Monday, April 16, 2012

TALAAQ KE BAARE ME (EK MAJLIS KI 3 TALAAQ)

Bismillahirrahmanirraheem





================================

TALAAQ KE BAARE ME (EK MAJLIS KI 3 TALAAQ)

=================================



QURAN ME HAI

2:229 "TALAQ DO MARTABA HAI"



LAFZ MARRATAN, MARAT TA TANBIYA HAI JISKE MAANI YE HAI KE EK MARTABA KE BAAD DUSRI MARTABA YANI WAQFE KE SAATH. YE MAANI NAHI HAI KE EKHATTHI 2 TALAQE JAISA KE DARJ ZEIL AYAT BHI ISPAR SHAHID HAI:



sURAH NOOR 58

"WALLAZINA LAM YABLUGUL HULUMA MINKUM SALASA MARRATIN..................."



TARJUMA:

Imaan walo! tum se tumhari milikiyat ke ghulamo ko aur inhein bhi jo tum me se bulughat ko na pahunche hu (apne aane ki) TEEN WAQTO ME IJAAZAT HAASIL KARNI ZAROORI HAI. NAMAZ FAJR SE PAHLE AUR ZOHAR KE WAQT ...... AUR ISHA KI NAMAZ KE BAAD...............



IS AYAT ME LAFZ MRAT MARAT KI JAMAT HAI, IS LAFZ K BAAT 3 AWQAT BAYAN KIYE GAYE HAIN JINME WAQFA HAI NA KE EKHATTE HAIN (YANI EK MARTABA FAJAR SE PAHLE, DUSRI MARTABA DOPAHER KO, TEESRI MARTABA NAMAZ ISHA K BAAD)

LEHAZA MALOOM HUWA KE PAHLI AYAT ME BHI WAQFE KE SAATH TALAQE DENA MURAD HAI NA K IKHATTHI.



1.

Ahde risalat, Hazarat abu bakar k daur-e-khilafat aur Hazrat Umar Razi ki khilafat k ibtedai 2 saal tak TEEN TALAQEIN EK TALAQ HI SHUMAR HOTI THEIN. PHIR HAZRAT UMAR RAZI NE FARMAYA, LOGO NE AISE MAMLE ME JALDI KI HAI JISME INKE LIYE SAHULAT DI GAI THI PAS CHAHIYE KE HUM ISE NAFIZ KARDE LEHAZA AAP RAZI NE ISE IN PAR JARI KARDIYA. (YANAI 3 TALAQO K BAIK WAQT WAQE HONE KA HUKM DE DIYA)

(ABDU DAUED, KITABUT TALAQ h. 2199, AUR NASAI 6/145, AUR SAHI MUSLIM 1472)



2.

Hazrat Abu rukana raz ne apni biwi ko ek hi majlis me 3 talaqein di the phir ispar nadim w pashyeman hue, rasul saw ne abu rukana razi se farmaya: "wo teeno talaqein ek hi hain" (Ahmed 1/265, AUR Balagul Maram 1009, shaikh subhai hallaq ne ise hasan kaha hai - At taleeq ala sablus salam 6/212)



3.

Ek riwayat me hai k nabi saw ne Abu rukana raz se kaha ke tum Umme rukana se ruju karlo. unhone arz kiya mene ise 3 talaqe de di hain. to aap saw ne farmaya: "Muje maloom hai, tum is se ruju kar lo"

(Hasan: Sahih Abu dawood 1922, aur mazeed 2196, mazeed 2206, aur TIRMIZI 1177, AUR IBN MAJA 2051, AUR DAR QUTANI 4/34-35, AUR IBN HIBBAN 10/97, AUR MASTADRAK HAAKIM 2/199)

nOTE: AGAR TEENO TALAQEIN WAQE HOJATI TO NABI SAW ABU RUKANA KO RUJU KA HUKM NA DETE BALKE UMME RUKANA KO KISI AUR SHAKS SE NIKAH KA MASHWERA DETE.



4.

hAZRAT Mehmood bin labeed raz ki riwayat me hai k "nabi kareem ko khabar di gai ke ek shaks ne apni biwi ko ikhatthi 3 talaqe de dali hain. aap saw ghazabnak hokar khade hogaye aur farmaya: "kya allah tala ki kitab se khela jara hai jabke main abhi tumhae darmiyan maujood hoon" hatta ke ek aadmi khada hua aur isne arz kiya, aye allah ke rasul (saw) kya me ise qatal na kar daloo?

(Sahih: Gaayatul muraam 261, aur At Taleeq ala rauzat tadiya albani 2/48, aur Nasai 3430)



in tamam dalail se ye malum huwa ke agar



koi shaks apni biwi ko ekhatthi 3 talaqe de deta hai to wo darhaqiqat ek hi shumar hogi.

i)

HAZRAT IBN ABBAS RZ.

ii)

HAZRAT ZUBARI BIN AWAM RZ.

iii)

HAZRAT ABDUR RAHMAN BIN AUF RZ.

iv)

HAZRAT ALI RZ.

v)

HAZRAT IBN MASOOD RZ.,

vi)

IMAM AKRAMA RH.

AUR

vii)

IMAM TAOOS RA. ETC. KA BHI YAHI FATWA HAI.

(GAAYATUL HAFAN 1/329, AUR FATEHUL BAARI 10/456)

viii)

IMAM IBN TEMIYA RA. ISI K QAAIL HAIN. (AL FATAAWA 3/16-17)

ix)

IMAM IBN QAYYIM ISI MUAQQF KO TARJEEH DETE HAIN. (ZAADUL MAAD 5/241, AUR ALAAMUL MOAQIYYIN 3/30)

x)

SHAIKH IBN BAAZ R.: iKHATTHI 3 TALAQE EK HI SHUMAAR HOGI.

(FATAWA ISLAMIYA 3/49)

AUR EK DUSRE FATWE ME FARMATE HAIN K DURUST BAAT YE HAI K AGAR MARD EK KALMA SE APNI AURAT KO 3 TALAQE DE TO WO EK HI SHUMAAR HOGI. (FATAWA IBN BAAZ. MUTARJUM 1/177)



xi)

SAUDI MAJLIS IFTAA:

AGAR MARD APNI BIWI KO EK HI LAFZ K SAATH 3 TALAQEIN DE DE TO ULEMA KE SAHIH-TAR QAUL KE MUTABIQ SIRF EK HI TALAQ WAQE HOGI.

(FATAWA ALJANAT DAIMAT ALBHUS ILMIYAT WAL IFTA 20/163)





KUCH ULEMA KA KHAYAL HAI K TALAQ-E-BIDAYI WAQE NAHI HOTI:

IBN TEMIYA: TALAQ BIDAYI WAQE NAHI HOTI (AL-FATAWA 5/32)

IBN QAYYIM: ISI KE QAAYIL HAI. (ZAADUL MAAD 5/218-238)

IBN HAZAM: ISI K QAAYIL HAI. (AL-MUHALLA 9/358, AUR ALMAALATA 1945)

ALLAMA SHOKANI: ISI KO TARJEEH DETE HAIN: (NEELIL AWTAAR 4/319)

CHUNKI TALAQ BIDAYI KA HUKM NA ALLAH TALA NE DIYA HAI AUR NA HI RASUL SAW NE LEHAZA YE MARDUD HAI TO PHIR ISKA SHUMAR KYUN KAR HO SAKTA HAI.



EK HADIS ME HAI:

"JISNE KOI AISA AMAL KIYA JIS PAR HAMARA HUKM NAHI WO MARDOOD HAI"

(MUSLIM: 1718, BUKHARI 2697)



HADIS NABWI HAI "HAR BIDAT GUMRAHI HAI" (SAHIH MUSLIM 1435)

JAB YE TALAQ BIDAYI HAI AUR HAR BIDAT GUMRAHI HAI TO GUMRAHI SE HUKM KA ASBAAT KAISE MUMKIN HAI?





==========================

umar rz ka tazeeri hukm talaq k baare me:

==========================



BAHES YE NAHI HAI KE 3 TALAQ KO EK KARNE KA UMAR RZ KA IQDAAM APNI JAGAH MUNASIB THA YA NAHI. BAHES YE HAI KE ORDER TAZEERI THA AUR TAZEER KA AAP RAZI. KO beshak HAQ THA.

TA-HAM UMAR FAROOQ RAZ APNE IS IQDAM PAR AAKHIR UMR (AGE) ME MUTASSIF THE.



HAAFIZ ABUBAKAR ISMAILI MASNAD UMAR ME LIKHTE HAIN:

"MUJE 3 CHEEZO PAR BAHOT ZIYADA NADAMAT HUI HAI



1) TALAQ KE HARAM KARNE PAR

2) AZAD KARDA AURTO SE NIKAH NA KARNE PAR

3) AUR KAASH NOHA KARNE WALIYO KE LIYE QATAL KA HUKM NA JARI KIYA HOTA"

(AGAASAT 1/336)



EKHATTHI 3 TALAQ JIS ME AAP NE TAZEER LAGAI THI AUR JISKA AAP RZ. KO AFSOS THA.

dekho:



IBN QAYYIM LIKHTE HAIN:

"YAQINAN HAZ. UMAR RZ. NE TALAQ SALASA KE WAQU KI HURMAT KO CHAHA THA"

(AGASATH 1/336)



HAZRAT UMAR RZ KI TAZEER KO MADD-E-NAZAR RAKH KAR FATWE SADIR KARNE SE PAHLE UNKI NADAMAT KO BHI SAMNE RAKHNA CHAHIYE (JO UPAR BYAN HUI HAI HAWALE K SAATH). JISSE MALUM HOTA HAI K YE EK HANGAMI TAZEER THI JO LAGI AUR KHATAM HO GAI KOI MUSTAQEEL QANUN NAHI THA. JISE ABAD TAK BAQI RAHNE DIYA JAYE ASAL MASLA LAUT AANA CHAHIYE. HAZRAT UMAR RZ NE AGAR TAZEER LAGAI THI TO WO WAQTI THI.



note:

yahan ek baat kaabil-e-gaur hai ke rasul saw ke zamane me sharabi ki saza 50 kode thi but umar rz ne kuch waja ke tahet 80 kode kiye to phir yahan hanfi ise kyun nahi maante????????


3 talaq ko ek talaq tasleem karne wale hanfi maulana
========================================

HAKIM ZALUL RAHMAN (DEOBANDI) NE LIKHA: rELAXATION KI EK MISAAL BAYAN KAR DOON. YE JANAB MUFTI MOHAMMED SHAFEE SAHAB KA FATWA HAI. EK ANGREZ ISAAI JODE NE JISKO ISLAM QABOOL KIYE HUE DAS BARAH (10-12) SAAL HI HUE THE, APNI BIWI KO TEEN (3) TALAQE BAYAK WAQT DE DI. TAMAM ULEMA NE HALA KA FATWA DIYA. KISI NE MASHWARA DIYA K DARUL ULOOM NADWATUL ULEMA LAKHNAO K AJLAAS ME MUFTI SHAFEE SAHAB AAYE HUE HAIN IS SE RUJOO KARO. WO MUFTI SAHAB K PAAS GAYA UNHO NE MASHWARA DIYA K SUBHA KO APNE TAMAM WAQIYAAT LIKH KAR LE AAO. WO SUBHA AAYE. MUFTI SAHAB NE DUSRE MUFTI SAHBAN KO JO TASHREEF RAKHTE THE WO KAGAZ DIKHAYA, SAB NE HALALA KA FATWA DIYA.
JANAB MUFTI SAHAB NE ISPAR FATWA TEHREER KIYA.
"MUSALMANO KE EK MASLAK MAUSUSA BA AHLE-HADEES K NAZDEEK EK HI TALAQ HUI, RUJOO KAR LIYA JAYE"

WO CHALE GAYE AUR RUJOO KAR LIYA. JAB CHALE GAYE TO MUFTI SAHAB NE FARMAYA: "AGAR IS WAQT MAIN YE FATWA NA DETA TO YE JODA PHIR ISAAI HOJATA K JIS ISLAM ME MERI EK ZARA SI GALATI KI TALAFI MUMKIN NAHI HIA, WO MAZHAB SAHIH NAHI HO SAKTA"

MUFTI KIFAYATULLAH SAHAB KI KIFAYATUL MUFTI ME FATWA HAI K AGAR KOI SHAKS AHLE-HADEES SE FATWA LE KAR RUJOO KAR LE TO ISE MATOON KARNA JAYAZ NAHI HAI. KHUD MUFTI SAHAB NE BAHOT SE FATAWA MALKI MASLAK PAR DIYE HAIN. AB GAUR FARMAIYE K HAMARE AKAABIR ME TO IS QADAR WAS'AT FIKR THI AUR HUM HAIN K ZARA ZARA SI BATO PAR FATWE DE RAHE HIAN"

(MONTHLY AL-SHARIYA, JULY 2010, JILD 21, SHUMARA 7, PAGE 14)

=============================
MUFTI KIFAYATULLAH DEOBANDI KA FATWA:
=============================

"ek majlis me 3 talaq dene se teeno padjane ka mazhab jamhur ulema ka hai aur aima arba ispar muttafiq hain jamhur ulema aur aima arba ke alawa BAAZ ULEMA IS KE ZARUR QAAYIL HAIN KE EK RAJAI TALAQ HO JATI HAI AUR YE MAZHAB AHLE HADEES NE BHI IKHTIYAR KIYA AUR HAZRAT IBN ABBAS AUR TAOOS AUR AKRAMA WA IBN ISHAAQ SE MANQOOL HAI. PAS KISI AHLE HADIS KO IS WAJA SE KAAFIR KAHNA DURUST NAHI AUR NA HI WO MUSTAHAQ AKHRAJA AN MASJID HAI.

(MOHAMMED KIFAYATULLA AFA ANA RABA MANQUL AZ AKHBAAR ALJAMEEYAT DEHLI: 16/44, 6 SHABAAN, 1350 HIJ.
(MAKHOOZ AZ UMDATUL ASAAS, PAGE 50)