Tuesday, May 8, 2012

AQLMAND MUNKIREEN-E-HADITH SE CHAND SAWALAAT

Bismillahirrahmanirraheem



AQLMAND INKAAR-E-HADITH SE CHAND SAWALAAT:



Aaj kal dekhne me aa raha hai ki ahle quraan (hadith rejectors) ka fitna badhta hi ja raha hai.....

In asbaab ke pesh e nazar sabse aham sawaal ye uthta hai ki


KYA QUR'AAN ME SAB KUCH HAI AUR HADITH KI ZARURAT NAHI ???



Inkaar e hadith (hadith rejectors) ke liye sabse aham aur buniyadi nuqtah ye talaash kiya gaya hai ke

kya quraan majeed me har masla ki tafseel bayaan kar di gayi hai, isliye hadith ki zarurat nahi?

Iske saboot me quraan ki kuch ayaatein todh marod kar aur ghalat bayaan karke ye yaqeen dilaaya jaata hai ke quraan me har masla ki tafseel maujood hai ,


munkireen e hadith ab hamaare sawaal sunen,

qur'an me murdah, khoon, suwar ka ghost aur ghairullah ke naam par zibah kiya huwa jaanwar haraam kiya gaya hai aur bahimatul anaam halaal kiya gaya hai,

"bahimatul anaam " ki tafseer qur'an me un jaanwaron se ki Gayi hai jaise oontni, oont, gaaye (cow), bail (ox), bakri, bakra, bhedh, mendha, lughat me bhi bahimatul anaam ki fehrist me yahi jaanwar bataaye gaye hain

ab sawaal ye hai ke unke elaawa duniya ke baqiya jaanwar halaal hain ya haraam ???

Maslan kutta, billi, geedadh, bhediya, cheeta, sher, tendua, bandar, bhaalu, deer, cheetal, sambhar, baarah singha, bhains, rabbit, kawwa, eagle, vulture, kabootar, wagerah ye saare jaanwar halaal hain ya haraam ???

Ya inme se kuch halaal hain aur kuch haraam ???

Aap jo bhi jawab den uska saboot qur'an se den ! Aapki aqli tarkbandiyan nahin maani jaayengi, yaani chunke aap daawedaar hain ke har masla qur'an me maujood hai is liye in jaanwaron mese jisko halaal maane uske halaal hone ka saboot qur'aan se den, aur jisko haraam maane uske haraam hone ka saboot qur'an se den


aur agar aap qur'an se na de saken ( aur yaqinan nahi de sakenge) toh ye is baat ki daleel Hai ke qur'an me har masla bayaan nahi kiya gaya, aur hadith ki zarurat hai,

kyonki in jaanwaron ke halaal wa haraar hone ka qayeda hadith me bayaan kar diya gaya hai jisse fauran maalum ho jaata hai ke kaun sa jaanwar halaal hai aur kaunsa haraam


DUSRA SAWAAL:



Ye hai ke qur'an me namaz padhne ka huqm diya gaya hai, namaz ki haalat me khade hone, ruku karne aur sajdah karne ka zikr bhi qur'aan me hai,


ab sawaal ye hai ke namaz me pahle khade hon ??

Ya pahle ruku karen ??

Ya pahle sajdah karen ? Phir khade hon toh haanth baandh kar khade hon ya latka kar ??

Ek paaon par khade hon ya dono par ??

Lughat me ruku ka maana hai " jhukna"

sawaal ye hai ke aage jhuken, ya daayen (left), ya baayen (right) ??

Phir jhukne ki miqdaar kya ho ?? Zara sa sar uncha karen ya qamar ke baraabar uncha karen ya usse bhi zyada uncha karen ??

Phir ruku ki haalat me haanth kahan ho?? Ghutno par teken ??

Ya dono Raano ke beech me rakh kar baazuon ko raan par teken ??

Ya dande (bamboo) ki tarah latakne den ?

Isi tarah sajdah kaise karen

yani zameen par sar ka kaun sa hissa teken, peshaani ka beech ka hissa, ya daaya(left) kinaara, ya baaya kinaara ??

Sazde ki haalat me haath kahan rakhen ? Raano me ghusa len ? Ya zameen me teken?

Aur agar zameen par teken toh sirf hatheli zameen par teken ya poori kuhni zameen par teken??

Sajdah ek karen ya do karen ?


In sawaalon ka jo bhi aap jawaab de uska saboot qur'an se den,


TEESRA SAWAAL:


Ye hai ke qur'aan me zakaat wasool karne ka huqm diya gaya hai, na dene waalon ko shakht azaab ki dhamki bhi di gayi hai, jis jis qism ke logon par zakaat kharch karni hai unhen bhi bata diya gaya hai,

lekin sawaal ye hai ke ZAKAAT kab kab wasool ki jaaye ?? 50 saal me ya 10 saal me ya 20 saal me ya ek martaba di jaaye ??

Ya umar bhar me ek martaba di jaaye ??

Phir ye zakaat Kis hisaab se di jaaye ? Kitni kitni di jaaye ? Yani galla kitna ho toh usme zakat di jaaye ? Aur kitne ghalla par kitni zakaat di jaaye ?

Sona aur chandi kitni ho toh zakaat di jaaye ? Aur kis hisaab se di jaaye ??

Ye saare masla quraan se saabit kijiye, agar aap quraan me ye masail na dikhla saken ( aur yaqinan nahi dikhla sakte ) toh saabit hoga ke hadith ko maane beghair quraan ke huqm par bhi amal mumkin nahi hai, kyonki in saare maslon ka bayaan hadith me hi aaya hai...


CHAUTHA SAWAAL:



Qur'an me huqm hai ke musalman jung me kuffar ka jo maal -e-ghanimat haasil karen uske 5 hisse karke ek hissa allah aur uske rasool (sallalaho alaihi wasallam) ke naam par alag nikaal diya jaaye, jo yateemon aur miskeeno aur haajat mandon wagerah me baat diya jaaye..


Sawaal ye hai ki baaqi 4 hisse kiya kiye jaayen ?

Tamaam mujaahideen par baraabar baraabar baat diya jaaye ya farq kiya jaaye ?? Kyonki baaz Log apna hathyaar, ghoda, teer, kamaan, neza, bhaala, zirrah, khud, sawaari ka jaanwar, aur khaane ka saamaan khud lekar jaate they, aur baaz ko islami hukumat ki taraf se saamaan faraaham kiye jaate they,

usi tarah baaz log badi bahaduri aur be'jigri se ladte they, baaz dabke rahte they, kuch agli saf me rahte they jin par baraah e raast dushman ka hamla hota tha,

kuch peeche rahte they jo khatrah se door rahte they,

ab agar un sabko baraabar den toh kyun de ?? Aur uska suboot quraan me kahan hai ?? Aur agar farq karen toh kis hisaab se farq karen ?

Qur'an se iska hisaab bataayen, aur agar commander ki raaye par chhod den toh qur'aan me kahan likha hai ke commander ki raaye par chhod den ?? Iski daleel dijiye


agar qur'an me is maslon ka hal nahi hai toh kaise kaha ja sakta hai ke quraan me saare masle bayaan kar diye gaye hain



PAANCHWA SAWAAL:


Quraan me huqm hai ke chori karne waale mard aur Aurat ke haanthon ko kaat do,

ab sawaal ye hai ke dono haath kaatein ya ek haanth ? Aur agar ek haath kaatein to daahina (left) kaatein ya baanya(right) ?

Phir use kaatein toh kahan se kaatein ? Baghal se ? Ya kuhni se ? Ya kalaayi se ? Ya unke beech me kisi jagah se ?

Aap jo bhi jawaab den sirf qur'an se den, aur agar qur'an se uska koi jawab nahin de sakte toh kaise kahte hain ke qur'an me har masla bayaan kar diya gaya hai



CHATHA(6th) SAWAAL:



Qur'an me ye irshaad hai ke jab jumah ki namaz ke liye pukaara jaaye toh allah ke zikr ki taraf daudo, aur khareed farokht chhod do,


ab sawaal ye hai ki jumah ke din kab pukaara jaaye ? Kis namaz ke liye pukaara jaaye ? Kin alfaaz ke saath pukaara jaaye ? Jis namaz ke liye pukaara jaaye wah namaz kaise padhi jaaye ?


In saari baaton ka saboot qur'an se dijiye, warna tasleem kijiye ke qur'an me har masla bayaan nahi kiya gaya hai,


saaf baat ye hai ke Qur'an me rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke tareeqe ki pairwi karne ka huqm diya gaya hai, aur jo baatein ham ne poochi hain un baaton me aur usi tarah zindagi ke bahut saare masail me tanha qur'an se kisi tarah maalum nahi ho sakta ke rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka tareeqa kya tha...

Ye tareeqa sirf hadith se malum ho sakta hai, isliye jab tak hadith ko na maane khud qur'an par bhi amal nahi kar sakte....



ALLAH HAMAARE MUNKIREEN E HADITH BHAAIYON KO HADITH KO SAMJHNE KE TAUFEEQ DE...... Ameen