Monday, September 24, 2012

NABI-E-AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KA DIFA (DEFENSE ) KARNA HAR MUSALAMAN PAR WAAJIB HAH : (PART 1)

Bismillahirrahmannirraheem



NABI-E-AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KA DIFA (DEFENSE ) KARNA HAR MUSALAMAN PAR WAAJIB HAI : (PART 1)



MASLA- 56


islam ki Fatah ki koshish me nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ki himaayat aur hifazat karna tamam imaan waalon par waajib hai

kyonke

allah taala ka irshad hai

" jo log rasool par imaan laaye uski himayat aur madad ki aur us noor (yani qur'an) ki pairwi kiya jo uske saath utaara gaya, wahi kaamyaab hain "

(surah araf 157)


MASLA-57


nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) Ki izzat aur adab o ehteraam ki hifaazat karna tamam imaan walon par waajib hai


hz aisha (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" quraish ki haju (buraai) karo kyonki unhe haju teeron ki bauchhar se bhi zyada na'pasand hai"

pahle nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ek aadmi hz abdullah bin  Ruwaha (ra) ke paas bheja aur unhe huqm diya:-" tum quraish ki haju karo "

(hz abdullah ne hau ki ) lekin nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ko pasand na aayi, phir nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hz kaab bin malik (ra) ke paas admi bheja (unki haju bhi pasand na aayi to hz hassan bin sabit (ra) ko bula bheja )

hz hassan bin sabit (ra) haajir khidmat hue aur arz kiya:-" ab nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne us sher ko bula bheja hai jo apni dum se dushmano ko maarta hai aur apni zabaan baahar nikaala aur use hilaakar farmaya:-" us zaat ki qasam jisne aap nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ko haq ke saath bheja hai, main kafiron ko apni zuban se is tarah barbad karunga jis tarah chamde ko (chhuri se ) cheera faada jaata hai "

(muslim kitabul fazail )


MASLA- 58


nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) KE Fazail bayan karna aur ,nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) par lagaaye gaye ilzaamo aur tahreeri ya bolkar jawab dena


hz bara (ra) kahte hain ki nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hz hassan bin sabit (ra) se farmaya:-" mushrikon ki haju (buraayi) kar ya farmaya us haju ka jawab de (jo unhone mere baare me ki hain ) aur zibreel (as) tere saath hain "

( bukhari kitab bad'ul khalq, bab zikr malaika)


hz abu hurairah (ra) kahte hain nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" (aiy hassan) ! Meri taraf se mushrikon ko jawab de, ya allah ! Hassan ki ruhul quddus (hz jibreel ) ke saath madad farma "

(muslim kitabul fazail )


MASLA- 59


nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) Ki be'izzati wa gustakhi ka badla lena imaan walon par waajib hai


hz abu barza (ra) kahte hain main hz abu bakr siddeeq (ra) ke paas baith tha aur wah ek admi par shakhs naraazgi zaahir kar rahe they , maine arz kiya:-" aiy khalifa e rasool ! Mujhd ijaazat dijiye main  uski gardan uda dun "

mere in kalimaat se hz abu bakr (ra) ka saara gussa door ho gaya, aap (ra) apni jagah se uthe aur andar chale gaye aur (thodi der baad ) mujhe bula bheja aur poocha:-" toone mujhe kya kaha tha ?"

maine arz kiya:-" mujhe ijaazat dijiye main uski gardan uda dun "

hz abu bakr (ra) ne poocha:-" agar main ijaazat de deta toh kya tum aisa kar guzarte ?"

maine arz kiya:-" haan !"

hz abu bakr siddeeq (ra) ne farmaya:-" khuda ki kasam ! Ghustakhi ke jurm me qatal ki saza nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ke baad kisi ke liye jaayez nahi "

(abu dawood)


MASLA- 60

Bait e uqba ke mauqe par hz bara bin marur (ra) ne nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ki har keemat par hifazat karne ka waada farmaya


hz kaab bin malik (ra) kahte hain (baite uqba ke mauqe par ) ham sab ghaati me ikattha huenabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ka intezaar karne lage phir aap tashreef le aaye us waqt aapke saath apke chacha hz abbas (ra) bhi they wah abhi tak apne baab dada ke deen par qayem they unhone logon se mukhatib hokar kaha, tumhe malum hai ki nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ka hamare beech kya darja aur ehteraam hai aur hamne unhe un logon se door rakha hai jo (deeni hisab se ) hamare jaisi raaye rakhte hain, isliye wah apni qaum me izzat ke saath aur apne shaher me hifazat ke saath rah rahe hain,

logon ne arz kiya:-" abbas ! Aapne jo kuch kaha hamne sun liya, ya rasoollullah ! Ab aap irshad farmaayen, apne liye aur apne rabb ke liye jo hamne qasam lena chahte hain wah lijiye,"

nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne pahle quran majeed ki tilaawat  farmayi, allah taala ki taraf dawat di aur islam ka shauq dilaaya aur farmaya:-" main tumse is baat par bait leta Hun ki tum har us cheez se meri hifazat karoge jisse apni aurton aur bacchon ki hifazat karte ho "
is par hz bara bin marur (ra) ne nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ka haath mubarak pakda aur arz kiya:-" haan, us zaat ki qasam jisne apko haq ke saath bheja hai ham beshaq hi us cheez se apki hifazat karenge jisse ham apni jaano ki hifazat karte hain, isliye aiy allah ke rasool aap hamse bait len ham jung ke bete hain aur hathiyar se khoob waaqif hain yag wiraasat hamen baap dada se mili hai "

(ahmad,)


MASLA-61


Ansaar madeena ne nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ko madeena me panah dekar nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hifazat ka haq ada kiya


hz abu hurairah (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" agar ansaar kisi waadi ya ghaati me chale toh main bhi usme chalunga, agar maine hijrat na ki hoti ( jiski  Wajah se mujahir kahlaata hun ) toh main ansaar me se ek shakhs hota (yani ansari kahlana pasand karta )"

hz abu hurairah (ra) kahte hain:-" mere maa baap nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) par qurban ! nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne aisa beja nahi farmaya kyonki ansaar ne nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ko madeena me panaah di aur nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ki madad farmayi "

(bukhari kitabul manaqib )


MASLA-62


hz saad bin abi waqqas (ra) ne raat bhar pahra dekar nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hifazat ki


ummul momineen hz aisha (ra) kahti hain ek raat nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ki aankh khul gayi aur neend uchaat ho gayi, nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" kaash ! Mere saathiyon mese koi  bhala admi aaj ki raat meri hifazat karta"

hz aisha (ra) kahti hain:-" Itne me hamen hathiyaron ki aawaz sunaayi di "

nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne poocha kaun hai ?

Aawaz aayi:-" saad bin abi waqqas hun ya rasoollullah ! Main aap nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me pahra dene ke liye haazir hua hun "

hz aisha (ra) kahti hain phir nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) aaraam se so gaye yahan tak ki maine nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ke kharraton ki awaz suni

(muslim kitabul fazail )


MASLA-63


Jung e badr ke mauqe par hz saad bin mu'az (ra) ka nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hifazat ke liye kasam khana


hz anas (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne abu sufyan ki lashkar ki khabar milne par sahaba kiram (ra) se mashwara kiya toh saad bin muaz (ra) khade ho gaye aur farmaya:-" hamare maal aapke saamne hai unke baare me jo chaahen faisla  Farmayen ( yani kitne lene hain kitne  chhodne hain ) aur yah hamare log bhi nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir hain agar aap hamen saath lekar samundra me koodna chaahenge toh ham aapke saath kood jaayenge, aapke aage, peeche, daayen, aur baayen har taraf se ladenge "

(ibn hisham)


MASLA-64


Jung e badr me nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hifazat ke liye hz miqdad bin aswad (ra) ka daayen baayen aage aur peeche har taraf se ladne ki qasam


hz abdullah bin masud (ra) kahte hain maine hz miqdad bin aswad (ra) ka ek aisa kaarnaama dekha hai jise haasil karna mere liye duniya ki har cheez se zyada mahboob hai, wah nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me us waqt haazir hue jab nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) mushrikon ke liye bad'dua farma rahe they

hz miqdad (ra) ne arz kiya:-" ham musa (as) ki qaum ki tarah aapse Yah nahi kahenge ki "tu aur tera rabb jaayen aur laden", ham toh aap nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ke daayen, baayen aage aur peeche har taraf ladenge "

hz abdullah bin masud (ra) kahte hain:-" maine is alfaazon ke baad dekha ki nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ka chehra mubarak khushi se chamak utha aur nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) khush ho gaye "

(bukhari kitabul magazi )


MASLA: 65


Ghazwa e uhud me hz talha bin obaidullah (ra) ne nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khoob madad farmayi


hz zubair (ra) kahte hain ghazwa uhud ke din nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) do zirrahen pahne hue they, nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ( panaah haasil karne ke liye ) ek chattaan(rock) par chadhne ki koshish ki lekin chadh na sake, aap nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hz talha (ra) ko Neeche bithaaya aur un par sawaar ho gaye ( hz talha ra ne nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ko uper uthaaya ) yahan tak ki aap nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) chattaan ke uper chadh gaye, "

hz zubair (ra) kahte hain maine nabi e akram sallalalaho alaihi wasallam (pbuh) ko farmate hue suna:-" talha ke liye jannat waajib ho gayi "

(tirmizi abwabul manaqib )


TO BE CONTINUED.........