Question :
Jab sy sabit ho jaye k kisi islami mulk maslan saudi arab mai ramzan ka agaaz ho gaya hai aur is ka baqaidah elaan bhi ker dia gaya ho lekin jis mulk mai koi admi muqeem ho wahan abhi ramzan k agaaz ka elaan na kia gya ho to is sorat mai kia hukam hai? kia saudi arab mai ramzan k agaaz ki wja sy hum bhi rozay rakhna shoru ker den ya is mulk k mutabiq ramzan ka agaaz-o-ikhtatam karen jahan muqeem houn?
aur issi tarha eid ka program bhi issi mulk k mutabiq hi banayen yani jab dono mulko mia chand ki tareekhi mukhtalif houn to is sorat mai kia hukam hai? jazakumllah ano-o-an al muslimeen kher-ul-jaza-
Answer :
Musalman ko chaheye k woh roza aur eid ko is mulk k mutabiq sar anjam dey jahan woh muqeem ho kyun k Nabi kareem ka irshad hai:
"Rozay ka woh din hai jis din tum roza rakhty ho aur iftar ka woh din hai jis mai tum roza nahi rakhty aur eid-ul-azha ka woh din hai jis mai tum qurbaniyan kerty ho."
At-Trimithi no.697.
Wa Billah Al Tufeeq-
(Shaikh ibn Baz)
(Shaikh ibn Baz)