Thursday, September 27, 2012

NABI-E -AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) SE MUHABBAT KARNA HAR MUSALMAN KE LIYE ZAROORI HAI (PART 1)

Bismillahirrahmanirraheem



NABI-E -AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) SE MUHABBAT KARNA HAR MUSALMAN KE LIYE ZAROORI HAI (PART 1)



MASLA-33


Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath aisi muhabbat karna ahle imaan par farz hai jo allah ke elaawa baaqi tamam muhabbaton par bhaari ho


kyonki allah taala ne farmaya:-" aiy nabi ! Kah do, agar tumhare baap, tumhare bete, tumhare bhai, tumhari biwiyan, tumhare rishtedar, tumhara wah maal jo tumne kamaay hain, tumhari tijaarat jiske manda padne ka tumhe darr hai aur tumhare pasandeedah ghar, tumhe allah aur uske rasool Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) aur allah ke raah me jihaad se zyada mahboob hain toh phir intezaar karo yahan tak ki allah taala ka faisla aa jaaye ( aur yaad rakho )  allah taala aise na'farmano ko raah nahi dikhaata "

(surah tauba 24)


hz anas (ra) kahte hain Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) Ne farmaya:-" koi aadmi us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak wah apne bete (aur betiyon ), apne baap (aur maa ) aur saare logon se badkar mere saath muhabbat na kare "

(muslim kitabul imaan )



MASLA-34


Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) Ki zaat mubarak ahle imaan ke liye unki apni jaano se bhi zyaada mahboob hai


" nabi ki zaat ahle imaan ke liye unki apni jaano se bhi pahle hai aur nabi ki  biwiyan ahle imaan ki maayen (mothers) hain "

(surah ahzab 6)


MASLA- 35


Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat karne waala sacha momin hai


hz abbas bin abdul muttalib (ra) kahte hain maine Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko yah farmate hue suna hai:-" imaan ka maza us aadmi ne chakha jo allah ke rahmaan hone par raazi hua, islam ke deen hone par raazi hua, aur Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke rasool hone par raazi hua "

(muslim kitabul iman)





MASLA-36


Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) Ki paak seerat ko padhna aur apni majlison me Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka zikr karna aur Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat zaahir karna imaan waalon par waajib hai


hz anas bin malik (ra) kahte hain, hz abu bakr (ra) aur hz abbas (ra) ansaar ki ek majlis ke paas se guzre toh dekha we ro rahe hain, unhone poocha:-" ro kyon rahe ho ?"

unhone kaha:-" hamen Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki baatein yaad aa rahi hain "

yah sunkar we dono Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haajir hue ( Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko ansaar ki baat bataayi )

Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) apne sar par chaadar baandhe hue baahar nikle ( Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke sar mubarak me bahut dard tha ) mimbar par chade, bah yah Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) (ki paak seerat ) ka aakhiri khutba tha,

Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne allah taala ki hamd o sana bayan ki, phir irshad farmaya:-" logon ! Main tumko ansaar ke baare me wasiyat karta hun we toh mere dil wa jigar hain unpar jo mera haq tha we ada kar chuke hai ab unka haq (jannat ) baaqi hai , unme se jo koi bhala ho uski qadr karna aur jo koi bura ho usko maaf karna "

( bukhari kitab manaqib ul ansaar )


MASLA- 37
Hz abu bakr (ra) ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


hz bara bin azib (ra) kahte hain jab Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne madeena ki taraf hijrat ki toh raaste me Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko pyaas lagi, achaanak raaste me ek charwaaha mila,

hz abu bakr (ra) farmate hain, maine ek pyaala liya aur (charwaahe ki ijaajat se ) usme thoda sa (bakri  ka) doodh duha Aur Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me pesh kiya, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne itna dhoodh piya ki mera dil khush ho gaya "

(bukhari kitab manaqibul ansar )


hz bara bin ajib (ra) se riwayat hai ki hz abu bakr (ra) kahte hain:-" ham (hijrat ke liye ) rawana hue toh log hamara peecha kar rahe they unme se suraaka bin malik bin jaasam ne apne ghode par hamen paaya,

maine arz kiya:-" ya rasoollullah ! Peecha karne me yah shakhs hamare qareeb pahunch gaya hai "

Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" parwah na kar ! Allah hamare saath hai "

phir wah itna hamare qareeb aa gaya ki hamare aur uske beech ek ya do nezon ke barabar doori rah gayi,

maine arz kiya:-" ya rasoollullah ! Usne toh hamen pakad liya aur main rone laga "

Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" abu bakr ! Rote kyon ho ? "

maine arz Kiya:-" allah ki qasam main apni jaan ko khatre me dekhkar nahi ro raha balki mujhe toh aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki jaan ka khatra hai isliye ro raha hun "

hz abu bakr (ra) kahte hain, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne suraaka ko bad'dua ki:-" ya allah ! Tu ham dono ke liye jaise tu chaahe kaafi ho ja "

is par uske ghode ki taange shakht zameen me pet tak dhans gayi, aur suraaka ne ghode se chhalaang laga di

(ahmad )


hz aisha (ra) kahti hain main (bimari ke dauran ) hz abu bakr (ra) ke paas gayi toh unhone mujhse malum kiya:-" Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki wafaat kaun se din hui thi "

main arz kiya:-" peer (monday ) ko "

hz abu bakr (ra) ne poocha:-" aaj kaunsa di hai ?"

hz aisha (ra) ne jawab diya:-" aaj bhi peer hai "

tab hz abu bakr (ra) ne farmaya:-" main ummeed rakhta hun ki aaj raat tak kisi bhi waqt is duniya se kooch kar jaaun "





( bukhari kitabul janaiz )


MASLA-38


Hz umar (ra) ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


hz abdullah bin hisham (ra) kahte hain, ham Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath they aur Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hz umar (ra) ka haath thaama hua tha,

hz umar (ra) ne arz kiya:-" ya rasoollullah ! Aap mujhe meri zaat ke elaawa baaqi har cheez se zyada mahboob hain "

Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" nahi ! Qasam hai us zaat ki jiske haath me meri jaan hai (tum us waqt tak momin nahi ho sakte ) jab tak mere saath apni jaan se bhi zyada muhabbat na karo "

hz umar (ra) ne arz kiya:-" allah ki qasam ! Ab toh aap mujhe apni jaan Se bhi zyada mahboob hain "

Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" aiy umar ! Ab tum poore momin ho "

(bukhari kitabul imaan)


hz umar bin khattab (ra) ne ( apni wafat se pahle apne bete hz abdullah se kaha):-" abdullah ! Ummul momineen hz aisha (ra) ke paas jaao aur unki khidmat me haazir hokar arz karna:

" umar salaam arz karta hai aur haan dekho, ameer ul momineen ka lafz istemal na karna, kyonki aaj main ameer ul momineen nahin hue, salaam arz karne ke baat daryaaft karna ki umar bin khattab (ra) apne dono saathiyon ke saath dafan hone ki ijaazat maangta hai "

hz abdullah (ra) ne haazir hokar salam arz kiya aur andar aane ki ijaazat maangi, ijaazat milne ke baad hz aisha (ra) ki khidmat me haazir hue toh dekha ki hz aisha ( ameer ul momineen ki bimari ke gham me ) baithi ro rahin hain,

hz abdullah (ra) ne arz kiya:-" umar bin khattab (ra) salam arz karte hain aur apne dono Saathiyon ke saath dafan hone ki ijaazat maangte hain "

hz aisha (ra) ne farmaya:-" wah jagah toh maine apne liye rakhi thi, lekin ab main apni bazaaye umar ko tawajjoh deti hun "

hz abdullah (ra) waapas laute toh logon ne hz umar (ra) ko bataya:-" abdullah aa gaye hain "

hz umar (ra) ne logon se kaha:-" mujhe uthaakar bithaao "

ek aadmi ne hz umar (ra) ko sahara diya, hz umar (ra) ne poocha:-" abdullah ! Kya khabar laaye ho ?"

hz abdullah (ra) ne arz kiya:-" ameer ul momineen jo aap chaahte they, hz aisha (ra) ne aapko ijaazat de di hai "

hz umar (ra) ne kaha:-" alhamdullillah ! Mere liye isse aham aur koi baat nahi "


(bukhari kitab fazail us sahaba)



MASLA: 39


Hz ali (ra) ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


hz ali (ra) se poocha gaya:-" aapki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat kaisi thi ?"

hz ali (ra) ne farmaya:-" khuda ki qasam ! Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) hamen apne maalon, aulaadon, baapon, maaon, aur shakht pyaas ke waqt thande paani se bhi zyada mahboob they "

(zikr sharah shifa )



MASLA- 40


Hz saad bin muaz  (ra) ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


hz saad bin muaz (ra) ne (jung e badr se pahle ) arz kiya:-" aiy allah ke nabi ! Kya ham aapke liye ek ooncha chhappar na bana den jisme aap qayaam farmayen aur ham aapke paas sawaariyan bhi taiyyar rakhen aur phir dushman se muqaabla karen ?

Agar allah ne hamen izzat bakhsi aur dushman par ghalba ata kiya toh yahi wah cheez hai jo ham chaahte hain aur agar haalaat iske ulte hue toh aap apni sawaariyon par baithkar hamari qaum ke un logon ke paas pahunch jaayen jo peeche rah gaye hain, ham aapki muhabbat me unse badkar nahin agar unhe pata hota ki aapko jung me saabiqa padega toh we kabhi aapse peeche na rahte,

allah unke zariye Aapki hifazat farmayega we log aapse wafa karenge aur aapke saath milkar jihad karenge "

Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hz saad (ra) ke is mashware par unki khoob taareef ki aur unke liye dua ki,

phir Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke liye ek " areesh " (chappar) banaya gaya jisme aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ( jung ke dauran ) qayam kiya"


(ibn kathir, al badaya wan nihaya part 3 page 284)


TO BE CONTINUED.....