Saturday, August 31, 2013

AHNAAF (IMAM ABU HANIFA 'RH') KE 3 GIROH-- (PART-1)

.Bismillahirrahmanirraheem

 


AHNAAF (IMAM ABU HANIFA 'RH') KE 3 GIROH-- (PART-1)

 


Usooli Aitbaar Se Ahnaaf Ke 3 Giroh Hai,

Pahla Giroh Imam Abu Hanifa (rh) Aur Unke Shargirdan e Raashid Imam Muhammad Aur Imam Abu Yousuf (Rh) Aur Unka Tarz e Amal Akhtiyaar Karne waalon Par Mabni Hai,

Unse Ahle hadith Ka Usooli Taur Par Ikhtelaaf Nahin Hai,

Baaz Ahle Hadith Ulema (Jaise Hz Gondolwi 'rh') Ahnaaf Se Usooli Wa Furu Me Ikhtelaaf Ki Jo Nafi Farmate Hain Uska Taalluk Isi Giroh Se Hai,

Ham Chand Aqwaal Aur Misaalon Se Is Giroh Ka Usooli Mauqaf Bayan Karte Hain Taake Baat Waazeh Ho Jaaye..

AHNAAF KE PAHLE GIROH: IMAM ABU HANIFA (RH) AUR UNKE SAAHIBEEN KA TARZ FIKR WA AMAL:

Imam abu Hanifa (Rh) Ki Azmat Wa Fuqaahat Musallam hai, Isme Koi Shak Nahin,

Lekin Zara Unka Tarz E Amal Dekhiye,

Imam Sahab Se Poocha Gaya Ke Agar Aap Ki Koi Aisi Baat Ho Jo Kitabullah Ke Mukhaalif Ho Toh Kya Kiya Jaaye ?

Aapne Farmaya:-" Kitabullah Ke Muqaable Me Meri Baat Chhodh Do"

Unse Kaha Gaya:-" Jab Aapki Baat Hadith E Rasool Ke Khilaaf Ho?"

Aapne Farmaya:-" Hadith E Rasool Ke Muqaable Me Meri Baat Tarq Kar do"

Fir Aapse Kaha Gaya:-" Agar Aapki Baat Qaul Sahabi Ke Khilaaf Ho ?"

Aapne Farmaya:-" Uske Muqaable Me Meri Raaye Ko Nazar'andaaz Kar do"

Imam Sahab Ka Ye Qaul Imam Shauqaani Ne " Qaul Ul Mufeed Page 23" Me Naqal Kiya Hai,

Imam Abu Hanifa (Rh) Ne Apne Shargird Imam Abu Yousuf (Yaqoob) Se Kaha

" Aiy Yaqoob ! Meri Zabaan Se Nikli Hui Har Baat Mat Likha Karo, Isliye Ki Ham Bhi Ek Insaan Hain, Aaj Ham Ek Baat Kahte Hain Aur Kal Usse Ruju Kar Lete Hain, Kal Ki Kahi Hui Baat Se ParSon Ruju Kar Lete Hain "

(Inteqa Fi Fazail Ul Salasa aimma tul fuqaha , abdul barr page 190)

Aapne Ahle Ilm Wa Fuqaha Ko Taqeed Farmaayi

"Jis Shakhs Ko Meri Kahi Hui Baat Ki Daleel Ka Ilm Nahin Us Par HaRam Hai Ke Wah Mere Qaul Par Fatawa Jaari kare"

(meezan Ul Kubra Page 38)

Aur Aapne Apna Mazhab In Alfaaz Me Bayan Kiya

"Jab Hadith Sahih Saabit Ho Jaaye Toh Wahi Mera Mazhab Hai"

(Raddul Mukhtar, Ibn Aabideen 1/68, Daarul fikr 1966)

Yani Hadith Sahih Ke Muqaable Me Kisi Ki Raaye Ko Ahmiyat Haasil Nahin,

Meri Raaye Bhi Hadith Ke Khilaaf Ho Toh Wah Bhi Qaabil E Qubool Nahin Balke Tarq Ke Layeq Hai, Aur Hadith Sahih Hi Asal Cheez Hai, Aur Yahi Mera Mazhab Hai,

Aap Jab Fatawa Dete Toh Farmaate

" Ye Noman Bin Saabit Ki Raaye Hai, Hamare Khyaal Me Ye Bahut Acchi Raaye Hai, Jo Isse Bahtar Raaye Pesh Kare Uski Baat Ko Tarjeeh Hai"

(Alaam Ul Moqeen 1/40)

Aap Hadith Ko Kitni Ahmiyat Dete They ?

Iska Andaaza Aap Imam Abu Yousuf Ke Is Waaqye Se Laga Sakte Hain Ke

Imam Abu Hanifa (rh) Ka Maslaq Bayan Kiya Gaya Hai Ke Waqf Ka Farokht Karna Jayez Hai Halaanke Hadith Me Waazeh Taur Par Maujood Hai

" Waqf Na Farokht (sell) Kiya Jaaye, Na Hiba (Gift) Kiya Jaaye Aur Na WarSe Me Taqseem Kiya Jaaye"

(Sahih Bukhari Al Wasaya )

Imam Abu Yousuf Farmate Hain

" Agar Imam Abu Hanifa (rh) Ko Yah Hadith Mil Jaati Toh Iske Mutaabik Hi Mauqaf Akhtiyaar Karte Aur Apne Baiyy Waqf Ke Maslak Se Ruju Kar Lete"

(Sablul Salam Sharah Bulughul Maram 3/42)

Qaazi Sadarruddin Ibn Abi azz Hanafi Likhte Hain

Jab Imam Abu Yousuf ne Sa'aa Ki Miqdaar Aur Sabziyon Me Zakaat Wagerah Ke Masail Me Ruju Kar Liya Toh Farmaya

" Agar Mere Ustaad (Imam Abu Hanifa) Ke Ilm Me Bhi Wah Cheez Aa Jaati Jo Mere Ilm Me Aayi Toh Wah Bhi Isi Tarah Ruju Kar Lete, Jaise maine Ruju Kar Liya "

(Itteba, Ibn Abi azz Al Hanafi Page 28, Maktaba Salafiya , lahore)

Goya Imam Abu Hanifa (rh) Ne Apne Shargirdon Ki Tarbiyat Aise Andaaz Me Farmaayi Ke Quraan Wa Hadith Ke Nusoos Ka Ehteraam Aur Unka Tasleem Karna Zaroori Hai Aur Yun Unko Taqleed Jamood Se Bachne Ka Dars Diya,

Yahi Wajah Hai Ki Imam Sahab Ke Khususi Shargird Imam Abu Yousuf Aur Imam Muhammad (rh) Ne Apne Ustaad Se Be'shumar Masail Me Iktelaaf Kiya, Yahan Tak Ke Unki Tadaad 2/3 Bayan Ki Gayi Hain,

Imam Ghazali Farmate Hain

" In Dono Shargirdon Ne Apne Imam Ke Mazhab Ke 2/3 Masail Ka Inkaar Kiya Hai"

(Mankhool Man Taaliqaat Al Usool Al Ghazali, dar Ul Fikr, Ba'tahqeeq Mahmood Hasan)

Aur Ye Masail Furui Masail Tak Mahdood Nahin, Balke Ye Ikhtelaaf Maulana Abdul Haie Lukhnawi (Rh) Ke Ba'qaul Usool Me Bhi Kuch Kam Nahin

Chunanche Wah Muqaddama Umdatul Qari Me Tahreer Farmate Hain

" Dono Shargirdon Ke Apne Ustaad Imam Abu Hanifa Se Usool Me Mukhaalifat Bhu Kuch Kam Nahin, Hatta Ke Imam Ghazali Ne Kaha Ke Unhone Apne Ustaad Ke Mazhab Se 2/3 Masail Me Ikhtelaaf Kiya Hai"

Mazkoor TaFseel Se Waazeh Hai Ke Imam Abu Hanifa Aur Unke Shargird Khaas Hargiz Fiqhi Jamood Ke Qayel Nahin Hain Jo Unke Baad Unke Aksar Pairokaaron Aur Naam Lewaaon Me Paida Hua,

Na Unhone Hadith Se Inheraaf Wa Ghurez Ke Liye Khaas Usool Waza Aur Istemaal Kiye,

Jaisa Ke Baad Ke Aitzaal Se Mutaassir Fuqaha Ahnaaf Ne Waza Kiye Aur Unki Buniyaad Par Bahut Si Hadith Ko Radd Kar Diya....