Sadqa fitr Se Murad Ramdan Ke Mahine Ke Pura Hone Par Namaze Eid Se Pahle Har Musalman Shaks Ki Taraf Se Fitra Ada Karna Hai
Hazrat Ibne Umar (Radi Allahu Anhu) Se Marvi Hai Rasul (Sallallahu Alahi Wasallam) Ne Muslmano Ke Ghulam, Azad, Mard , Aurat , Bache, Budhe Sab Par Sadka Farz Kiya Hai Ek Saa'a(taqriban 2.5 kg) Khajuro Me Aur Ek Saa'a Jau Se Aur Is Ke Bare Me Huqm Diya Hai Ki Yah Fitra Namaz(eid) Ke Liye Nikalne Se Pahle Ada Kar Dia Jaye
Sahi Al Bukhari 1503
Is Hadis Se Malum Hua Ki Sadqa-E-Fitr Farz Hai
Sadka Fitr Ki Tadat Aur Cheeze
Hazrat Abu Saeed Khudri (Radhiallahuanhu) Marvi Hai Ki Hum Anaaz Me Se Ek Saa'a Ya Jau Me Se Ek Saa'a, Ya Khajoor Me Se Ek Saa'a Ya Paneer Me Se Ek Saa'a Ya Munakqe Me Ek Saa'a Sadka Fitr Nikalte The
Sahi Al Bukhari 1506
Is Se Malum Hua Ki In Tamam Chezo Me Se Ya Aise Anaz Jo Logo Ki Khurak Hai In Sab Me Se Ek Saa'a Yani 2 Kg 500 Gm Sadka Fitr Nikala Jayega
Kya Khurak Ke Badle Qeemat Bhi Di Ja Sakti Hai?
Behtar Yahi Hai Ki Jo Anaz Hadis Me Maujud Hai Unhi Se Adayagi Ki Jaye Agar Ye Na Ho To Jo Kuch Bhi Khurak Ke Taur Par Istemal Kiya Jata Hai Wah Sadqa Ke Taur Par Diya Jaye
Lekin Agar Koi Kisi Majboori Ki Wajah Se Qeemat Dena Chahe To Kuch Ulema Ise Jaiz Qarar Dete Hai Kyo Ki Hadith Me Sadka-e-Fitr Ka Jo Maqsad Bayan Hua Hai Wah Masakeen Ko Khilana Hai Jaisa Ki
Hazrat Ibne Abbas (Radhiallahuanhu) Se Marvi Hai Ki Rasul (Sallallahu Alahi Wasallam) Sadqa-e-Fitr Ko Farz Qarar Diya Taki Roze Ke Liye Behuda Kamo Re Paki Hasil Ho Jaye Aur Garibo Ko Khana Bhi Mil Jaye Chunanche Jis Ne Use Namaz(Eid) Se Pahle Pahle Ada Kar Diya To Yah Aisi Zakat Hai jo Qabul Kar Li Gayi Aur Jis Ne Use Namaz Ke Bad Ada Kar Diya To Wah Aam Sadkat Me Se Ek Sadqa Hai
Abu Dawood 1609
Is Hadis Se Ye Bhi Malum Hua Ki Sadka Namaze Eid Se Pahle Ada Kar Dena Zaruri Hai Agar Eid Se 1,2 Din Pahle Ada Kar Diya Jaye To Bhi Koi Harz Nahi