Friday, August 31, 2012

SAHABA KIRAM (RA) KI TAQLEED SHAKHSI

Bismillahirrahmanirraheem



SAHABA KIRAM (RA) KI TAQLEED:



Deobandiyyah farmate hain ke baaz sahaba kiram mujtahid they aur kuch ghair mujtahid, toh dusre sahaba kiram mujtahid sahaba kiram ki taqleed karte they, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke zamaane me yemen me hazrat mu'az ki taqleed shakhsi hoti rahi, shah waliullah muhaddis dehlawi apni kitab " insaaf" me farmate hain ke:-" sahaba kiram mukhtalif shahron me phail gaye, har shaher me kisi na kisi sahabi ki taqleed hoti thi, hz ibn abbas ki makka me, hz zaid bin saabit ki madina me, hz abdullah bin masood (ra) ki koofa me aur basra me hz anas ki taqleed hoti rahi "

(tohfa ahle hadith page 90)


JAWAB:


1- Ye sab kazzab wa aftara aur likhne waale ki khud'saakhta kahaani hai, hamara challenge hai ke wah kisi sahih wa motbar sanad se in sahaba kiram ki taqleed saabit nahi kar sakta,

raaqim hairan hai ke ye shakhs khuda aur rasool Par aftara karne me aur sahaba par bohtaan baandhne me is qadr diler kyon hai ?


2- hz abdullah bin masud (ra) se sahih sanad ke saath marwi hai ke:-" deen me koi shakhs kisi ki taqleed na kare "


(tabrani kabeer jild 9 page 152)


haythami farmate hain:-" iske raawi sahih ke raawi hain "

(majmua al zawaid page 185, fil nuskhatul ukhra jild 1 page 182)


hz shah waliullah muhaddith dehlawi farmate hain ke:-" bila shubah tamam sahaba kiram, tabain azam, aur taba tabien ka awwal ta aakhir is baat par ijma ho chuka hai ke koi shakhs apne mese ya saabiqeen mese kisi aalim ke sab aqwaal par amal na kare"

(aqdul zayyed page 40)

lekin is haqiqat ke khilaf deobandiyyah kahte hain ke:-" sahaba kiram ek dusre ki taqleed karte they "

INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAJIUN


3- agar log sahaba kiram ki taqleed karte they toh kya wajah hai ke aap hazraat sahaba kiram ki taqleed ke bajaaye imam abu hanifa ki taqleed Karte hain ?? Aur sahaba kiram ki taqleed se mana karte hain ?

Jaisa ki ibn hammam ne " tahreer " me saraahat ki hai

(ba'hawala majmua al fatawa abdul haiy jild 3 pg 193)


kitne sitam ki baat hai ke aap kahte hain ke hz anas ki basra me taqleed hoti thi, magar aap ka aalim hz anas bin malik (ra) ke baare me bakwas karte hue tahrir karta hai ke

" is riwayat ko naqal karne me hz anas (ra) munfarad hain jo budhaape aur unpad (illiterate) hone ki wajah se qaleel ul zabt they, is tarah wah oont ka peshaab peene waali riwayat me bhi munfarad hai, aur abu hanifa ka usool ye hai ke sahaba maasoom nahi, unpad ya budhaape ki wajah se qillat zabt ki bina par unse riwayat hadith par ghalti ho sakti hai, aur hz anas ghair faqeeh bhi they aur ghair faqeeh sahi ul hifz sahaba ki riwayat faqeeh ke muqaable me marju hai "

( taaniyabul khateeb page 117, taba maktaba islamia quetta)

dekhiye aapke aalim hz anas bin Malik (ra) se marwi marfu hadith ko radd karne ke liye unke budhaape aur unpad hone ka dawa karta hai, aur unko ghair faqeeh kah kar apne khabas baatan ka izhaar kiya hai,

deobandiya apne akaabireen ki taqleed ki wajah se dar'pardah aqeedah toh yahi rakhte hain ke hz anas (ra) ghair faqeeh, unpad, wa budha hone ki wajah se inki hadith na qubool ki jaaye ( maaz'allah ),


lekin yahan sirf matlab ke liye unko basrah ka faqeeh kah kar unki taqleed saabit kar rahen hain..... INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAJIOON