Friday, August 5, 2016

KYA NABI E KAREEM MUHAMMAD SALLALAHO ALAIHI WASALLAM NE HAZRAT FATIMAH (RA) KO DAHEJ DIYA THA ??








Bismillahirrahmanirraheem



KYA NABI E KAREEM MUHAMMAD SALLALAHO ALAIHI WASALLAM NE  HAZRAT FATIMAH (RA) KO DAHEJ DIYA THA ??




Dahej Ke Haami Kahte Hain Ke

“Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Apni Beti Hz Fatimah Ko Takiyah, Mashkeeza Wagerah Cheezein Di Thin, Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Jo Cheezein Dahej Me Di Thi Wah Us Waqt Ke Lihaaz Se  Keemati Thi, Aaj Kyunke Khush’hali Ka Daur Hai Isliye Aaj Beti Ko Dahej Me Keenmati Samaan Dene Me Koi Harz Nahin “

Agar Dahej Ka Tasawwur Islam Me Hota Toh Toh Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Sirf Hazrat E Fatimah (Ra) Ko Nahin Apni Tamaam Betion Ko Dahej Dete, Dusra Ye Ke Aap Dahej Me Sirf Ye  Cheezein Na Dete Balke Aap Arab Ke Baadshah They Aap Ek  Waqt Me Sainkdon Oont Sadaqah Kar Diya Karte They, Agar Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Chaahte Toh Uhud Pahaad Sone Ka Ban Jaata Agar Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Dua Karte Toh Betion Ke Dahej Ke Mauqe Par Al;Lah Taala Apne Nabi Ko Bahut Kuch Ataa Farma Deta, Jab Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Iske Bawajood Wah Chand Mamooli Cheezein Di Thi Aur Dahej Nahin Diya Toh Malum Hua Ke Dahej Ki Koi Haqeeqat Nahin Hai,

Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Jauziyah Mohtarma Hazrat Khadija (Ra)  Apni Badi Beti Hazrat Zainab (Ra) Ko  Haar Diya Tha, Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Hazrat Fatimah Ko Mashkeza, Takiya Wagerah Cheezein Di Thi Wah Wah Dahej Ka Sabot Nahin Ban Sakta,



Jahan Tak Hazrat Zainab (Ra) Ke Haar Ka Taalluq Hai Wah Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Nahin Diya Tha Balke Hazrat E Khadija Ne Diya Tha, Dusra Ye Ke Koi Ba’zid Hokar Kahta Hai Ke Wah Haar Nabi E Akram Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Hi Apni Beti Ko Diya That Oh Ye Waqiyah Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Nabi Ban Kar Duniya Me Aane Se Pahle Ka Waaqiyah Hai, Aur Besat E Nubuwwat Se Pahle Kiya Gaya Kaam Daleel Nahin Ban Sakta,


Teesra Ye Ke Wah Haar Bataur Dahej Nahin Balke Apni Beti Ko Rukhsat Karte Waqt Wah Haar Tohfa Diya  Ya Is  Tarah Samjho Ke Wah Haar Hazrat E Zainab Pahna Karti Thin Kyunki Wah Hazrat E Khadija Ki Badi Beti Thin Jab Unki Rukhsati Hui Toh Wah Haar Hazrat E Zainab Se Nahin Utarwaaya Gaya,

Us Haar Se Zyadah Se Zyadah Ye Saabit Hota Hai Ke Agar Kisi Ladki Ko Maa Rukhsati Ke Waqt Koi Cheez Apni Khushi Se  De De Toh Wah  Jaayez Hai Aaj Bhi Aisa Kiya Jaa Sakta Hai Lekin Dahej, Hiba Ya Tohfa Nahin Balke Ye Koi Aur Cheez Hoti Hai,


Dahej Na Dene Ka Ye Matlab Nahin Hai Ke Aadmi Apni Beti Se Wah Cheezein Bhi Le Le Jo Wah Ghar Me Istemaal Kiya Karti Thi, Maslan Kapde, Joote, Zewar Wagerah Hazrat Zainab (Ra) Agar Wah Haar Pahna Karti Thin Toh Unse Utaar Lena  Na’munaasib Tha Isliye Wah Saath Le Gayin Thin,


Baaqi Raha Hazrat E Fatimah Ka Dahej, Pahle Wah Toh Dahej Na Tha Kyunki Dahej Do, Teen Cheezon Ka Naam Nahin Hai,

Chalo Agar Maan Liya Ke Wah Dahej Tha Agar Aap Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ye Cheezein Bataur Dahej Di Thi Toh Musalmaano Ko  Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Sunnat Par Amal Karte Hue Sirf Wahi Cheezein Deni Chahiye Jo Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Le Apni Lakht E Jigar Ko Di Thi, Agar Dahej Dena Hota Toh Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Aur Bhi Bahit Kuch Dete Agar Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Sirf Yahi Cheezein Di Hain Toh Maalum Hota Hai Ke Dahej Me Sirf Yahi Cheezin Di Jaaye,


Haqeeqat Baat Ye Hai Wah Dahej Nahin Tha Balke Wah Samaan Hazrat Ali (Ra)  Ki Jarrah Bech Kar Banaaya Gaya Tha Jo Ke Hazrat E Ali (Ra) Ne Hazrat E Fatimah (Ra) Ko Haq Meher Me Di Thi,


Aaj Bhi Agar Koi Shakhs Apni Beti Ke Haq Mehar Ki Raqam Pahle Se Le Aur Use Beti Ki Zarooriyaat Ka Bando’bast Kare Aur Rukhsati Ke Waqt Wah Cheezein Apni Beti Ke Saath Rawaana Kar De Toh Isme Koi Harj Nahin Balke Ye Sunnat E Nabawi Par Amal Hoga,

Agar Koi Shalkhs Ye Maanne Ke Liye Taiyyar Hi Nahi  Ke Wah Samaan Hz Fatimah (Ra) Ke Mehar Me Di Jaane Waali Jarrah Bech Kar Banaaya Gaya Tha

 Toh Ham Use Kahenge Ke

“ Agar Wah Samaan Khud Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Napni Taraf Se Diya Tha, Tab Bhi Wah Dahej Nahin Tha  Balke Wah Toh Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Taraf Se Hazrat Ali (Ra) Ko Ta’aawun Tha Kyunki Hazrat Ali (Ra) Ko Paas Naa Toh Koi Ghar Tha Aur Na Hi Zindagi Basar Karne Ka Koi Dusra Samaan, Hazrat Ali (Ra)  Kyunki Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasdallam Ki Parwarish Me They Aur Hazrat Ali (Ra) Ke Waalid Faut Ho Chuke They Toh Hazrat Ali (Ra) Ki Nigraani Aur Parwarish Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Khud Hi Kiya Karte They, Isliye Aap Ne Apni Beti Ho Chand Zaroori Cheezein Dekar Rawaana Farmaaya Tha,

Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Hazrat Ali (Ra) Ko Ye Cheezein Bataur E Dahej Nahin Balke Ba’haisiyat Sar’parast Ta’aawun Ke Taur Par Ataa Ki Thi ,,

Isliye Agar Aaj Bhi Koi Shakhs Kisi Ki Parwarish Karta Hai Fir Apni Betti Ka Rishta Use Kar Deta Hai Toh Wah Sarparast Ki Haisiyat Se Jo Kuch Apni Ladki Ko Rukhsati Ke Waqt De Dega Toh Wah Sahih Aur Sunnat Ke Mutaabiq Hoga,

Khulaasa  Kalaam Ye Hai Ke Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Hazrat E Fatimah (Ra) Ko Job Hi Diya Thaw Ah Dahej Nahin Thaaur Na Ummat Ke Liye Dahej Ka Sabot Ban Sakta Hai, Isliye Is Gandi Rasm Ko Sunnat E Nabawi Ke Saath Zodne Ke Jurm Ka Artikaab Na Kiya Jaaye

To Be Continued…..

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks