Thursday, August 11, 2016

DAHEJ KA MAAL HARAAM HAI, AUR HAQ MAGHAR AURAT KA HAQ HAI : (PART-5)










Bismillahirrahmanirraheem



DAHEJ KA MAAL HARAAM HAI, AUR HAQ MAGHAR AURAT KA HAQ HAI : (PART-5)



AURAT EK AZEEM NE’MAT :

Diniya E Kaaynaat Ki Tamaam Cheezein Jo Insaan  Ke Istemaal Me Hain Unmese Sabse Aala Nemat Aurat Hai Ye Allah Taala Ki Qudrat Ka Azeem Shahkaar Hai Uske Be’ghair Duniya Ka Wajood Hi Khatam Ho Jaata Hai Insaan Jo Aurat Se Faayeda Aur Lutf Uthaata Hai Us Lutf  Par Duniya Ke Tamaam Lutf Qurbaan Kiye Ja Sakte Hain , Aapne Suna Hoga Ke Kai Maaldaar Ek Raat Ke Lutf Ke Liye Tawaif Mangwakar Unse Dance Karate Hain Aur Subah Ko Wo Laakhon Rupiye Lekar Chalti Banti Hai,

Isse Bhi Maalum Ho Jaata Hai Ki Aurat Kitni Azeem Cheez Hai ?? Ke  Usko Ek Raat Ki Ujrat Laakhon Rupiye De Di Jaati Hai Agarche Ye Tareeqa Haraam Hai Aur Gunaah Kabeera Hai Aur Shariat Ke Yahan Ye Jahannum Waalon Ka Kaam Hai,  Ye Alag Baat Hai Lekin Isse Duniya Walon Ke Yahan Aurat Ki Qeemat Waazeh Hai ,

Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Farmaan Bhi Auraton Ke Mutaalliq Mulaheza Farmaayen

“Poori Duniya Ek Samaan Aur Nafa Ki Cheez Hai Lekin Duniya Ka Sabse Bahtareen Samaan Ek Aurat Hai”

(Muslim Kitab Un Nikah)

Allah Ke Nabi Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Aurat Ko Duniya Ka Sabse Keemati Samaan Qaraar De Rahen Hain, Aakhir Kya Ho Gaya Hamaari Society Ko K Eek Shakhs Itna Umda Maal Kisi Ko Deta Hai Toh Usse Us Ehsaan Ka Inteqaam Yun Liya Jaata Hai Ke Usse Mutaalba Kiya Jaata Hai Ke Gharelu Zarooriyaat Ke Saath Saath, T.V , Fridge, Car Wagerah Wagerah Bhi Zaroor Do Warna Tumhari Beti Ki Bhi Hamen Zaroorat Nahin Hai,  Aisi Baatein Allah Ke Azaab Ko Daawat Den E Ke Liye Kaafi Hai,

Agar Koi Shakhs Beti Ko Bataur Tohfa Koi Cheez De Deta Hai Toh Wah Jayez Hai Isme Koi Harj Nahin Hai Lekin Ye Baat Yaad Rah Eke Aurat Jo Cheez Apne Maa Baap Ke Yahan Se Le Jaati Hai Aur Haq Mahar Me Usko Jo Kuch Milta Hai Wah Khaalis Aurat Ki Milkiyat Hoti Hai, Usme Se Kisi Ko Yahn Tak Ke Shauhar Ko Bhi Beghair Ijaazat Mudakhilat Karne Ki Ijaazat Nahin Hoti Aur Jo Shakhs Beti Ko Dahej Dene Ke Liye Halal Wa Haraam Har Qism Ke Tareeqon Se  Maal Jama Karta Hai Wah Ghalat Harqat Hone Ke Saath Saath Fuzool Kharchi Bhi Hai Aur Allah Paak Ne Quraan E Muqaddas Me Farmaaya Hai

“Beshaq Fizool Kharch Log Shaitaan Ke Bhai Hote Hain”

(Bani Israel)

Is Tarah Hadith Me Bhi Fizool Kharchi Ki Muzammat Aayi Hai Lihaaza Jo Shakhs Apne Sasuraal Se Dahej Ka Mutaalba Karta Hai Aur Wah Unko Majboor Karke Maal Haasil Karta Hai Toh Ye Zulm Aur Haraam Hai, Agar Ladki Ke Maa Baap Bheek Maang Kar Bhi Dahej Banaata Hai Tab Bhi Ye Haraam Hai Kyunki Bheek Maangna Ya To Majboor Logon Ka Kaam Hota Hai Ya Fir Gunaahgaaron Ka Kaam Hai Aur Ye Dono Tareeqe Ghalat Hain Allah Taala Ka Irshad Giraami Hai

“Tum Ek Dusre Ka Maal Baatil Tareeqon Se Mat Khao”

(Surah Baqarah Ayat No 188)

Kuch Log Dahej Ko Deen Ka Kaam Samjhte Hain, Halaanke Iska Door Door Tak Deen Se Waasta Bhi Nahin Hai Agar Islam Me Dahej Hota Toh Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Zaroor Apni Betion Ko Dahej Dete Aur Aapki Biwiyan Zaroor Dahej Lekar Aati Lekin Koi Bhi Saabit Nahin Kar Sakta Ke Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Kisi Biwi Se Dahej Liya Ho,

Dekhiye Hz Abu Bakr (Ra) Toh Wah Sahabi Hain Jo Aap Salallaho Alaihi Wasallam Ko Agar Jaan Ki Zaroorat Padi Toh Jaan Haazir Kar Di Agar  Maal Ki Zaroorat Padi Toh Ghar Ka Saara Maal Aap Sallalahio Alaihi Wasallam Ke Qadamon Me Rakh Diya Iski Tarah Unki Beshumaar Qurbaaniyan Hain, Lekin Jab Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Apni Beti Hazrat E Aisha (Ra) Nikah Me De Di Toh Hazrar E Aisha (Ra) Apne Saath Kuch Bhi Nahin Lekar Aayin, Isi Tarah Dusre Sahaba Kiraam Se Bhi Sabot Nahin Milta Ke Unhone Apni Biwi Se  Dahej Liya Ho Ya Apni Beti Ko Dahej Diya Ho, Lihaaza Maalum Hua Ke Dahej Jaahilaana Aur Kaafiraana Rasm Hai Iska Islaam Se Koi Taalluq Nahin Hai Isliye Isse Bachna Bahut Zaroori Hai,..

To Bne Continued

#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks