Bismillahirrahmanirraheem
DAWAAT E BAATIL AUR DAWAAT E HAQ KE DARMIYAAN FARQ:
Har jamaat apne maslak ko ' kitab wa sunnat ' ka daee hone ka daawa karti hain, lekin unke darmiyaan bahut si cheezon me kai tarah ka farq hai,
unme sabse aham farq ye hain:
1- dawat e haq wah hai jo faham salaf us saleh ke mutaabik kitab wa sunnat se judi hoti hain, uske khilaaf dusri daawatein un logon ki faham ke saath wa'basta wa talluq rakhti hain jo unki daawaton wa tahreekon ke baani(founder) hote hain,
iske bawajood ye dawatein wa jaamaatein ya unke baani ye daawa karte hain ke wah kitab wa sunnat ke muttabe hain, jaise ashriyah, abul hasan ash'ari ke manne waale unke faham par apni saari imaarat khadi karte hai, barelwiyyah, deobandiyyah etc.
Tableeghi jamaat apne baani muhammad iliyas ki faham ko sanad maanti hai,
ikhwaniyah wa qutubiyah apni tamaam shakhon samet apne baanion hassan ul banna, sayyed qutub Wagerah ki faham se chimti hui hai,
2- dawat e haq waalon ka ye dastoor hota hai ke har zamaane me wah daawat " SALAFIYAH " ke imaamon ko apne ilm ka makhaz banaate hain,
lekin daawat e baatila waalon ka haal iske bilkul khilaaf hai, ye log har zindah wa murdah aimma salaf ke dushman aur poore mukhaalif hote hain,
agarcheh zaahiri taur par aimma e salaf ke muttabe hone ka daawa karte rahte hain
3- daawat e haq waalon ki shaan ye hoti hai ke wah salafi kitaabon ko padhte hain, hifz karne, samjhne aur unki tahqeeq wa ishaa'at aur difa ka ahtimaam karte hain,
unke bar'khilaaf dawat e baatila waale salafi kitaabon se bughz rahkte hain, balke unki ishaat k mukhaalifat karte hain,
saath hi apne pairokaaron ko apni jamaaton ke baaniyon ki kitaabon se talluq rakhne ki taaqeed wa koshish karte hain
SALAF KI TAREEF:
Ab raha ye sawaal ki salaf kaun hain aur unki kitaben kya hain ?
Iska jawab ye hai ke
Sahaba kiram (ra), tabeein (rh), taba tabeein (rh) hain, ummat ke yahi bahtareen log hamaare SALAF hain, aur jo log unke tareeqe par chalte hain wa SALAFI hain
rahin salaf ki kitaabon to wah bahut hain, unme se kuch ye hain:
1- musnad ahmad, sahih bukhaari, sahih muslim, sunnan arba, tafseer ibn jareer tabri, tafseer al baghwi, tafseer ibn kathir , raddul imam al darimi ala basheerul mareeshi, khalaq af'aal abaad ul bukhari, raddul imam ahmad ali jaheemiyah, shariatul azri, tawheed (khazimiyah), as sunnah (imam ahmad bin hambal) etc etc..
Bila'shubah tamaam kitaben aur unke shargird ibn qayyim (rh) ki kitaaben, isi taraf aimma dawat e najdiyah salafiyah ki kitaabein jaise, at tawheed (muhammad bin abdul wahhab)...
Ab asal mauzu par aane ki ijaazat chahta hun
TABLEEGHI JAMAAT KI USOOL:
Tableeghi jamaat ka apna ek manhaj hai, jis par wah chalti hai, aur uske 6 usool hain, jo is tarah hain
1- qalima e taiyyaba ( la ilaaha illallah muhammadur rasoollullah) ki tahqeeq wa tajdeed
2- khusu wa khuzu waali namaz
3- ilm mae zikr
4- musalmano ki izzat karna
5- niyyat ki durustgi aur ikhlaas
6- allah ke raaste me nikalna (chille ke liye ghar se nikalna)
azeez bhaiyyon ! In usoolon par khaas tawajjoh dete hue inme ghaur karo aur har usool (qayeda) ke maane ko acchi tarah samjho, phir hamaare saath aao, taake in usoolon me se baaz ke mutaalliq aapko bataayen ke ye log in usoolon se kiya muraad lete hain ?
Phir dekhen ke ye log in usool ke faham wa tatbeeq aur unki taraf dawat dene me salaf ke tareeqe par hain ya nahin ??
TABLEEGHI MANHAJ KA 'CODE'
Ye baat jaanna zaroori hai ke is usoolon ke saath tableeghi jamaat ka ek ' secret code ' bhi shaamil rahta hai,
pahle isko samjhna zaroori hai, jab hi tableeghi jamaat ke tamaam aqwaal wa faa'aal ka samjhna aasaan hoga,
allah taala ham sabko Har khair ki taufeeq bakhsne aur har buraayi se mahfooz rakhe...
' code ' ye hai ke :-" jo cheez, chaahe haq hi ho, do shakhson ke darmiyaan nafrat wa farqat ya ikhtelaaf ka sabab bane wah jamaat ke manhaj se khaarij aur bilkul kamtar cheez hai "
bhaiyyon ! Is ' secret code ' par baar baar nazar daudaayen aur isko acchi tarah samjh kar zahen me bitha len, kyonki yah tableeghi manhaj ki wah buniyaad hai jispar iske usoolon ki saari imaarat khadi hui hai,
' secret code' ko samjhne ke baad tableeghi usool ka pahla usool
QALIMA E TAIYYAB (LA ILAHA ILALLAH MUHAMADDUR RASOOLULLAH(SWS) ke mutaalik bahes shuru ki jaati hai, ise samjne ke liye zaroori hai ki pahle tawheed ko samjh liya jaaye
YAH BAAT KO SAABIT HAI AUR SAAF HAI KI ALLAH TAALA MAUJOOD HAI AUR ARSH PAR HAI, IS BAAT PAR SAB MUSALMAANO KA IMAAN HAI,
LEKIN ISKE BAWAJOOD YAH HAQIQAT HAI KI ALLAH KE IMAAN KE TAKAAZON SE MUSALMAANO KI BADI TADAAT ISSE WAAQIF NAHI HAI,
ISLIYE WAH TAWHEED KI HAQIQAT,USKI QISMEIN AUR JARURATON SE GHAFIL AUR MUSHKIRAANA AQIDON KA SHIKAAR HAIN,
ISLIYE ZAROORI HAI KI PAHLE ALLAH PAR IMAAN RAKHNE KA MATLAB AUR USKI ZAROORATON KO SAMJHA JAAYE, TAAKI TAWHEED KI SAHI HAQIQAT SAMAJH ME AA JAAYE
ALLAH KE MANNE KE MATLAB YAH HAI KI YAH AQEEDA RAKHA JAAYE KI ALLAH HAR CHEEZ KA RAB AUR MAALIK HAI, WAHI HAR CHEEZ KA KHAALIK AUR APNI MAKHLOOK KA MAALIK AUR PAALNE WAALA HAI,
WAHI IS BAAT KA HAQDAAR HAI KI USKI IBADAT KI JAAYE AUR USME KISI KO SHAREEK NA KIYA JAAYE,
NAMAZ,ROZA,DUA WA MAAFI ,DARR ,UMMEED ,SAB USI KA HAQ HAI NA KISI KE LIYE NAMAZ PADHI JAAYE,NA ROZA RAKHA JAAYE, NA KISI TAREEQE SE KISI KA DARR RAKHA JAAYE(ALLAH KE ELAWA), NA DUSRE SE UMMEED RAKHI JAAYE,! USI KE SAAMNE JHUKA(SAJDA) JAAYE AUR ALLAH HI SE MADAD(DUA) MAANGI JAAYE , ALLAH KE ELAWA KOI AISI JAAT NAHI KI JISKE SAAMNE JHUKA AUR BANDAGI KI JAAYE, ALLAH HAR TARAH KI KHOOBIYON KA MAALIK HAI
IS TARAH SE ALLAH KE MAANNE ME TAWHEED KI TEENON QISMEIN AA JAATI HAIN
1-TAWHEED-E-RUBUWIYYA
2-TAWHEED-E-ULUHIYYA
3-TAWHEED-UL-WAHYAT
TAWHEED-E-RUBUWIYYA:
ISKA MATLAB, IS AQIDE PAR YAKEEN RAKHNA HAI KI ALLAH TAALA HI HAR CHEEZ KA MAALIK HAI, USKE SIWA KOI MAALIK NAHI,
RAB KA MATLAB HAI: MAALIK, WAH APNI MAKHLOOK KA MAALIK AUR PAALNE WAALA HAI,
ISKA MATLAB HOGA UNHE(MAKHLOOQ) PAIDA KARNE WAALA BHI WAHI AKELA HAI AUR MAALIK BHI WAHI HAI AUR UNKE TAMAM KAMON KI TADBEER BHI SIRF AUR SIRF ALLAH HI KE HAATHON ME HAI,
TAWHEED E RUBUWIYYA KA MATLAB HOGA KI YAH IQRAAR KIYA JAAYE KI WAHI MAKHLOOK KA KHAALIK WA MAALIK HAI, WAHI USKO PAIDA KARNE WAALA AUR JILAANE WAALA HAI, AUR MUSIBAT KE WAQT WAHI DUAON KA SUNNE WAALA AUR MADAD KARNE WAALA HAI, WAHI DENE AUR ROKHNE WAALA HAI, SAARI QAAYNAAT USKI MAKHLOOQ HAI, AUR USI KA HUKM USME CHALTA HAI,
"KHABARDAAR! PAIDAISH BHI USI KA KAAM HAI AUR HUKM BHI USI KA CHALTA HAI, BADA BARKAT WAALA HAI WAH ALLAH, JO MAALIK HAI POORE SANSAAR KA "
(AL-ARAAF 154)
QUR'AN ME TAMAAM BAATON KO BADI SAFAAI SE BAYAAN KI GAYA HAI, KYONKI YAH TAWHEED-E-RUBUWIYYA HI TAWHEED KI DUSRI QISMON KE LIYE BHI BUNIYAAD WA AADHAR(BASE) HAI, JAB YE SACH(TRUE) HAI KI ALLAH HI QAAYNAAT KA KHAALIK WA MAALIK HAI AUR QAAYNAAT KA POORA DAROMADAAR BHI USI KE HAATH ME HAI TO IS BAAT KA HAQDAAR BHI WAHI HAI, DARNE AUR KAANPNE KA IZHAAR BHI USI KE SAAMNE KIYA JAANA CHAHIYE, WAHI SAARI TAREEFEIN WA SHUKR KA HAQDAAR HAI AUR DUA WA MAAFI KE LAYAK HAI,
ISLIYE KI YE SAB BAATEIN USI KE LIYE HI SAHI HAIN,JO HAR CHEEZ KA MAALIK HAI
IN KHOOBIYON SE MAHROOM MAALIK(GHAIRULLAH) APNE BANDON KA ILM NAHI RAKH SAKTA AUR JO BANDON SE BAKHABAR NA HO, WAH UNKI HIFAAZAT KA KAAM KAISE ANJAAM DE SAKTA HAI?
AUR JO APNI MAKHLOOQ KI HIFAAZAT NA KAR SAKTA HO, WAH PAALNE WAALA KAISE HO SAKTA HAI?
JO LOG IS BAAT KA IQRAR KAREN KI KAAYNAAT KA KHALIQ AUR MAALIK ALLAH HI HAI(MATLAB TAWHEED E RUBUWIYYA KO TO MAANE)
LEKIN IBADAT ME WO ALLAH KE SAATH KISI DUSRE KO SHARIK KARE(MATLAB TAWHEED E ULUHIYYA KO TASLEEM NA KARE) ISI TARAH ALLAH KI KHOOBIYON KA INKAAR KARE,
YA BANDON KI KHOOBIYON KE SAATH MILA DE
YA UNKI BEKAAR,DAEF DALEEL DE(MATLAB TAWHEED NAAB WA KHOOBIYON KA INKAAR KARE)
TO USKA SAAF MATLAB HAI USNE TAWHEED KO NAHI MAANA JO UNHE KUFR SE NIKAAL KAR IMAAN ME LE AAYE,
JABKI KUFFAR E MAKKAH IKRAR KARTE THE KI HAR CHEEZ KA KHALIK ALLAH HAI, ISKE BAWAJOOD ALLAH NE UNHE MUSHRIK KAHA, KYON?
ISLIYE UNHONE MAANA KI RABB EK HI HAI, LEKIN YE NAHI MAANA KI SHAASHAK(RULER) BHI EK HI HAI, AUR IS WAJAH SE UNHONE GHAIRON KO BHI IBADAT ME SHAREEQ KIYA,
ISI TARAH UNHONE NAAMO WA KHOOBIYON ME BHI ALLAH KO EK NAHI MAANA AUR USKI KHOOBIYON KA INKAAR KIYA YA USKI KHOOBIYAN KO LOGON(PEER,BABA) ME TASLEEM KIYA
ALLAH TAALA NE UNKE BAARE ME FARMAYA:"ALLAH KO MANNE WAALE AKSAR MUSHRIQ HAIN"
(YOUSUF 12, 106)
MATLAB UNHONE YE TO MAANA KI UNKA KHALIK, RAAZIQ AUR ZINDGI AUR MAUT DENE WAALA ALLAH HAI, LEKIN IBADAT GAIRON KI BHI KARTE RAHE,
ISLIYE WO APNE ADHURE(HALF) IMAAN KE WAJAH SE IMAAN BILLAH KE BAWAJOOD MUSHRIQ HI RAHE,
ISSE MALUM HUA KI MUSALMAAN HONE KI LIYE ZAROORI HAI KI TAWHEED-E-RUBUWIYYA KE SAATH TAWHEED-E-ULUHIYYA AUR TAWHEED ASMA WA SIFAAT PAR BHI IMAAN RAKHA JAAYE,
ISKE BEGAIR KOI BHI MOMIN MUSALMAAN NAHI HO SAKTA !!
tahqeeq qalima e taiyyaba ka matlab ye hai ke teeno qismon, tawheed e wahyat, tawheed e rubuwiyyat aur tawheed e asma wa sifaat ki tahqeeq wa tatbeek ki jaaye
sheikh abdul rahmaan bin hasan (rh) ne fatah ul majeed page no 84 me likha hai ke
" is baat ka bayaan ke jisne tawheed ki Tahqeeq kiya wah jannat me bila'hisaab wa azaab jaayega, tawheed ki tahqeeq ka matlab ye hai ke tawheed ko SHIRK, BIDAT, MASIYAT ki aalaishon se khaalis aur paak saaf rakha jaaye"
yahan ye sawaal ho sakta hai ke jab qalima e taiyaba ki tahqeeq ka matlab yahi hai toh tableeghi jamaat se hamara ikhtelaaf kyon ??
Iska jawaab samjhne ke liye is jamaat ke ' secret code' ko zahen me rakhen phir dekhen ke in logon ne qalima e taiyyaba ( la ilaha illallah muhammadur rasoollah) ki tahqeeq ko asal awwal zaroor qaraar diya hai,
LEKIN iski tahqeeq se unki muraad ye hai ke:-" sirf tawheed e rubuwiyyat se sarokaar rakha jaaye, kyonki usse do musalmaano ke darmiyaan nafrat wa farqat aur iktelaaf nahi paida hota hai"
unki nazar is baat par nahi hoti ke tawheed rubuwiyyat ka laazimi maana ye hai ke:-" allah taala ke elaawa koi dusra ibaadat ke laiq nahi hai "
ab rahi "tawheed e asma wa sifaat" ki baat toh ye Logon me nafrat aur ikhtelaaf wa aftaraaq ka sabab hoti hai, jaisa ke firqa athariya, maturidiyah, jahmiyah, halowiyah, aur barelwiyah wagerah me bahami iktelaaf mashoor hain
TAWHEED E ASMA WA SIFAAT me har ek firqa ka aqeeda wa nazariya dusre se mukhtalif hai, aur ye tamaam firqe aqeedah e salaf ke mukhaalif hain,
isliye tableeghi jamaat is tawheed ke silsile me apne ' secret code' par amal karte hue TAWHEED ASMA WA SIFAAT ko nazar andaz kar deti hai,
Tawheed ki teesri qism 'TAWHEED E WAHYAT ' ka bhi yahi haal hai, iske baare me bhi qalaam karna mamnu aur jamaat ke manhaj se khaarij hai, kyonke tawheed wahyat bhi ikhtelaaf wa aftaraaq ka sabab hai,
ye tableeghi jamaat hanafi quboori hai (hanafi qabr parast hai).....jo is riwayat se saabit hota hai
[[[[[ "Fazaaile A'maal" Ya "Tableeghi Nisaab" Ke Musannif Maulana Zakariya Apni Doosri Kitab "Taareekh Mashaik-e-Chisht" Mein Ulama-e-Deoband Ke Sartaj Imdadullah Muhajir Makki Aur Unke Peer Miyan Ji Noor Muhammad Ka Waqia Likhte Hain:-
"...(Miyan Ji Noor Muhammad Sahab Ne) Farmaya Ke Faqeer Marta Nahi Balke Ek Makaan Se Doosre Makaan Mein Intiqaal Karta Hai, Faqeer Ki Qabar Se Wahi Fayda Hoga Jo Zahiri Zindagi Mein Hota Tha"
"...(Miyan Ji Noor Muhammad Ki Wafaat Ke Ba'ad) Jhunjhaana Mein Ek Sahib-e-Kashf Aaye Aur Hazrat Miyan Ji Ke Mazhar Par Hazir Hue. Ba'ad Mein Unhone Kaha Ke Afsos Kis Zalim Ne Inko Imaam Syyed Mehmood Ke Paas Dafan Kar Diya, Ye Adab Ki Wajah Se Apne Anwaar Roke Hue Hain, Agar Kisi Weeraney Mein Hotey Toh Duniya Inke Anwaar Se Jagmaga Jati, Agar Fitne Ka Andesha Na Hota Toh Main Inki Haddiyan Nikaal Kar Doosri Jagah Dafan Kar Deta Aur Phir Inke Anwaar-O-Barkaat Ka Mushahida Hota. Mazhar Ke Sirhane Aala Hazrat Aqdas Haji Imdadullah Sahab Ne Madarjzel Chand Ash'aar Ka Kutba Nasab Karaya Tha Jo Ab Bhi Wahan Maujood Hai:-
...Paas Us Marqad Ke Qibla Rukh Nabi, Hai Ziyaarat Gah Mere Peer Ki.
Is Jagah Hai Marqad-e-Paak-e-Janaab, Sar Jhukate Hain Jahan Sab Chaikh-O-Shaab.
Jisko Ho Shoq Deedar-e-Khuda, Unke Marqad Ki Ziyaarat Ko Wo Ja.
Yani Peer-O-Murshidd-O-Maula Mere, Hazrat Noor Muhammad Neik Pae.
Aaqaad-e-Dil Se Jo Jaaye Wahan, Us Par Sab Asraar-e-Baatin Ho Ayaan.
Dekhte Hi Uske Mujhko Hai Yaqeen, Usko Ho Deedar-e-Rabbul Aalameen."
[Taareekh Mashaik-e-Chisht, Page No. 176-177 (Publisher: "Darul Kitab Deoband")]]]]]
aur uske muqabil salafi jamaat hai, jo qabron ki ziyaarat ke liye safar karne, murdah saliheen ko waseela banaane aur unse madad talab karne wagerah ko najayez kahti hai,
jabki hanafi Jamaat ke nazdeek ye tamaam cheezein jayez hain, balke deen me daakhil hai,
yahi wajah hai ke jab unka koi khateeb qalma e tayyaba ki wazaahat karne ke liye khada hota hai toh uske khutbe ke alfaaz is qism ke hote hain jo sirf tawheed e rubuwiyyat se talluq rakhte hain jaise
" alhamdullahil' lazi khalaqna wa razaqna wa an am alaina "
is jamaat ke usoolon ki isi pahli qism qalma e taiyyaba ki tarah dusri qism me bhi ' secret code' chhupa hota hai,
chunanche 3ri asal " ILAM MAE ZIKR"
me bhi soorat haal pahli asal se mukhtalif nazar nahi aati hai...
ILM KI DO QISMEIN:
Ham aur aap sab hi jaante hain ke ilm wahi hai jo allah ne farmaya, rasoollalah ne farmaya, sahaba kiram ne bayaan kiya, chaahe unki baatein aqaid ke baare me ho ya ibadaat wa mu'aamlaat wagerah se mutaalliq hon, sab ilm hai,
lekin tableeghi jamaat ke yahan ilm se kya muraad hai ?
Wah kahte hain ilm ki do qismein hain
1- ilm Fazail
2- ilm masail
yahan unke ' secret code ' ko zahen me rakhen ke jo cheez do shakhson ke darmiyaan nafrat wa ikhtelaaf ka sabab hoti hai uska huqm manhaj jamaat se khaarij hai"
ab dekhen ke ye log apne taqseem kardah ilm ki pahli qism ilm e fazail ko jamaat ke liye muqarrar kiye hue hain, kyonki ye nafrat wa iktelaaf ka sabab nahi hai,
dusri qism ' ilm masail ' ko ulema ke liye khaas kar rakhe hain, is bina par jamaat ko huqm hota hai ke masail ka ilm apne shaher wa basti ke ulema se haasil karen
is tareeqa e amal se ilm ka raaz malum ho gaya, aur ye baat bhi waazeh ho gayi ke ye log kyon ' ilm fazail ' ki baat karne ko jayez kahte hain, aur ' ilm masail ' se mutaallik guftughu karne se mana karte hain , aur huqm dete hain ke apne apne ulema se masail malum karen
ye isliye ke ilm masail logon me ikhtelaaf wa aftraaq ka sabab huwa karta hai,
jabki pahli qism ' ilm fazail ' me aisi koi baat Nahi hai,
tableeghi jamaat ne jab ilm ko fazail aur masail me taqseem karke jamaat ke saath chalne waalon se kaha ke ilm masail apne shaher ya basti ke ulema se malum kiya karen toh arbab jamaat ko andeshah huwa ke kahin logon ke dilon aur aqalon me ye baat na sama jaaye ke is jamaat ke paas masail ka ilm nahi hai toh wah jamaat ko chhod den,
isliye pesh bandi ke taur par aisa mawana aur mushkilaat khadi karte hain jo logon ko ilm masail ke hasool se roken, aur ilm fazail ki talab par madad karen, yahan tak ke agar ilm aur fazilat ilm ke mutaalliq koi aayat ya hadith sunte hain toh isko ilm fazail me daakhil kar lete hain,
azeez bhaiyyon ! Allah aap par raham kare
aapko malum hona chahiye ke tableeghi jamaat ki do majlisen huwa karti hain, ek mangal(tuesday) ki raat me , dusri budh (wednesday) ki raat me, pahli majlis ghast aur chille se waapas aane waalon ke liye hoti hai, isme wah log bhi Haazir kiye jaate hain jinhen chille me jaane ke liye aamaadah karna ya mutaassir karna maqsood hota hai,
dusri majlis budh ki ' asr' ke waqt jamaat ki rawaangi ko tarteeb dene ke liye munaqqid hoti hai,
is majlis ka ameer, naye haazireen ko sunaane ke liye pahle chille waalon mese ek se kahta hai ke:-" kitne roz se tum nikle hue ho ?
Wah jawab deta hai ke:-" 4 maheene se ' fi sabeelillah' par nikla huwa hun"
is par ameer kahta hai:-" mashaallah ! Ye 4 maheene kahan guzaare ?"
wah kahta hai ke :-" 10 roz khaleeji mulkon me, 20 roz africa ke ilaaqon wa waadiyon me, ek maah europe me, ek maah junoobi america me, aur ek maah hindustan wa pakistan me guzaare"
phir ameer e majlis kahta hai ke:-" tum ' mashaallah' ek daaee ho, aur daaee badli ke maanind(jaise) hai jo logon ki zameeno aur kheton me guzarti aur seeraab karti hai,
ba'khilaaf ulama ke ye paani ke kuwon(wells) ki tarah hain, jab tumhe aisi Jagah pyaas lage ke us jagah se kuwan ek meel (miles) ki doori par ho toh kabhi aisa bhi ho sakta hai ke us kuwen ke paas pahunchne se pahle pyaas ki shiddat tumko maar daale, balke kabhi ye naubat bhi aa sakti hai ke kuwen ke paas maujood hote hue bhi paani na pee sako, kyonke kuwen se paani bharne waala dhol hi maujood nahi hai,
paani peene ke liye zaroori hai ke kuwen ke paas jaao aur uske kinaare haazir hokar kuwen me dhol daalo, phir use kheencho tab kahin paani pee sakoge !!
MATLAB:
Kya aap samjhe ! Ke is qisse ke zariye daaee ko aalim par fazilat dene ki chaal logon ke dilon me kis tarah asar andaaz hui ??
Iska nateeja ye hota hai ke jab koi shakhs talab ilm ke liye baithna chaahta hai toh use ye qissa yaad aa jaata hai,
ab uski khwaahish ye hoti hai ke:-" wah badli ki misaal bane, koi kuwan(well) na bane "
is qisse se kisi shakhs ko hairat wa tajjub ka shikaar ho jaana koi badi baat Nahi hai, isliye is qisse me jo khota aur khokhlapan hai, ise bayaan karna zaroori hai,
allah ki taufeeq se, allah taala aapko aur mujhe har khair wa haq ki taraf rahnumaayi farmaaye,
main bayaan kar raha hun ke badli zyaadatar chaupaayon jaanwaron ka chaarah ugaati hai, aur sirf mausmi ghaas ugaati hai,
balke agar badli kisi banjar zameen me barasti hai ya apne mausam ke khilaaf naazil hoti hai toh usse koi faayeda nahi hota,
aur kabhi kabhar ye badli tabaahi wa barbaadi ka samaan bhi ho jaati hai,
kuwen ke paani ka maamla badli se bilkul mukhtalif hai, unse seeraabi haasil ki jaati hai aur kaastkaari(farming) bhi hoti hai,
jin ilaaqon me kuwen hote hain wahan zindagi paaydaar hoti hai, kyonke wahan ke baashinde unhi kuwen se har tarah ki seeraabi haasil karte hain, aur unse seechaayi(irrigation) ke zariyah kaashtkaari karte hain,
yahan tak ke anaaj ki kataayi karte hain, dusre ye ke un kuwen se Muqeem aur musaafir dono apne liye, apne maweshion ke liye, ya apni khetiyon ke liye yaksha taur par faayeda uthaate hain,
aur safar ke liye apne mashkeezon aur bartano (utensils) me unse paani bhar kar saath le jaate hain,
ek faayeda kuwen se ye bhi hai ke kuwen se jitni baar paani nikaala jaata hai utna hi uska paana umdah hota hai, uska rang saaf hota hai, aur uski bu bahtar hoti hai,
ab aapko badli aur kuwen ka farq malum huwa ??
Hamare is bayaan par ye aitraaz waarid nahi hota ke nabi e akram (sws) ne allah ki taraf se bheji gayi hidaayat aur ilm ko baarish se tashbiyah diya hai,
kyonke nabi e akram (sws) allah ki jaanib se jo kuch laaye wah allah ka deen hai, jise saare insaanon ke liye pasand farmaya hai,
bas yahi kaamil khair, khaalis haq, aur nafa baksh baarish hai,
bar'khilaaf is jamaat ki baaris ke, kyonke ye jamaati baarish haq wa baatil aur khair wa shirk se makhloot hai,
EK AUR KISSA:
Jamat ka ek aadmi naye aane waalon ke saamne ilm sharai haasil karne ke liye ja rahe shakhs se kahta hai
aiy falan ! Kahan ja rahe ho ?
Wah falan shakhs kahta hai ke:-" main ilm haasil karne ja raha hun"
pahla shakhs fir poochta hai ke:-" kis liye ?"
toh jawab deta hai ke:-" halaal wa haraam malum karne ke liye "
pahla shakhs kahta hai ke:-" subhaanallah ! Tum haraam wa halaal nahi jaante ? Tumne nabi akram(sws) ka ye farmaan nahi suna ke
" apne dil se fatawa haasil karo, chaahe mufti log kuch bhi fatawa den,"
subhaanallah ! Tum ab tak halaal wa haraam nahi jaante ho, jabke bahut se jaanwar bhi ise jaante hain
kya tum billi (cat) ko nahi dekhte ho ke jab tum ghar me khaana rakh kar chale jaate ho aur kuch der ke baad waapas aate ho toh dekhte ho ke wah billi khaana kha rahi hoti hai, aur tumhe dekhte hi bhaag jaati hai,
lekin jab tum dastar'khwaan par baithte ho aur apne Qareeb billi ke liye kuch khaana rakh dete ho toh wahi billi aakar tumhaare paas usko khaane lagti hai,
pahli soorat me billi ne jaan liya ke wah haraam me padh gayi hai, isliye tumhen dekhte hi bhaag gayi,
dusri soorat me usne ye jaana ke wah halaal khuraak le rahi hai, isliye tumhaare saath khaati rahi,
mere bhai ! Momin aqlen khud hi halaal wa haraam me tameez kar leti hai, isliye dil se fatawa liya karo, chaahe mufti hazraat tumhen kuch bhi fatawa den
JAWAB:
Iske jawaab me ham itna hi kahenge ke in logon ke aql ke mutaabik haiwaanaat halaal wa haraam ke daana hain, toh bashariyat wa insaaniyat ke liye rasoolon ke bheje jaane aur kitaabon ke naazil karne ki kya zarurat ??
Jamaat ka ameer aane waale shakhs ko mulk, ahl wa ayaal (family) aur maal (wealth) wagerah chhodkar jamaat ke saath chalne ki targheeb dete hue kahta hai ke :-" mere bhai ! Jab tum chaaye (tea) ki pyaali me shakkar (sugar) Rakh kar us par chaaye ki patti daalo aur chamchah(spoon) wagerah se begair hilaaye use peena shuru karo toh usme mithaas (sweatness) mahsoos nahi karoge, aur jab hilaakar piyoge toh mithaas ka zaayqa paaoge, yahi haal imaan ka hai jo har insaan ke dil me maujood hai, uski halaawat chakhna usi waqt mumkin hai jab jamaat ke saath khurooj ke zariye usko harkat di jaaye"
JAWAB:
Mere azeez bhaaiyyon ! Mera ghumaan hai ke aap is qisse aur misaal ka fauran inkaar karte hue kahoge ke
1- subhaanallah ! Har insaan ke dil me imaan maujood hai ? Yahan tak ke munaafiqeen, kaafiron aur murtadon ke dilo me bhi ??
2- subhaanallah ! Ulema, taalba(students) aur aam mardon aur aurton mese jo koi jamaat ke saath nahi nikla wah imaan ki halaawat se mahroom raha ?
3- subhaanallah ! Kya nabi akram (sws) ne ye nahi farmaya tha ke
" jis shakhs me 3 cheezein maujood hogi wah imaan ki mithaas pa lega, pahli cheez ye hai Ke uske nazdeek allah aur rasool (sws) saari cheezon se ziyaadah mahboob hon, dusri ye ke kisi bande se muhabbat wa dosti sirf allah ke liye rakhe, teesri cheez ye hai ke kufr se nikal kar islaam me daakhil hone ke baad murtad hone ko usi tarah na'pasand kare jis tarah aag me daale jaane ko na'pasand karta hai "
(muslim jild 1 page 66)
to be continued