Saturday, August 31, 2013

BETI KO NASEEHAT EK BAHTAREEN DAHEJ (DOWRY)







Bismillahirrahmanirraheem

 



BETI KO NASEEHAT EK BAHTAREEN DAHEJ (DOWRY)

 



Aajke Mu'aashre Me Dahej Ka Len Dein Itna Zyada Taraqqi Pazeer Hai Ke Har Maaldar Aur Na'maaldar Apni Ladki Ki Izzat Afzaayi Wa Na'moor Ke Liye Dahej Ke Maamle Me Apne Dhan (wealth) Wa Daulat Aur Quwwat Wa Mashaqqat Ki Baazi Laga Kar Ek Dusre Se Aage Badhne Ki Koshish Karta Hai,

Halaanke Isse Chand Rozah Shohrat Ke Azdawaazi Zindagi (Married Life) Me Koi Nafa Bakhs Nateeja Nahin Nikalta,

Azdawaji Zindagi Ke Liye Sabse Qeemti Tohfa Aur Nafa Bakhs Dahez Ye Hai Ke Waalidain Apni Chaheti Beti Ko Shadi Aur Rukhsati Ke Mauqe Par Uske Naye Ghar Aur Naye Mahaul Me Daakhil Hone Ke Aadaab ; Zindagi Ke Saathi Ke Saath Rahan Sahan Ke Tareeqe Aur Usko Khidmat Ghuzaar Biwi Ke Taraz Zindagi Se Mutaalliq Wasiyat Wa Nasihat Ki Nemat Se Nawaaze Yahi Nemat, Khushnaseeb Ladki Ke Naye Ghar Ko Chaman Aur Aindah Zindagi Ko Sada'bahar Banaane Ka Sabse Bada Sarmaaya Hai Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Tarbiyat Yaafta Sahaba Kiram Aur Unke Namoona Amal Par Chalne Waale Khushnaseebon Ne Apni Chaheti Betion Ko Shadi Ke Mauqe Par Jo Naseehatein Ki Hain Wah Aaj Bhi Taareekh Me Mahfooz Hain,

Hz Anas (Ra) Ka Bayan Hai Ke

Nabi E akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Sahaba Jab Kisi Aurat Ko Rukhsat Karte Hue Uske Khwaawind (Shauhar) Ke Paas Bhejte Toh Usko Huqm Dete Ke Apne Shauhar Ki Khidmat Kare Aur Uske Haq Ka Poora Khyaal Rakhe

Hz Umar (Ra) Ne Apni Beti Hz Hafsa Ko Nabi E Akram Sallalaho alaihi wasallam Ki Jauziyat Me Dene Ke Baad Naseehat Karte Hue Farmaya

" Beti ! Nabi E Akram Sallalaho Alaihi wasallam Se Zyaadah Saamaan Wagerah Ka Mutaalba Na Karo Aur Na Kisi Cheez Ke Baare Me Aap Se Takraar Karo Ya Bol Chaal Chhod Do,

Agar Tumhe Kisi Cheez Ki Zaroorat Pesh Aaye Toh Mujhse Maang Liya Karo,

Apni Saukan (Hz Aisha) Ki Rosh Apna kar Dhoka me Na Padhna, Kyonki Wah Tumse Zyada Khoobsoorat Aur Nabi E Akram Sallalaho alaihi wasallam Ke Nazdeek Ziyaadah Mahboob Hain"

(Bukhari)

Hz Abdullah Bin Jaafar (Ra) Ne Apni Beti Ko Is Trah Naseehat Ki Thi,

"Pyari Beti ! Saukanon Par Ghairat Karne Se Parhezz Karna Kyonki Ye Talaaq Ki Kunji Hai

Zyadah Ghussa Na karna Kyonki Ye Bughz Ka Sabab Hai,

Surma Zaroor Lagaaya Karna Isliye Ke Ye Sabse Umda Zeenat Hai,

Aur Bahtareen Khusboo Pani (Water) Hai"

Faraafsah Bin Ahwus Ne Jab Apni Beti Naylah Ki Shadi Hz Usman (Ra) Se Kiya Toh Rukhsati Ke Waqt Nasihat Karte Hue Kaha

"Pyari Beti ! Tum Aisi Aurton (Saukano) Ke Beech Me Ja Rahi Ho Jo Qabeela Quraish Se Hain ,UnKa Haal Ye Hai Ke Attar Wa Khusboo Par Tumse Kahin Zyadah Qaadir Hain, Lihaaza Tum Meri 2 Baton Ko Yaad Rakhna

Ek Ye Ki Surma Baraabar Lagaati Rahna,

Dusri Ye Ke Khushboo Ki Jagah Pani Ka Istemaal Itna Zyadah Karna Ke Tumhare Jism Maheq, Baarish Me Khoob Bheegi Hui Mushk Ki Boo Jaisi Ho Jaaye "

(Tohfatul Urus)

Khwaateen E Islam Me Ek Nek Bakht Khatoon Umm Ayaas Bint Auf Ghuzri Hain,

Unki Shadi, Kindah Ke Baadshah Umar Bin Hajar Se Hui Thi,

Jab Unki Rukhsati Ka Waqt Aaya Toh Unki Maa "Umama Bint Harith" Ne Unko Tanhaayi Me Le Jaakar Bahut Hi Jaame Waasiyat Kiya Ji Is Laayeq Hai Ke Tamam Khwaateen Islaam Isko Dastoor Hayat Banaayen,

Kahti Hai,

"Beti ! Agar Fazeelat Adab Ke Khyaal Se Wasiyat Karni Chhodi Ja Sakti Hai Toh Tumhaare Liye Bhi Isko Chhodna Munaasib Hai,

Lekin Yaad Rakho! Waasiyat Ghafil Ke Liye Tanbiyah Aur Aaqil Ke Liye Madad Hai,

Agar Koi Aurat, Shauhar Se Isliye Be'niyaaz Rahna Chahti Hai Ke Uske Waalidain Daulat'mand Aur Uske Mohtaaj Hain Toh Tum Auron Ki Ba'nisbat Zyaada Be'niyaaz Ho,

Lekin Qanoon Fitrat Hai Ke Aurtein Mardon ke Liye Paida Ki Gayi Hain Aur Mard Aurton Ke Liye

Beti! Tum ApnE Paidaishi Ghar Aur Manoos Fiza Se Nikal Kar Naye Ghar Me Apni Zindagi Ke Saathi Ke Paas Ja Rahi Ho Jisse Abhi Manoos Nahin Ho,

Kal Tumhare Liye Us Saathi Ki Position Ek Nigran Aur Baadshah Ki Hogi,

Tum Uski Laundi Rahna Toh Wah Tumhara Ghulam Bana Rahega,

Us Shareek E Hayat Ke Saath Zindagi Ghuzaarne Ke Liye 10 Khaslatein Yaad Kar Lo Ye Tumhaare Liye Khazaana Hain

1- Shauhar Ke Saath Enksaari Se Pesh Aana, Aur Uski Thodi Cheezon Ko Kaafi Samjhna

2- Uski Baat Sunkar Acchi Tarah Amal Karna,

3-4- Uski Aankh Aur Naak Ke Mauqa Wa Mahal Ka Khyaal Rakhna Yani Tum Me Koi Aisi Cheez Dekhe Jo Us Ko Kharaab Maalum Ho Aur Uski Naak Tum Se Sirf Wahi Boo Soonghe Jo Bahut Umdah Ho,

5-6- Uske Khaane Aur Sone Ke Waqt Ka Khyaal Rakhna, Kyonki Khaane Me Jahan Der Hogi , Bhookh Ki Aang Shole y Maarne Lagti Hai, Aur Neend Me Kami Ghaiz Wa Ghazab Ka Sabab Hoti Hai,

7-8- Uske Maal Ki Nigraani Aur Aal Wa Ayaal Ki Dekh Rekh Tumhari Zimmedari Hai, Maal Ke Maamle Me Asal Kaam Aamad Wa Kharch Ka Bahtar Meyaar Qayem Rakhna karna Hai, Aur Aal Wa Ayaal Ke Silsile Me Buniyaadi Cheez Ymdah Tadbeer Wa Intezaam Hai,

9-10- Tum Uski Nafarmani Na Karna aur Na Uske Raaz Ko Dusron Se Zaahir Karna, AGar Tum Uske Huqm Par Nahin Chalogi Toh Usko GhussE Se Bhadka dogi,

Aur Agar Uska Raaz Dusron Se Zaahir Karogi Toh Uske Be'wafa Ho Jaane Ka Darr Hai,

Ye Bhi Yaad Rakho ! Jab Wah Ghamgheen Ho Toh Uske Saamne Khush Hone Ya Wah Khush Ho toh Tum Ghamgheen Hone Se Parhez Karna "
(Tohfatul Urus)

Abul Aswad Ne Apni Beti Ko Nasihat Karte Hue Kaha

"Ghairat Wa Hasad Se Door Rahna Kyonke Ye Talaaq Ki Kunji Hai, Zeenat Ko Laazim Pakadna Aur Sabse Umdah Zeenat Surma Hai

Khusboo Bhi Zaroor Istemal Karna Aur Bahtareen Khusboo Acchi Tarah Muqammal Wuzu Karna Hai"

(To Be Continued)