage se, peeche se, daayen taraf se, aur baayen jaanib se aaunga, aur tu unme se aksariyat ko shukr karne waale nahi paayega"
(surah aaraaf 16, 17)
lekin jab aapne allah ki taraf ruju kar liya, uske dalail wa baraaheen ki taraf mutawajjoh ho gaye toh phir koi khauff wa khatrah aur fikr wa gham na karen, kyonke qur'an wa hadith ke saamne hasab e irshad e ilaahi hai
" shaitaan ki chaalein badi kamzor wa be'buniyaad hoti hain "
(surah nisa 74)
ahle tawheed me se sirf ek aadmi bhi un mushrikeen ke hazaaron ahle ilm par ghaalib aa jaayega, jaisa ke allah ka irshaad hai
" yaqinan hamaare (mukhlis bandon ke) lashkar hi un par ghaalib hain"
(surah suffaat 173)
bila'shubah allah ke bande jis tarah daleel wa zabaan se un par faayeq hote hain usi tarah hi shamsheer wa barchhe se bhi ghaalib rahte hain,
aur khatrah us muwahhid ke liye hai jo raah e tawheed par chale, magar ilm ke aslaha se nihatta ho,
ham par toh allah taala ne apni kitaab naazil farma kar bahut bada ahsaan kiya hai, jiske baare me khud allah taala ne farmaya hai
" is me har baat ki wazaahat hai, aur musalmaano ke liye zariya e hidayat aur ba'as e rahmat wa bashaarat hai "
(surah nahal 89)
ahle baatil koi bhi daleel hujjat pesh karen, qur'aan paak me uske tod ka saamaan maujood hai, chunanche allah ne farmaya:
" wah koi baat bhi laayen ham aapko haq baat pahuncha dete hain, aur bahut accha khol kar bayaan kar dete hain"
ALLAH HAMEN HAQ BAAT SAMJHNE KI TAWFEEQ DE...... AMEEN