Tuesday, September 11, 2012

NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) PAR IMAAN LAANA: (PART 3)

Bismillahirrahmanirraheem



NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) PAR IMAAN LAANA: (PART 3)



MASLA- 9


Hz anas bin nazar (ra) ka imaan


hz anas bin malik (ra) se riwayat hai ki unke chacha (hz anas bin nazar ) ghazwa badr me shareek na ho sake toh unhone (apne aapse ) ahad kiya ki main pahli jung me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka saath nahi de saka, lekin aainda allah taala ne mujhe kisi jung me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki sangat naseeb farmayi toh phir allah dekhega ki main kaise (allah ki raah me ) ladhta hun,

phir ghazwa uhud ka mauqa aaya toh musalman (maidan e jung ) me titar bitar ho gaye,

hz anas (ra) kahne lage:-" ya allah ! Musalmano ne jo kuch kiya hai us par main teri janaab me maazrat pesh karta hun aur mushrikon ne jo zulm kiya hai usse apne ko aazaad karta hun "

(yah kahkar ) talwar liye aage bade hz saad bin mu'az (ra) se mulaakaat ho Gayi,

hz anas (ra) farmane lage:-" saad ! Kahan jaate ho ? Mujhe toh uhud pahaad ke peeche se jannat ki khushbu aa rahi hai "

hz anas (ra) gaye aur jihad shuru kar diya yahan tak ki shaheed ho gaye, shahadat ke baad unki laash pahchaane na ja saki aur unki bahan ne (haath par ) til ke nishaan ya ungali ki por se unhe pahchaana, unke jism par neze , talwar, aur teer ke 80 se zyada zakm they "

(bukhari, kitabul magazi . Bab ghazwa uhud )


MASLA-10


Hz umair bin hamaam (ra) ka imaan


hz jabir bin abdullah (ra) kahte hain uhud ke din ek aadmi (hz umair bin hamaam ) ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se poocha :-" ya rasoollullah ! Agar main jung me maara jaun toh mera thikaana kahan hoga ?"

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jannat me !"

aadmi me apne haath se khajoorein fenki aur ladna shuru kar diya yahan tak ki shaheed ho gaya "

(bukhari, kitabul magazi , Bab ghazwa uhud )


MASLA- 11


Hz salma bin aqwa (ra) farmate hain:-" main (islam laane se pahle ) talha bin obaidullah ka mulaazim tha, unke ghode ko paani pilaana, uski peeth khujaata tha aur unki khidmat karta tha aur uske badle unse khaana khaata, ( jab musalman huwa to ) maine apna ghar baar aur maal wa daulat sab kuch chhod diya aur hijrat karke allah aur uske rosool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas chala aaya "

(sahih muslim kitabul jihad was'seer , bab ghazwa zi'kurd)



MASLA- 12


Hz abu dahdah (ra) ka imaan


hz anas (ra) se riwayat hai ki ek aadmi ne arz kiya:-" ya rasoollullah ! Falan shakhs ki khajoor hai aur main uske sahaare apni diwaar khadi karna chaahta hun, aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) use huqm den ki wah yah khajoor mujhe de de taaki main uske sahaare diwaar khadi kar sakun "

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne khajoor ke Malik se kaha :-" yah khajoor ka pedh ise de do aur uske badle me jannat ki khajoor le lo "

lekin khajoor ke malik ne inkaar kar diya,

hz abu dahdah (ra) khajoor ke malik ke paas aaye aur kaha:-" mera saara bhaagh le lo aur wah khajoor mujhe de do (jo nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne tujhse maangi hai )"

khajoor ke malik ne baagh ke badle me khajoor abu dahdah (ra) ko de di,

hz abu dahdah (ra) nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir hue aur arz kiya:-" ya rasoollullah ! Maine apne baagh ke badle me wah khajoor khareed li hai, maine yah khajoor nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko di aur aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) yah khajoor ki zarurat mand ko de den,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" abu dahdah ke liye jannat me kitne ki khose latke hue hain, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ye Alfaaz kai baar ada farmaaye,"

hz abu dahdah (ra) apni biwi ke baas aaye aur aawaz di:-" umme dahdah ! Baagh se bahar nikal aao maine yah baagh jannat me khajoor ke badle me bech diya hai "

umme dahdah (ra) ne (fauran ) kaha:-" tumne bada faayedemand sauda kiya hai "

ya isse milta julta koi kalima kaha

(musnad ahmad, tabrani)


MASLA-13


Hz khuzaima bin sabit (ra) ka imaan


hz khuzaima bin sabit (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne sawa bin haris se ek ghoda khareeda, sawa bin haris nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se (qeemat me ) jhagda karne laga, hz khuzaima (ra) ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke haq me gawaahi di, (ki aap (sws) jo baat farmate hain wahi sahi hai baad me ),

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hz khuzaima (ra) se malum kiya:-" khuzaima ! Tum toh sauda karte waqt hamare paas nahi the, tumne kaise Gawahi di ?"

hz khuzaima (ra) ne arz kiya:-" aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) jo taaleem laaye hain uski sacchayi ki bina par maine gawahi di hai aur mera yah imaan hai ki aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) haq ke elawa koi baat nahi kahte "

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" khuzaima (akela) jiske haq me gawahi de ya jiske khilaf gawahi de wah kafi hai"

( tabrani, majmua ul zawaid, tahqeeq abdullah muhammad durwesh, kitabul manaqib, bab maaja fi khuzaima bin sabit 9/533)


MASLA-14


Ek kismatwali aurat ka imaan


hz abdullah bin amr (ra) kahte hain:-" ek aurat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir huh, uske saath uski beti bhi thi jiske haath me sone ke 2 kangan they, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne malum kiya:-" kya tu inki zakaat ada karti hai ?"

aurat ne arz kiya:-" nahi !"

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" kya tu pasand karti hai ki in do kangano ke badle me allah taala qayamat ke din tujhe do aag ke kangan pahnaaye ?"

(yah sunkar ) aurat ne dono kangan utaar diye aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me pesh kar diye aur kaha:-" ye dono kangan allah aur uske rasool ke liye hain "

( abu dawood kitabuz zakat bab kanz'maahu 1/1382)


MASLA-15


Hz kaab bin malik (ra) ka imaan


hz kaab bin malik (ra) kahte hain :-" ghazwa tabuk me shirkat na kar paane ki ghalti par nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne sahaba kiram (ra) ko mujhse baat cheet karne se mana kar diya tha, isi dauran (ek din ) main bazaar me ja raha tha ki shaam (syria) ka ek esaayi kisaan jo ki apna galla bechne ke liye madeena munawwara aaya tha, logon se kah raha tha:-" mujhe kaab bin malik ka pata kaun bataayega ?"

logon ne meri taraf Ishaara kiya toh wah shaami kisan mere paas aaya aur (roomi governor) shah ghassan ka ek khat mujhe diya jisme likha tha:-" amma baad ! Mujhe malum hai ki tumhara sahab tumpar zulm kar raha hai jabki allah ne tumhe zaleel aur bekaar paida nahi kiya, isliye (main tumhe dawat deta hun ki ) hamare paas aa jaao ham tumhari izzat karenge "

maine khat padhkar socha yah ek nayi aazmaish aayi, isliye main tannoor ki taraf gaya aur usko tannoor me jala diya "

(bukhari, kitab ul maghazi, bab hadith kaab bin malik )


MASLA-16


Hz saad bin abi waqqas (ra) ka imaan


hz mus'ab bin saad (ra) se riwayat hai ki unke baap (hz saad bin abi waqqas) kahte they ki:-" unke baare me qur'an ki aayat naazil hui (jaise unke iman laane par ) umme saad ne yah qasam khaayi ki jab tak saad apna deen tark nahi karta wah usse baat karengi na khaana khaayegi na paani piyegi aur isi ke saath hz saad (ra) se yah kahti ki allah ne Tujhe maa baap ka kahna maanne ka huqm diya hai, main teri maa hoon aur tujhe huqm deti hun ki is deen ko chhod de,

umme saad 3 din tak isi tarah bhookhi pyasi rahi yahan tak ki use be'hoshi ke daure padne lage, tab uske ek bete ammara ne use paani pilaaya, (hosh me aane ke baad) hz saad (ra) ko bad'duwayen dene lagi (lekin hz saad ne apna deen na chhoda )

aur allah taala ne qur'an majeed me yah aayat naazil farmayi

" hamne insaan ko apne maa baap ke saath nek sulook ki taaqeed farmayi, lekin agar wah tujhe mere saath shirk par majboor karen jiska tere paas saboot nahi toh phir unka huqm na maanna, albatta duniya me unke saath nek sulook karte raho "


(muslim kitab fazail us sahaba (ra) , bab fi fazal saad bin abi waqqas )


ALLAH TAALA HAM SABKO AISE KI IMAAN KI SA'AADAT SE NAWAAZE..... Ameen


THE END