Monday, March 14, 2011

ILM-E-GHAIB PART 4

ILM-E-GHAIB



Aye nabi ! kah dijiye: main tumse nahi kahta ke mere pass Allah ke khazane hain, aur na main Gaib janta hu aur na main tumse ye khata hu ke main Farishta hu, main to issi chiz ki pairwe karta hu jo meri taraf Wahee ki jati hai, kah dijiye kya bina aur nabina(blind & blindless) barabar ho sakte hain phir kya tum gaur nahi karte?


( *Sura- Tul-Anaam, Aayat-no: 50 * )


Tashrih:- >( Qul laaa 'aqoolu lakum 'indee khazaaa'inul-laahi )

Allah-Taala ne apne Rasool{s.a.w} se farmaya: kah dijiye ke main tumse ye nahi kahta ke mere pass Allah ke khazane hain, yani main Allah-Taala ke khazano ka maalik nahi aur na main isme tasraf ka koi ikhtiyaar rakhta hu.


( Wa laaa'a 'lamul-ghayba ] aur na main tumse kahta hu ke main Gaib janta hu, kyon ke Elm-e-Gaib Allah-Taala hi ka khaas hai aur mujhe sirf issi qadar Elm hansil hai jo Allah- Taala ne ata farma diya hai,


( Wa laaa'aqoolu lakum' innee malakun ) aur na tumse ye kahta hu ke beshak main Farishta hu, yani main Farishta hone ka bhi dawe-daar nahi hu, kyon ke main ek insaan hu, han !

albatta mujhe par Wahee nazil hoti hai, Allah-Taala ne mujhe is sharf-wa- Anaam se sarfaraz farmaya hai ke isne mujhe nabi banaya hai. issi liye farmaya:-


( 'in 'attabi'u'illaa maa yoohaaa ' iiayy; ]*}*) main to sirf iski pairwe karta hu jo meri taraf Wahee ki jati, yani isse ek balisht barabar bhi kami besi aur nahi karta-


( qul hal yastawil-'a'maa wal baseer; ) kah dijiye ke bhala bina aur nabina(blind & blindless) barabar ho sakte hain?

yani jo shakhsh haq ki ittaba kare aur hedayat yafta ho to wo aur haq se door ho kar gumraah ho jane wala barabar kaise ho sakte hain?


( 'afalaa ta tafakkaroon ) kya phir tum gaur nahi karte? jaisa ke farmaya: bhala jo shakhsh ye janta hai ke jo kuch apke paradigaar ki taraf se aap par nazil hua hai wahi Haq hai, wo is shakhsh ki tarah andha hai?


pas nasihat wo hansil karte hain jo Aaqalmand hain. Aur iski puri tafsir ke liye dekhe

( Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al-Anaam, Aayat-no,50 )


Aur issi ke pass gaib ki kunjiya hai, inhe iske siwa koi nahi janta aur wo janta hai jo kuch khushki aur tari me hai aur koi patta nahi girta jise wo janta na ho aur zameen ke andhero me koi dana aisa nahi photta jise wo janta na ho aur koi tar chiz aur koi khushk chiz aisi nahi jo wazha kitaab me likhi hui na ho.


( *Surah-Al-Anaam, Aayat- no: 59 * )


Allah ke siwa koi Gaib nahi janta:- Irshad-e-bari- taala hai ( Wa 'indahoo mafaatihul-ghaybi laa ya' lamuhaa 'illaa Hoo; ) aur iske pass Gaib ki kunjiya hain jinko iske siwa koi nahi janta-


" imam-Bukhari(r.a) ne Abdullah-Bin-Umar(r.t.a) se rawayat kiya hai ke Rasool{sall’ Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ne farmaya: Gaib ki panch kunjiya hain:" beshak Allah hi ko Qayamat ka Elm hai aur wahi pani barsata hai aur wahi janta hai jo kuch hamlon( prignint) ke peton me hai aur koi shakhs nahi janta ke wo kal kya kaam karega aur koi shakhs nahi janta ke kis zameen me isse maut aayegi beshak Allah hi janne wala aur khabardar hai.

(*Sahih-Bukhari, Vol-no: 8 , Book: 98( Kitab-Ul- Tauheed), Hadees-no: 7379 *)(*Sahih-Bukhari, Vol-no: 6 , Book: 65( Kitab-Ul-Tafseer), Hadees-no: 4627 ,4778 *)( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 2 , Book: 15( Kitab-Ul-Istasqah), Hadees-no: 1039 *)( *Tirmizi, Kitab-Ul-Tafseer, Hadees-no: 3290 * )( *Musnad-Ahmad: 24 /2 * /// Musnad-Ahmad: 353 6 * )


aur Irshad-e-Elahi hai ( wa ya'lamu maa fil-barri walbahr; )aur isse khushki aur samondar ki sab chizon ka Elm hai iska bepaya Elm baro-bahar mojojaat ka aahata kiye hue hai, Aasman-wa-Zameen ka koi zarrah bhi iske Elm se bahar nahi hai, Aur irshad-e-bari-taala hai:- ( wa maa tasqutu min waraqatin 'illaa ya'lamuhaa ) aur koi patta nahi girta magar wo usko janta hai, wo zaat-e-girami jo jamatat tak ki harkat se aagah hai, hewanat aur "Jinn-wa- ins" ki babat iske Elm ke bare me tumhara kya khayal hai aur jo bate sene me chupate hain inko bhi.


Aur iski puri tafsir ke liye dekhe( Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al-Anaam, Aayat-no,59 )