Har Ibteda Se Pehle Har Inteha Ke Baad, "ZAAT-E-NABI Buland Hai "ZAAT-E-KHUDA" Ke Baad, Dunya Main Ehtraam Ke Qabil Hain Jitne Log, Main Sabko Manta Hun, Magar ,"MUHAMMAD-MUSTAFA{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} Ke Baad..
Thursday, April 26, 2012
TAWHEED AUR AHLE BAATIL KE SHAK WA SHUBUHAAT
Bismillahirrahmanirraheem
TAWHEED AUR AHLE BAATIL KA RADD:
Ab ham aapke saamne kitaab e ilaahi ke wah maqaamaat zikr kiye dete hain jo maujoodah mushrikeen ki un baaton ka jawaab hai jo unhone apne liye daleel wa hujjat qaraar de rakhe hain, ham kahte hai ke ahle baatil ka jawaab do tarah se hai
1- mujammal
2- mufassal
MUJAMMAL JAWAB:
Kisi bhi saaheb e aqal wa daanish shakhs ke liye bahut buland aur intehaai mufeed baat allah taala ka ye irshaad giraami hai
" wahi hai jisne aap(sws) par kitab naazil farmayi, iski baaz aayat zaahir al maana(mohkam, bahut sareeh) hain jo kitaab ki jad aur asal hain, aur baaz aayat mutshaabeh (milti julti) hain, pas jin logon ke dilo me mail (kazi) hai wah fitna pardaazi aur aqli taaweelaat ke liye un mutshaabeh aayaat ki pairwi karte hain, haalaanke unki TAWEEL allah ke siwa koi nahi jaanta"
(sura imran 7)
aur rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) Ek sahih hadith me farmate hain
" jab tum un logon ko dekho jo mutshaabehaat ki pairwi karte hon toh unse bacho kyonke unhi logon ka allah ne zikr farmaya hai"
(bukhaari, muslim, abu dawood)
iski misaal is tarah hai ke jab koi mushrik aapse kahe ke allah ne farmaya hai:
" sun lo ke jab allah ke dost hain, unhe na kuch khauff hoga aur na wah ghamzada honge"
" bila'shubah shafaa'at haq hai aur beshak allah ke yahan ambiya ki khaas qadr hai "
ya wah nabi e akram rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ki koi hadith apne baatil nazariyaat ke jawaaz ke liye pesh kare aur aap uski zikr kardah wah baat ka maana wa matlab nahi samjhte toh aap is tarah jawaab den ke:-" allah taala ne apni kitaab qur'aan majeed me un logon ka zikr farmaya hai jo kaz faham wa kaj ro hain aur mohkam (bahot sareeh) aayaat ko chhod kar mutshaabehaat (milti julti) ki pairwi karte hain, aur maine allah ka jo farmaan Zikr kiya hai use wah bhi bataayen ke mushrikeen e makka tawheed e rubuwiyyat ke qayel they magar unka kufr malaika (angel), ambiya aur awliya se ghalat wa beja talluq ki wajah se tha, aur ye bhi bataayen ke wah kahte they:
" ye toh allah ke yahan hamaare shifaarishi hain "
ye wah baat aur aayat hai jiska maana saaf hai jiska maana badalne ki kisi me zurrat nahi "
aur us mushrik se kahen ke :-" tune qur'aan paak aur hadith e rasool (rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ) se jo kuch zikr kiya hai, main toh uska matlab nahi samjhta magar ye bilkul saaf baat hai ke allah ke qalaam me tazaad(ikhtelaaf) ya tanaaqis nahi hai, aur na hi hadith e rasool [rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh)] qalaam ullah ke mukhaalif hoti hai,
ye bada umda aur sahih jawab hai, aap isi mamooli na samjhen, lekin isi samjh wahi sakta hai jise tawfeeq e ilaahi haasil ho, jaisa ke allah ka irshaad hai
" nahi Samjhaai jaati ye baat magar un logon ko jo sabr karte hain aur unhe seekha sakta use magar jo bade naseeb waala hai "
(surah fussilaat 35)
MUFASSAL JAWAB:
Allah ke dushmano ko deen e ambiya wa rasool (as) par bahut se aitraazaat aur shak wa shubuhaat hain jinki badaulat wah logon ko isse barghalaate aur rokte hain
SHUBAH- 1
UNKA KAHNA HAI:
" ham allah ke saath shirk nahi karte balke gawaahi dete hain ke us allah wahdahu la shareek ke elawah na koi paida karta hai, na rizq deta hai, na ko nafa de sakta hai, aur nahi nuksaan pahuncha sakta hai, hatta ke hazrat rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) bhi apni zaat ko nafa wa nuksaan pahunchaane ki taqat nahi rakhte, agarche peer abdul qaadir jeelaani (rh) ya koi dusra ho, LEKIN main gunaah gaar hoon, jabke awliya wa saaliheen ko allah ke yahan bada maqaam haasil hai, lihaaza main unke zariye (waseela) se allah se maangta hoon "
JAWAAB:
Aap is mazkoor ka is tarah jawaab den ke :-" jin mushrikeen ke saath rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne JIHAAD kiya, wah bhi is baat ke iqraari they, jiska tumne zikr kiya hai, wah bhi maante they ke unke ye but(idol) koi kaam nahi sawaarte, unhen toh unki jaah hashmat waali shifaarish chaahiye thi, aur uske mutaallik kitabullah ki aayat padh kar masla ki wazaahat karen"
note: read previos articles
SHUBAH - 2
agar wah kahen ke ye aayat toh un logon ke baare me utri hai jo buton ko poojte they, awliya allah aur buzurgon ko aap but kis tarah bana rahe hain ya ambiya ko faut shuda kaise kah sakte hain ??
JAWAAB:
use pahla waala jawab den aur jab wah iqraar kar le ke kuffar bhi allah taala ki rubuwiyyat ke qayel they aur jin buton ki taraf mutawajjoh rahte they, unki sirf sifaarish chaahte they, agar ye apne aur un kuffaar ke faael me farq poochna chaahen toh use bataayen ke baaz Kaafir toh buto ko pukaarte they aur unme se baaz to aisi bhi they jo awliya kiraam ko pukaarte they jinke mutaallik farmaan e illaahi hai
" ye log jin ko pukaarte hai aur apne rabb ki taraf WASEELA dhoondhte hain, un mese bahut nazdeek kaun hai ?"
(surah bani israel 57)
wah hz isa (as) aur unki maa ko pukaarte they... Allah taala ne farmaaya
"nahi maseeh ibn maryam magar paighambar, unse pahle bahut se paighambar ghuzre hain, unki maa siddeeqiyah (waliyah) thin, wah dono khaana khaate they, dekh ham un logon ke liye nishaaniyan kaise bayaan karte hain, phir dekh ke ye kahan se paltaaye jaate hain, kah dijiye ke kya tum siwaaye allah ke aisi cheezon ki ibaadat karte ho jo tumhaare nafa wa nuksaan ka ikhtiyaar nahi rakhti, aur allah hi sunne waala aur jaanne waala hai"
(surah maida 75-76)
aur use allah ka ye irshaad bhi sunaaye
" aur jis din (allah) un sabko ikattha karega phir farishton ko Kahega ke ye tumhaari ibaadat karte they, wah kahenge:- tu paak hai, tu hi hamaara kaarsaaz hai, inki bajaaye, balke ye jinno ki ibaadat karte they aur unki aksariyat jinno par imaan rakhti thi "
(surah saba 40, 41)
aur allah taalla ne farmaya:
" aur jab allah ne kaha ke aiy isa bin maryam ! Kya tune logon ko kaha tha ke mujhe aur meri maa ko allah ke elawa apna mabood banaayen ? Isa kahenge:- aiy paak parwardigaar ! Mujhe wah baat kahne ki kya padi hai jiska kahne ka mujhe koi haq nahi, agar maine ye baat kahi hui hai toh tu jaanta hai kyonki tu mere dil ke raazon ka waaqif bhi hai aur main tere dil ki kisi baat ko nahi jaanta, beshak tu hi ghaib ka ilm rakhne waala hai "
(surah maida 116)
in aayaat ke zikr ke baad use kahen :- aapko ilm ho gaya ke jisne but ki taraf ruju kiya usne kufr kiya, jisne saaliheen aur buzurgon ki taraf ruju kiya usne bhi kufr kiya,
aur rasoollullah sallalaho alaihi Wasallam (pbuh) ne unke saath jihaad kiya tha,
SHUBAH - 3
agar wah(maujooda mushrikeen) kahen ke kaafir to un buton se muraaden maangte they, jabke main shahaadat deta hun ke bila'shubah nafa dene aur nuksaan pahunchaane waala kaarsaaz sirf allah hi hai, aur usi se hi maangta hun, nek logon ko bas me toh kuch nahi.... Main allah ke yahan unki sirf shifaarish ki ummeed par unka qasad karta hun
JAWAB:
Ye hu bahu kuffaar wali baat hai,
use ye farmaan e ilaahi sunaayen
" jinhone allah ke bajaaye awliya (aur peeron) ko poojna shuru kiya wah bhi kahte hain ke ham unhe isliye poojte hai taake ye hamen allah ke muqarrabeen bana den"
(surah zumar 3)
aur irshaad e rabbani hai:
" aur wah kahte hain ke ye (but, wali, peer ) allah ke yahan hamare shifaarishi hain "
(surah younus 18)
yaad rakhiye unke shukook wa shubuhaat aur aitraazaat me se yahi 3 shubuhaat aham aur buniyaadi hain,
aur jab Aapko malum ho gaya ke allah taala ne apni kitaab me unki wazaahat kardi hui hai, aur aap ise sahih taur par samjh gaye hain toh phir ye sabse aasaan uljhane hain
ALLAH HAM SABKO TAWHEED KO SAMJHNE KI TAWFEEQ DE...... Ameen
Labels:
TAWHEED
SALFIYYA ISLAMIC RESEARCH CENTRE KANPUR