Monday, August 1, 2016

DUA KE BAAD HAATHON KO CHEHRE PAR FERNA KAISA HAI ??








Bismillah Hirrahman Nirrahim



Dua Ke Baad Hatho Ko Chehre Par Ferna



Allah Pak Quran Me Farmate Hai

..Aur Hamne Yeh Kitab Nazil Farmaee Hai Jiss Mein Her Cheez Ka Saaf Biyan Hai Aur Hidayat Aur Rehmat Aur Khuskhabri Hai Musalmanon Kay Liye.

(Al Quran, Al Israa 17, Ayat 89)

Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam Ne Farmaya

” Sabse Behtareen Kalam Allah Ki Kitab Hai Aur Sabse Behtareen Tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Tareeqa Hai …”

(Sahih Al Bukhari: Volume 9, Book 92, Hadith 382)


Ye Sabit Nahi Hai Ki Rasoolallah Dua Karne Ke Baad Apne Chehre Par Apna Hath Ferte The. Boht Si Ahadiths Hai Jo Kahti Hai Ki Rasool Allah ﷺ Ne Allah Ko Duao Me Pukara Lekin Koi Sabit Riwayat Nahi Hai Jo Kahti Hai Ki Rasoolallah Ne Duao Ke Baad Apne Chehre Par Apna Hath Fera. Jo Ye Kahte Hai Ki Duao Ke Baad Chehre Par Hath Ferne Chaiye Wo Kuch Hadiths Ko Bayan Karte Hai Lekin Tahkeek Karne Pe Ye Pata Chalta Hai Ki Wo Hadiths Saheeh Nahi Hai:

Pahli Riwayat:


Ye Riwayat Kiya Gaya Tha Ki Ibn Abbas R.A. Ne Kaha Ki Rasoolallah Ne Farmaya: “Jab Tum Allah Se Dua Mango, Sidhi Hatheli Se Mango Ulti Hatheli Se Mat Mango Aur Jab Duao Ko Khatm Karo To Apne Chere Par(Apne Hatho Ko) Ferlo. (Zaif)

(Sunan Ibn Majah 3866. Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Zaif Karar Diya Hai.)

Source Of Sunan Ibn Majah: Http://Sunnah.Com/Ibnmajah/34/40


Dusri Riwayat


Yazid Ibn Sa’id Al-Kindi R.A. Riwayat Karte Hai Jab Rasoolallah Duae Mangte The Wo Apne Hatho Ko Uthathe The Aur Apne Hath Apne Chehre Par Ferte The.(Zaif)


(Sunan Abi Dawud 1492. Is Hadith Ko Sheikh Albani Ne Zaif Karar Diya Hai.)


Source Of Sunan Abu Daud: Http://Sunnah.Com/Abudawud/8/77


Shaykh Al Islam Ibn Taymiyah Kahte Hai: Rasoolallah Ke Dua Me Hath Uthane Ke Hawale Se Ye Sabit Hai Kyuki Boht Si Sahih Hadiths Hai Lekin Dua Ke Baad Chehre Par Hath Ferne Ki Sirf Ek Ya Do Hadits Hai Jinhe Dalaail Ke Taur Par Nahi Liya Ja Sakta Hai(Kyuki Wo Hadiths Zaif Hai).

(Majmoo’ Al-Fataawa , 22/519 )


Al-‘Izz Ibn ‘Abd Al-Salaam Kahte Hai: Dua Karne Ke Baad Apne Hatho Ko Apne Chehre Par Siwae Jahil Ke Koi Nahi Ferta.

(Fataawa Al-‘Izz Ibn ‘Abd Al-Salaam , P. 47 )


Toh Shariat Me Is Amal Ki Ijazat Nahi Hai. Logo Ko Duao Ke Baad Apne Jism Par Bhi Hath Nahi Ferna Chaiye Na Hi Apne Ankho Ko Chumna Chaiye.

Ulemao Ne Ye Bayan Kiya Hai Ki Anguthe Ko Chum Kar Apne Aankho Par Rakhna Ek Biddat Hai Jo Ki Sufio Ke Tareeke Se Ijaad Hua Hai Aur Jo Iske Bareme Hadiths Hai Wo Rasoolallah Par Jhutha Mansub Kiya Gaya Hai.

Allah Hum Sabko Biddaton Se Mehfuz Rakhe , Quran Aur Sahih Hadees Per Amal Kerne Ki Neik Tawfeq De ,Hidayat E Ilm & Hidayat E Amal Ata Farmaye Aur Humari Ibadat Ko Qabul Farmaye .Aameen !

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hum Sabko Sahih Deen Seekhne Aur Samjhe ki Taufeeq De Aur Hume Quran Aur Sahih Hadees Ke Mutabik Amal Ki Taufeeq De Ameeen





Allah Se Du'a Hai Ke Hum Ko Ghar Walon Ko Aap Logon Ko Or Sare Musalmano Ko Quran O Sunnat Ko Sahaba Ke Manhaj Par Amal Karne Wala Fir Daw'at Dene Banaye Ameen Ya Rabbal Almenn



#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi