Tuesday, September 4, 2012

TAHREEK AHLE HADITH KA JURM









Bismillahirrahmanirraheem




TAHREEK AHLE HADITH KA JURM:



Hamare mukhalifeen hamen, wahabi, ghair muqallid, la'mazhab, kharji, hashowi, shia ke bhai wagerah laqab se nawaazte hain

(shaniyatul khateeb pg 21, irshad ul shia pg 149, fath ul mubeen pg 442, 453,455 wagerah )



is propaganda ko is qadr hawa di gayi ke aaj , ghair muqallid, wahabi wagerah ka lafz ek GAALI ban kar rah gaya hai,

aakhir ham logon ne unka kya bigaada hai ? Kisi jaaydaad par qabza kiya hai ya izzat nafs majrooh ki hai ?

Nahin ! Hargiz nahi, toh phir hamare saath ye imtiyazi sulook kyon kiya ja raha hai,

halaanke taleem quraan hai ke

" mushrikeen ke maboodan e baatila ko gaaliyan mat do "

(surah anam 108)


qaabil e ghaur baat ye hai ke kya hamara itna hi na'qaabil jurm hai ke hamen chidhaane ke liye bure naamon se yaad kiya jaata hai, baaz firqa baatila ki taraf hamari nisbat ki jaati hai,

khasiyat e illahi ko bila e Taaq rakhkar hamari taraf wah cheezein mansoob ki jaati hain jin ko ham bhi kufr kahte wa gumrahi kahte hain, buzurgon ke gustakh, aimma e deen ki tauheen karne waale toh hamen aam kaha jaata hai,

halaanke ham barmala kah rahe hain ke ham ummat e marhooma mese kisi bhi buzurg ki shaan me gustakhi karne waale nahin,

jin naamon se aap hamen mukhatib karte hain unke saath hamara sire se koi mazhabi rishta wa taalluq hi nahi,

magar in logon ko hamari qasmein jhooti dikhaai deti hai, namazein riya maalum hoti hain, itteba e sunnat ka jazba unko numaish maalum hota hai, qur'an wa sunnat ki khidmat ko ye log hawa e nafs ka naam dete hain,

maine kai baar ghaur kiya ke aakhir hamara jurm kiya hai ??

Jiski itni sangeen saza hamen sunaayi ja rahi hai,

bhaiyyon ! Jahan tak meri aqal wa fikr ne kaam kiya toh mujhe ye kasoor nazar aaya ke hamne TAQLEED ke bajaaye ITTEBA E RASOOL ko odhna bichona banaya,



HIDAYA ki bajaaye QUR'AN ki taraf bulaaya,

QUDOORI ki bajaaye HADITH E RASOOL padhne ke liye logon ko tohfa diya,

tarajim FIQH ki bajaaye QURAAN WA HADITH ke tarajim kiye,

angrezi GHULAMI ki bajaaye JIHAD FI SABILILLAH ko farogh diya,

mulk me FATAWA AALAMGIRI ke bajaaye QURAN WA SUNNAT ke nefaz ka mutaalba kiya,

BIDAT ki bajaaye SUNNAT ki aabyari ki,

SHIRK ki bajaaye TAWHEED ka dars diya,


yahi kasoor un logon ki nigaah me na'qaabil maafi jurm ban gaya,

jaisa hamare pyare nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko ' jaahil ' kaha gaya, usi tarah hamen la'mazhab ka lagab diya gaya,

jaise nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko mazmum kaha gaya, waise hi hamen zaal ka laqab diya gaya,

jaise nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko tawheed ke dars par maaboodan e baatila ka gustakh kaha gaya, waise hi hamen dars e tawheed par awliya allah ka gustakh qaraar diya gaya,

Jaise sahaba kiram (ra) ko itteba e rasool ki wajah se bewaqoof kaha gaya, usi tarah hamen bhi ghair faqeeh kaha gaya,

(surah baqarah 13)


jaise sahaba kiram (ra) ko uswa e rasool ki pairwi wajah se saabi kaha gaya usi tarah itteba e rasool ki wajah se hamen aawaara ( ghair muqallid ) kaha gaya,


afsos sad afsos ke agar " aami (jahil)" ko hidaya padhne ke liye diya jaaye toh wah hidayat par rahega, agar qur'an wa bukhari di jaaye toh gumraah aur aawaara ho jaayega,

IS ZYADATI KI KOI INTEHA HAI !!!


Magar kaan kholkar sun lo ! In fatawa ki allah ke yahan raayi ke baraabar bhi haisiyat nahi,

deen tumhare imam aur fuqaha ka nahi, allah aur uske rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka hai,

hamen khushi hai ke hamen hamare aaqaa ki tarah sab kuch sunna padha aur ham ne sabr kiya, allah taala hamare asalaaf aur hamare liye in cheezon ko tosha aakhirat aur kaffara siyaat banaaye, aur Is amal e hasana ke waseele se hamen apne pyare aaqa nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki shafa'at aur jannat me rifaaqat naseeb farmaaye, aur in logon ko hidayat ata farmaye.... Ameen


khair in logon ki aisi harkat se ulema e haq bad'dil na hue , aur apne mission ko jaari rakha, jiske nateeje me jald hi taqleed wagerah masail ahle ilm ki mahfil se nikal kar aawaami ban gaye,

aur fiqh hanafi ke baaz ghalat aur qur'an wa sunnat ke khilaf fatawe ka mazaaq udaaya jaane laga, hanafiya ne apne andaz e fiqr par ghaur kiya aur ahle hadith ko badnaam karne ke liye nusoos par harfgiri aur taaweel wa tahreef (changes in books) ka raasta akhtiyaar kiya, in logon mese baaz naam ke allama wa fuqaha aur munazireen ne sunnat rasool par mazaaq karna apna odhna bichona bana liya, hamare maa'sir ne bhi ' khade hokar pesaab karna ', ' dauraan e namaz bache ko uthaana ', ' namaz me kundi kholne ki hadith ka Mazaaq udaaya hai

(dekhiye tohfa ahle hadith pg 10)


ahle hadith ki dushmani me bukhari wa muslim ki riwaayat par aitraaz hua, toh kabhi hujjat hadith par harf giri ki gayi, toh kabhi tadween hadith ke naam se hadith me shak wa shubu'haat pesh kiye,


jab ye aitraazaat market me aaye toh JAHLA aur BABU TYPE logon ko in aitraazaat me maaqooliyat nazar aayi, jiska nateeja waazeh tha ke unhone sire se hujjat hadith se hi inkaar kar diya,

aur millat e islamia ke ijtemaayi mauqaf ke bar'ashk ITA'AT RASOOL ka hi inkaar kar diya.......


ALLAH TAALA IN BAATIL ULEMA E SOO KO HIDAYAT DE.......AMEEN