Bismillahirrahmanirraheem
DAHEJ KI
TABAAH’KAARIYAN (HARMNESS OF DOWRY)- (PART-1)
Deen E Islam Ek
Muqammal Deen Hai, Jo Cheez Islam Me Maujood Hai Who Fayede Waali Hai Aur Jo
Nahin Hai Wo Nuksaan’deh Hai Aur Society Ke Liye Tabaah’kun Hai,
Kitni Cheezein Aaj Society
Me Chal Rahin Hain Jinka Islaam Se Koi Taalluq Nahin Hai Aur Unka Nuksaan Bhi
Duniya Walon Par Saaf Hai Lekin Fir Bhi Log Bataur Fakhr Pasandi Ya Naak Rakhne
Ke Liye Ya Kisi Aur Maqsad Ki Tahat Ise Is Dahej Ki Laanat Ko Apna Rahen Hain
Fir Is Par Bas Nahin Balke Jo Shakhs Is Ghair Sharai (Unislamic) Kaamon Ko Na
Kare Toh Usko Taane Diye Jaate Hain Aur Use Zaleel Kiya Jaata Hai Unmese Ek
Dahej Ki Rasm Bhi Hai Dahej Ke Mane Ye Hain Ke
Ek Shakhs Apni Beti
Ko Ghar Me Istemaal Karne Ki Har Cheez Muhayya Karne Ki Koshish Kare Jiska
Zimme Aurat Par Nahin Balke Mard Ka Hota Hai, Chaahe Use Qarz Uthaana Pade Ya
Dacaiti , Fraud Ya Haq’talfi Karni Pade Ya Use Bheek Maang Kar Zaleel Hona
Pade, Ye Sab Kuch Karta Hai Lekin Beti
Ko Dahej Zaroor Deta Hai,
Ye Rasm Barre Sagheeer Me Islamic Hukumat
Khatam Hone Se Pahle Bahut Kam Thi Aur Jahan Se Wahan Aksar Ameer Hindu
Gharaanon Me Hoti Thi Jinki Aamdani
Haraam Maal Se Hua Karti Thi Lekin In Ameer Gharaanon Ki Dekha Dekhi Me Ye Marz
Ghareebon Me Bhi Badhta Chala Gaya Jo Ke Aaj Cancer Ki Soorat Akhtiyaar Kar
Chukka Hai, Jo Taqreeban Mulk Ke Har Ghar Me Ye Marz Daakhil Ho Chukka Hai Ye
Aur Baat Hai Ke Kuch Log Toh Dahez Apni Khushi Se Dete Hain Aur Nabi E Akram Muhammad
Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sunnat Aur Islam Ka Tareeqa Samjh Kar Dete Hain,
Lekin Kuch Log Ise Samjhte Toh Najaiaz Hain Lekin Fir Bhi Wah Dahej Dete Hain
Taake Society Me Unhe Zillat Na Uthaani Pade, Haalanke Zillat Toh Wah Hoti Jo
Aakhirat Me Ho,
Ham In Posts Me Is
Rasm Ke Ghalat Hone Ke Dalail Denge Aur Ye Batayenge Ke Dahej Ke Kya Nuksaanaat
Hain Deendaar Aur Aqalmand Log In Cheezon Ko Padhenge Toh Khud Bhi Is Rasm Se
Bachenge Aur Dusron Ko Bhi Mana Karenge Inshaallah
Kai Log Shadion Par
Bahut Maal Lagaate Hain Aur Betion Ko Dahej
Zyada Se Zyada Dete Hain Unki Daleel Ye Hoti Hai Ke
“Shadi Ek Din Hoti
Hai Baar Baar Nahin Hoti Isliye Ye Kharche Karna Sahih Hai”
Halaanke Ye Haqeeqat
Hai Ki Shadiyan Ek Baar Nahin Baar Baar Aati Hain Kyonki Ek Shakhs Ki Kai Bête
Aur Betiyan Hoti Hain Sab Ki Shadi Karni Hoti Hai T, Toh Maalum Hua Ke Shadi Ek
Baar Nahin Balke Baar Baar Aati Hai Toh Insaan Me Zindagi Bhar Ki Jama Ki Hui
Punji (Capital) Ek Din Me Laga Deta Hai, Dusri Shadi Ke Liye Fir Se Koshish
Shuru Kar Deta Hai Ye Kisi Tarah Bhi Sahih Nahin Hai,
Dahej Asal Me Hinduon
Ki Rasm Hai Jise Wah Daan Ka Naam Dete Hain Wah Dahej Isliye Dete Hain Ke Hindu
Mazhab Me Ye Hai Ke Chaahe Koi Shakhs Maaldaar Ho Ya Ghareeb Uski Jaaydaad
(Property) Thodi Ho Ya Caroron , Arabon, Me Jab Wo Mar Jaata Hai Toh Uski
Jaaydaad Me Se Beti Ko Warsa (Hissa) Bilkul Nahin Milta , Isliye Jab Koi Hindu
Apni Beti Ki Shadi Karta Hai Toh Wah Apni
Beti Ko Khaandaan Se Kaat Deta Haitoh Wah Apni Beti Ko Ghar Me Kaam Aane Waali
Cheezein Deta Hai, Taaki Beti Ki Hausla’afzaayi Ho
Toh Sawaal Paida Hota
Hai Ke Musalman Is Rasm Ko Kyon Akhtiyaar Karte Hain Jab Ke Unke Islaam Me Toh
Aurat Ko Apne Baap Ya Bête Wagerah Ki Jaaydaad Se Warsa Milta Hai Balke Kabhi
Kabhi Mard Se Zyada Aurat Ko Warsa Milta Hai Toh Fir Musalman Ko Kya Zaroorat
Hai Ke Wah Hinduon Ka Tareeqa Akhtiyaar Kare ???
Asal Baat Ye Hai Ki
Musalmano Me Bhi Hinduon Ki Tarah Riwaaj Hai Musalman Bhi Apni Betion Ko
Jaydaad Se Mahroom Kar Dete Hain Agar Jaaydaad Me Hissa Dete Bhi Hain Toh Poora
Nahin Dete,
Halaanke Allah Taala
Ne Dahej Dene Ka Huqm Nahin Diya Balke Wiraasat Dene Ka Allah Ne Huqm Diya Hai
Aur Jo Log Aulaad Ko Warsa Nahin Dete Unko Quraan Me Jahunnum Ki Saza Sunaayi
Hai,
Kitne Afsos Ki Baat
Hai Ke Dahej Ka Huqm Allah Ne Nahin Diya Wah Toh Badh Chadh Kar Diya Jaata Raha
Hai Aur Warsa Dene Ka Huqm Diya Hai Toh Betion Ko Isse Mahroom Kiya Jaa Raha
Hai, Dahej Ka Riwaaz Pahle Bahut Kam Tha Fir Dheere Dheere 2 Sadion Me Badh
Gaya Aur Maujooda Daur Me Dahej Ek Rasm Ke Saath Sath Ek Bahtareen Karobaar Ban
Chuka Hai….
AGAR DAHEJ KI RASM CHALTI RAHI TOH ::
Jis Shakhs Ki Tamam
Betiyan Hon Wah Toh Dahez Jama Karte Karte Tabaah Ho Jaaye Lekin Jiske Bête Hi
Bête Hon Wah Baadshah Ban Jaayega , Islam Me Dahej Ka Koi Tasawwur Nahin Aur
Naa Hi Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Apni Betion Ko Dahej
Diya Aur Naa Hi Nabi E Akreem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Biwiyan
Dahez Lekar Aayin Thin, Aur Na Kisi Sahabi Se Dahez Dena Saabit Hai
Agar Islam Me Dahej
Hota Toh Zaroor Hadith Me Iska Tareeqa Aur Miqdaar Aur Dusre Ahkamaat Mazkoor
Hote, Aur Aimma Kiraam Apni Kitaabon Me Dahez Ka Baab Baandhte Aur, Lekin In
Baaton Me Se Kuch Bhi Nahin Hua Toh Malum Hua Ke Dahez Huqm E Ilaahi Nahin
Balke Logon Ki Banaayi Hui Rasm Hai
To be continued..
#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi