Saturday, May 12, 2012

VED ME " NARASHANS" (PROPHET)








Shuru allah ke naam se jo bada maherbaan aur raham karne waala hai



Pahle mantra:



" logon ! Dhyan se suno (with respect) ! Naraashans ki prashansha (tareef) ki jaayegi, ham us mujaahir... Ya shaanti ke dhwaj'waahaq (flag holder) ko 60090 dushmano ke beech mahfooz rakhenge"


(atharva ved slok no 1 )


1- aadar'poorvak (with respect) sunne ki yah taaqeed jo yahan hai, VED me aur jagahon par nahi paayi jaati, iske maayene yah hain ki jis shakhs ka yahan zikr aa raha hai, wah ved ki baaqi hastiyon se NIRAALI aur MAHAAN hai,


2- " NARAASHANS" sanskrit zabaan ka lafz hai jo asal me do lafzon (shabd) se milkar bana hai, ek lafz " nar" jiska maana hai " insaan ",

isko laakar ya bataane ka matlab hai ki yahan jis shakhs ka zikr ho raha hai wah insaano me se hai, VED ki dusri hasti ki tarah DEVTA (farishta ya jinn) nahi hai,


dusra lafz hai " NARAASHANS " iska matlab hai " wah shakhs jiski bahut Zyada prashansha (tareef) ki jaaye ",

isliye naraashans ka theek wahi matlab huwa jo lafz " MUHAMMAD " ka hai,

dono me iske siwa koi farq nahi ki " muhammad" arabic lafz hai aur "naraashan" sanskrit,

isliye agar ved me is shakhs ki aur koi tafseel na hoti, kewal (sirf) yahi mubaarak naam hota to yah is baat ko jaanne ke liye kaafi tha ki yah pesangoyi muhammad sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ke baare me hai,

lekin aage suniye: farmaya gaya


2- "NARAASHANS" ki prashansha (taareef) ki jaayegi,


muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki kitni taareef ki gayi hai, iska andaaza lagaana mushkil hai, aap

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki seerat (biography) aur tareef me likhi gayi kitaaben kitni hai, iska andaza lagaana bhi mumkin nahi,

musalmaan toh musalman, alag alag dharmon aur ghair muslimo ne bhi aap

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tareef me itna kuch likha hai ki Khud apne deen wa dharm ke nabi ke baare me iska thoda sa hissa bhi nahi likha, balki un nabiyon ke baare me unke paas kuch zyaada likhne ke liye hai hi nahi,


hz musa (as) se unke sad'karmo (nek kaamo) ke ba'wajood yahudiyon ko hamesha shikaayat hi rahi hai,

isaaiyon ke paas hz isa (as) ke kuch chamatkaar, kuch misaalein, kuch kadwe bayaanaat, saleeb (cross) par chadhne aur aasmaan par jaane ki ghatnaao (waqeyaat) ke siwa kuch nahi, jinme tareef kam aur apmaan ka pahlu zyada nikalta hai,

hinduon ki pavitra(pak) hastiyan aur bhi zyada parde me hain, phir un par sahih ghalat jo kuch wah likh sake wah muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki ki gayi tareef ke muqaable me aise hi hai jaise samundra ke muqaable me boond,


aur yah jo bhavishya ke qalime se farmaya gaya ki " NARAASHANS KI PRASHANSA KI JAAYEGI " iske maane yah hain ki is atharva ved ke sampaadan ke zamaane tak " naraashans" bheje nahi Gaye aur tamaam shodh'kartaaon (researcher) ki sahmati (ittefaq) hai ki " atharva ved" chauthi aur aakhiri ved hai, jo pahli 3 vedon se kaafi baad me likhi gayi hai, aur idhar haal yah hai ki sabse pahle ved jo bahut pahle likhi gayi thi usme sikandar ke daur ki balke uske baad ke daur ki kuch hastiyan aur kuch ghatnaao ka zikr hai,,

isliye jab sabse pahli aur puraani ved is hadh tak sanchhipt hain to kuch tajjub nahi ki sabse aakhiri ved hz isa (as) se bhi baad ki ho, isse naraashan ke prakatan ke waqt ka andaza kiya ja sakta hai,


is mantra ke dusre slok me naraashans ko " koram " kaha gaya hai, lafz " koram " ke do maane hai,

ek " mujaahir " dusre " shaanti ka dhwaj'waahaq (flag holder) "

inme se jo maane bhi karen sabse zyada

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) is par fit baith'te hain, aap

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne makka se madeena hijrat ki jo ambiya ke itihaas (history) ki sabse mashoor ghatna(waqeya) hai,


aap

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) hi shanti ke dhwaj'waahak they, iska andaza isse kiya ja sakta hai ki aap

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke aagman ke waq madeena me jahan aap muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hijrat ki, "aus" wa " khajraj" ke beech 100 saal se rah rahkar ladaayi chali aa rahi thi, mashriqi (north) arab me " baqr" wa " taghlab" ke beech 40 saal se ladaayi chali aa rahi thi, jisme dono ke 70000 aadmi maare ja chuke they,

beech (central) arab me " abas" wa "zubyan" ke beech tahalka macha huwa tha,

yemen ke yahudi hukmarano ne " nazraan " ke isaayi baashindon ko zinda jala daala tha, jawab me "habash" ke isaaiyon me yemen par kabza karke wahan ki eent se eent baja di thi, fir kaaba dahaana chaaha toh allah ke azaab ne unki qamar todh di, isse faayeda uthaakar yemen par faarsi (persian) chadh aaye, Har taraf se jung wa maarkaat ka toofaan maujood tha,

qabaail apne aawaas grahon (homes) me qaid they, phir bhi hamlawaron se mahfooz na they, makaano se baahar nikalna maano maut ko daawat dena tha,

sirf dhaarmik(religious) hurmat ke 4 mahine uske liye shaanti waale they, lekin is thodi se muddat ke liye bhi jung se alag rahna unke liye mushkil ho jata tha aur wah kuch mahino ko aage peeche karke us dauraan bhi jung ka mauqa nikaal lete they,


is toofaan ke dauraan

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki daawat zaahir hui, log

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se bhi isi dhang se pesh aaye, lekin aap muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne dusre tareeqe se jawab diya,

nateeja yah huwa hi poora arab sirf 8 saal ki muddat me shaanti ka gadh ban gaya,

wah jo 40 aur sau sau saalon se ladhte chale aa rahe they, is tarah bhai bhai ho gaye ki har ek dusre ki jagah apni jaan dena Apne liye sa'aadat samjhne lage, jahan kaafile raah chalte hue loote aur maare jaate they, wahan hodaj nasheen aurat akeli sainkdon meel se aati jaati aur koi tirchi nazar uthaakar dekhne waala na hota tha,


matlab yah ki ambiya ke poore itihaas me shaanti qayem karne ka yah kaarnaama muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke elaawa kisi ne anjaam na diya,


is mantra ke aakhiri slok me yah bhi kaha gaya hai ki allah aapke dushmano ke beech jinki taadaad 60090 hogi, aapki hifaazat (raksha) karega,


isme dushmano ki tadaad ka baareeqi ke saath bataayi gayi hai aur is bina par yah badi mahaan aur hairat'naak pesangoyi (prophecy) hai,


researchers iska badal dhoondne aur muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par isko ghalat saabit karne ke silsile me hairaan wa pareshaan hain aur bhaag daudh kar boodhon, bacchon, aur aurton samet makka ki aabaadi ka hisaab lagaate firte hain jo bilkul ghalat hai,




Hifaazat ka sawaal us dushman se paida hota hai jo aapke qatl ke darpe ho, isliye aurton, bacchon aur boodhon ko ginna sahih nahi aur unko milaakar bhi makka ki aabaadi us tadaad ko bilkul bhi nahi pahunchti thi,


sahi yah hai ki dushman se muraad wah sainik hain jo talwaar lekar aapke muqaable aaye, ya jinhone khoofiya tareeqe se aapko qatl karne ki koshish ki kyonki unhi se aapko jaan ka khatrah tha,

isliye unhi se aapki hifaazat bhi karni thi aur badi hairat se suniye ki is qism ke aapke dushmno ki tadaad theek 60090 thi,

"quraish" aur unke saathi "banu gitfaan" aur unke shurka kul 10,000 they, jo jung e khandak me saath aaye they,
aur dusri jungon me chhoti chhoti toliyon ke andar,

isi tarah yahud ke wibhhinn qabeele ke sainikon ki tadaad 10,000 thi jo khaibar me lagbhag ek saath lade aur baaqi jungon me alag alag,

roomi (romans) jinhone madeena par dhaawa bolkar uski eent se eent bajaani Chahi aur jinse muqaable ke liye muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) tabook tashreef le gaye toh saamne na aaye, unki tadaad 40000 thi kul dushman 7 hue,

kapti jinhone tabuk me saath jaane se chhama yaachna kar li 80 they, aur jo tabuk me rah gaye wah 12 ya 13 they, unhone waapsi me aapko qatl karne ka bhi iraada kiya lekin naaqaam rahe,

unme se 2 ya 3 pash o pesh me they aur unhone tauba kar li, 10 kapat par qayem rahe,

is tarah unki kul tadaad 60090 hui, yun aapke qatl ke abhilaashi dushmano ki tadaad theek 60090 hoti hai, jinke beech allah ne aap muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hifaazat ki,


NOTE: mantra ke is tukde me lafz " rosham" istmaal huwa hai, yah jahan dushmani ke maane me istmaal hota hai wahi zazeeratul arab ke baashindon par bhi bola jaata hai, yahan agar yah dusra maana liya jaaye toh is baat ka pata ho jaata hai ki "NARAASHANS" ka talluk zazeera tul arab se hoga,

Aur malum hai ki zazeera tul arab se sirf muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) bheje gaye hain...



Slok no- 2 should be continued in next article