Sunday, May 20, 2012

VED ME NARASHANS (PROPHET MUHHAMMAD)--- DUSRA MANTRA








Bismillahirrahmanirraheem



VED ME NARASHANS (PROPHET MUHHAMMAD)--- DUSRA MANTRA:



" uski sawaari oont hogi aur uski 12 patniyan hongi, uska darja itna buland aur uski sawaari itni tez hogi ki wah aasmaan ko chhuegi phir utar aayegi "


yah mantra prophet muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke baare me bilkul saaf pesangoyi hai, iski har baat aap par fit baithti hai aur aap hi ke saath khaalis hai, yahan ishaara diya ja raha hai,


oont aapki sawaari thi, safar me, jungon me aur dusre aam mauqon par aap oont hi ki sawaari farmaya karte they,

naraashans ki sawaari oont hone se ek nateeja yah bhi nikalta hai ki uska aagman motors aur hawaai jahaaz (aeroplane) ke us daur tak ruka na rahega, balke us zamaane me hoga jab oont aur us jaise jaanwar sawaari ke taur par istemaal ho rahe honge, iske maana yah hain ki us rasool ke aagman ka zamaana guzar chuka,....

Aainda uske aane ka intezaar... Jaisa ke Hindu hazraat kar rahe hain, sahi nahi,


isse yah bhi nateeja nikalta hai ki iska aagman registaani (desert) ilaaqe me hoga kyonki oont registaani ilaaqe ki sawaari hai aur maalum hai ki mulk arab ek registani ilaaqa hai,


isse yah bhi malum huwa ki yah paighambar hindustan me paida na hoga, brahaman ya arya nasl se bhi na hoga, aur hindu dharm par bhi na hoga,

kyonki hindu dharm me paighambaron ke liye oont ka ghost aur dhoodh haraam hai, aur brahaman ke liye oont ki sawaari haraam hai,

brahman agar kisi dabaao ke beghair apni marzi se oont ya gadhe par sawaar ho jaaye to bhrast (napaak) ho jaata hai,

aur jab yah paighambar brahaman na hoga to arya nasl se bhi nahi ho sakta kyonki arya nasl me paighambari aur nubuwwat brahaman ke saath khaas hai,

jab yah taiy ho gaya ki naraashans registaani ilaaqe se hoga aur arya ya hindu na hoga toh yah bhi taiy ho gaya ki wah arab se hoga,


wah tajarrud (brahmacharya) ki zindagi guzaarne waala (brahmachaari) na hoga, balki shadi karega aur shadi bhi ek nahi 12 aurton se karega aur yah baat theek theek prophet muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par sahi aati hai,

aapki kul 12 patniyan thi, jabki aapke siwa kisi aur nabi ki patniyon ki yah tadaad na hui, aapki 12 patniyon ke naam ye hain:

1- sayyida hz khadija binte khuwailad (ra)

2- sayyida hz sauda binte jam'a (ra)

3- sayyida hz aisha binte abu bakr (ra)

4- sayyida hz hafsa binte umar (ra)

5- sayyida zainab binte khuzaima (ra)

6- sayyida umme salma binte abi umayya (ra)

7- sayyida zainab binte jahash (ra)

8- sayyida rehana binte zaid (ra)

9- sayyida juweriya binte haris (ra)

10- sayyida umme habeeba binte abu sufyan (ra)

11- sayyida safiya binte hai bin akhtab (ra)

12- sayyida maimoona binte haris (ra),


Note: is mantra ke pahle slok ke dusre alfaz ke anuwaad (translation) me thoda Sa ikhtelaaf hai, sanskrit ke mashoor hindustani aalim pandit " ved prakash upadhyay" ne apni kitab "narashans aur antim rishi" ke page no 14 me wahi anuwaad kiya hai jo guzar chuka hai,

lekin kuch dusre aalim kahte hain ki yahan ved ki pratiyon me ikhtelaaf hai, aam pratiyon me dwirdash (twelve) hai, yani dwaal aur sheen (both are arabic alphabets) ke beech ra zyada hai,

aur is prati ke mutabik yah arth kiya gaya hai ki " uski patniyan hongi aur uski sawaari ke liye 2 khoobsoorat oontniyan hongi, yah arth bhi prophet muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par hi fit aata hai,

aapke paas sawaari ke liye do khoobsurat oontniyan thi, ek ka naam " qaswa" aur dusri ka naam " azba" tha...


Kuch ne " door desh " ka arth kiya hai " double 10" yani 20...... Aur anuwaad (translation) yun kiya hai.

" uske paas 20 oontniyan hongi jin par wah khud sawaar hoga aur apni patniyon ko sawaar karega"

ab yah bhi Ajeeb baat hai ki prophet muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki milkiyat me kul 20 oontniyan thi, 2 sawari ke liye khaas thi, baaqi se dhoodh haasil kiya jaata tha lekin zarurat ke waqt wah sawaari ke liye bhi istemal ki jaati thi, khaaskar safar ke dauran aap patniyon ko unpar sawaar farmate they....

(dekhiya tabqaat ibne saad 1/494-495, ma'aarif ibne qateeba page 143, talqihul mafhoom ibne jawzi page 14)


yahan yah baat bhi yaad rakhne kaabil hai ki prophet muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki patniyon ke elawa kisi aur nabi ki patni ya patniyon ne oont ki sawaari nahi ki...

Is mantra ke dusre slok me isra aur meraj ke waqeya ke taraf ishaara hai, is waqeye me aapko " burraq" par sawaar kiya gaya jiska qadam wahan padta tha jahan uski nigaah jaati thi, usne raaton raat aapko aasmaano ki sair karaayi phir makka me la utaara, yah baat bhi prophet muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) Ke elawa kisi aur me nahi paayi gayi......



MANTRA NO -3 TO BE CONTINUED IN NEXT ARTICLE