Monday, September 10, 2012

NABI-E-AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) PAR IMAAN LAANA: (PART 2)







Bismillahirrahmanirraheem



NABI-E-AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) PAR IMAAN LAANA: (PART 2)




MASLA- 1

Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki bait e mubarak ke baad allah taala ne tamam logon ko Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par imaan laane ka huqm diya hai,


" iman laao allah par, uske rasool par aur us noor (qur'an majeed) par jise hamne naazil kiya hai, jo amal tum karte ho allah usse ba'khabar hai "

(surah taghabun 8)


MASLA- 2


Duniya me basne waale tamam insaan Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par imaan laane ke paband hain


allah taala ne farmaya:-" aur hamne saare logon ke liye tumhe basheer (khush'khabri dene wala) aur nazeer (daraane waala) banakar bheja hai, lekin logon ki badi aksariyat (tadad) nahi jaanti "

(surah saba 28)


aur farmaya

" (aiy muhammad ) kaho, aiy logon ! Main tum sabki taraf allah ka rasool bankar aaya hun, wah allah Jo aasmaano aur zameen ka malik hai, uske siwa koi ibadat ke layeq nahi, wahi zinda karta aur maarta hai, isliye imaan laao allah aur uske rasool par jo nabi aur ummi hain "

(surah aaraf :158)


MASLA -3


Jinnaat bhi Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par imaan laane ke paband hain


" aur jab ham jinno ki ek jamaat ko tumhari taraf le aaye taaki we qur'an sune, jab we us jagah par pahunch gaye (jahan tum quran padh rahe they) toh unhone (aapas me) kaha: khamosh ho jaao, phir jab qur'an padha ja chuka toh we khabardar karne waale bankar apni qaum ki taraf palte, unhone (jaakar apne qaum se) kaha: aiy hamari qaum ! Hamne ek kitab suni hai jo musa ke baad naazil ki gayi hai, apne se pahle aayi hui kitaabon ki tasdeeq karne waali hai, sach ki rahnumaayi karti hai aur seedhe raaste ki taraf le jaane waali hai, aiy hamari qaum ke logon ! Allah ki taraf bulaane waale ki dawat qubool karo aur us Par imaan le aao, allah taala tumhare gunaah maaf kar dega aur tumhe dardnaak azaab se bacha lega "

(surah ahqaaf 29-31)


MASLA-4


Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par imaan na laane waale jahannum me jaayenge


hz abu hurairah (ra) se riwayat hai ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" qasam hai us zaat ki jiske haath me muhammad (sws) ki jaan hai, is ummat ka koi bhi aadmi chaahe wah yahudi ho ya essaayi, mere baare me sun lene ke baad is haalat me marr jaaye ki wah us hidayat ko na maane jise dekar main bheja gaya hun, toh wah JAHANNAMI hai,

(sahih muslim, kitabul iman, bab wujubul imaan )


MASLA-5


Hz abu bakr siddeeq (ra) ka imaan


hz aisha (ra) farmati hain, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko raat ke waqt masjid aqsa le jaaya gaya , usse agli subah Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne logon ko iski khabar di, kuch log jo Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par imaan laaye they aur tasdeeq ki thi we murtad (deen se nikal gaye) ho gaye aur hz abu bakr (ra) ke paas bhaage bhaage aaye aur kaha:-" kya tujhe apne dost ke baare me malum hai ki wah daawa kar raha hai ki raaton raat bait ul muqaddas se hokar aaya hai ?"

hz abu bakr (ra) ne poocha:-" kya usne haqiqat me yah baat kahi hai ?"

logon ne kaha:-" haan, haqiqat me kahi hai "

hz abu bakr sideeq (ra) ne farmaya:-" agar kahi hai toh phir sach hi kaha hai "

logon ne fir poocha:-" kya tu tasdeeq karta hai ki wah raat ko bait ul muqaddas gaya aur subah se pahle waapas pahunch gaya"

hz abu bakr (ra) ne kaha:-" haan, main isse me zyada na'qaabil e yaqeen baaton ki tasdeeq karta hun yani subah wa shaam aasmaan se aane waali khabron ki tasdeeq karta hun "

tab aapko siddeeq ka khitab diya gaya

(hakim, 3/62 silsila ahadith sahiha lil albani part 1 hadith no 306)




MASLA-6


Hz umar farrooq (ra) ka imaan


hz zumra (ra) se riwayat hai ki do aadmi apna muqaddama lekar Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki paas haazir hue, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne jhoote shakhs ke muqaable me sacche shakhs ke haq me faisla kar diya, jiske khilaf faisla huwa tha usne kaha:-" main is faisle par raazi nahin hun "

dusre shakhs ne kaha :-" phir tum kya chahte ho ?"

usne kaha:-" chalo ham hz abu bakr (ra) ke paas chalte hain"

dono hz abu bakr (ra) ke paas pahunche, jiske haq me faisla huwa tha usne (hz abu bakr) ko bataya: "hamne yah muqaddama Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me pesh kiya tha aur Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mere haq me faisla farma diya tha "

hz abu bakr (ra) ne farmaya:-" mera faisla bhi wahi hai jo Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya hai "

jiske khilaf faisla huwa Tha usne hz abu bakr (ra) ki baat maanne se inkaar kar diya aur kahne laga:- " ham umar bin khattab (ra) ke paas jaate hain ?"

dono fareeq hz umar bin khattab (ra) ki khidmat me haazir hue,

jiske haq me faisla huwa tha usne (hz umar (ra) se arz kiya:-" hamne yah muqaddama Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me pesh kiya tha, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mere haq me faisla farma diya tha, lekin is shakhs ne maanne se inkaar kar diya"

hz umar (ra) ne usse malum kiya, toh usne maan liya (ki haan) maamla aisa hi hai,

hz umar (ra) ghar waapas gaye aur palte toh unke haath me talwaar thi, use myaan se baahar kiya aur inkaar karne waale ki gardan uda di, (is par waarison ne qisaas ka mutaalba kiya toh ) allah taala ne yah aayat naazil kar di

" aiy muhammad ! Tere rab ki qasam ! Log momin nahi ho sakte jabtak apne aapsi ikhtelaaf me tumhe faisla karne waala na maan Len phir jo bhi faisla tum karo us par dil me tangi mahsoos na kare aur use bina chun chara tasleem kar len "

(tafseer ibn katheer surah nisa 65)


MASLA-7


Hz khabbab bin arat (ra) ka imaan

hz khabbab (ra) farmate hain ki main daur e jihaalat me luhaar ka kaam karta tha (mere malik) aas bin wail ke paas meri kuch raqam nikalti thi, main uske paas apni raqam maangne gaya toh kahne laga:-" jab tak tu muhammad (sws) ka inkaar nahi karega main tujhe teri raqm nahi dunga"

hz khabbab (ra) ne kaha:-" allah ki qasam ! Agar tu marr kar dobara zinda ho jaaye tab bhi muhammad (sws) ka inkaar nahi karunga "

(bukhari, kitabut tafseer, surah maryam , bab qalla sankatubu ma yaqool )


MASLA-8


Hz ammar bin yasir, hz sumayya, hz suhaib, hz bilal aur hz miqdad (ra) ka imaan


hz abdullah bin masud (ra) kahte hain sabse pahle 7 aadmiyon ne apna islam zaahir kiya

1- Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh)
2- hz abu bakr(ra)
3- hz suhaib (ra)
4- hz ammar (ra)
5-hz sumayya (ra)
6-hz bilal (ra)
7-hz miqdad (ra) , Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko toh allah taala ne unke chacha abu talib ke zariye quraish makka ke zulmon se mahfuz rakha, hz abu bakr siddeeq (ra) ko allah taala ne unki qaum ke zariye bachaaye rakha, aur jahan tak baqi 5 logon ki baat thi unhe mushrik pakad lete aur lohe ki zirrah pahna kar tapti dhoop me lita dete, unme se tamam logon ne apni zabaan se kaafiron ke matlab ki baat ada ki (aur apni jaan bacha li) siwaaye hz bilal (ra) ke, unhone allah ki raah me apni jaan (ke halaaq hone ) ki parwah na ki aur apni (mushriq) qaum ke saamne zaleel aur ruswa hote rahe, mushrik unhe pakad lete aur ladkon ke hawaale kar dete jo unhe makka ki waadiyon me ghaseet'te firte aur hz bilal baar baar yahi kahte jaate " allah ek hai, allah ek hai "

(ibn majah, kitab us sunnah bab fazail ashaab Rasoollullah (sws) fazl salman wa abi zar wa miqdad ra 1/122)


to be continued.........