Monday, August 27, 2012

IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA NA PADHNE KI HADITH KA JAYEZA: (PART 2)

Bismillahirrahmanirraheem



IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA NA PADHNE KI HADITH KA JAYEZA: (PART 2)



1- Hz abdullah bin abbas (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne apne marjul maut me farmaya ki abu bakr (ra) logon ko namaz padhaaye toh abu bakr (ra) namaz padhaane ke liye aage bade aur namaz shuru ki jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne kuch aaraam mahsoos kiya toh do shakhs ke sahaare se aap masjid me tashreef laaye, abu bakr (ra) ko mahsoos huwa toh wah peeche hatne lage, toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ishaare se farmaya:-" apni jagah par thahre raho ", aur aap unke baayen taraf baith gaye aur jahan tak wah qir'at kar chuke they, wahin se aapne qirat ko pura kiya "

(ibne majah, musnad ahmad),

agar surah fatiha padhe begair namaz nahi hoti toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki ye rakat poori surah fatiha padhe Beghair kaise durust hai??


JAWAB:



"Jahan tak wah qirat kar chuke they wahin se aapne qirat ko poora kiya "

ye alfaaz kisi bhi sahih riwayat me maujood nahi hain, aur hz abdullah bin abbas (ra) ki ye riwayat dhaeff hai,



2- Allah taala ne farmaya:-" aur jab quraan padha jaaye toh use suno aur chup raho taaki tum par raham kiya jaaye "

( surah aaraaf 204)

is aayat se imam ke peeche qirat mansookh ho gayi hai..


JAWAB:


1- Koi huqm usi waqt mansookh ho sakta hai jab use mansookh karne waala huqm baad me aaye, lekin yahan maamla ulta hai kyonki ye aayat makkah me naazil hui hai aur surah fatiha padhne ka huqm muqtadi aur ghair muqtadi ko aap (sws) ne madeena me diya hai

2- is aayat se imam ke peeche qirat ki mansookhiyat usi waqt saabit ho sakti hai jab yaqeeni taur par saabit ho jaaye ki is aayat me musalmano se allah ne guftugu ki hai, lekin quran ke silsila e kalaam se malum hoti hai ki is aayat me kaafiron se baat ki gayi hai aur isko musalmano se koi talluq nahi hai, kyonki agar musalmano se iska talluk maana jaaye toh allah ke kalaam me rabt(jod) baaqi na rahega aur ye baat quraan ki balaagat par sawaaliya nishan jaisi hai,

yahi wajah hai ki sahaba kiram is aayat ke hote hue bhi imam ke peeche surah fatiha padhte they, jaisa ki sahih hadith ki roshni me wazaahat ho chuki hai...



3- hz abu musa ashari (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jab tum log namaz padho toh safon ko seedhi karo, phir tummese koi tumhara imam bane to jab wah takbeer kahe toh taqbeer kaho, aur jab qirat kare toh chup raho "

(muslim )


JAWAB:


is hadith me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne qirat ki mumaniat ki hai, surah fatiha ki qirat isse bilkul alag hai. Kyonki sahih hadith ki roshni me is baat ki wazaahat ho chuki hai ki muqtadi ko surah fatiha ke elawa kisi aur cheez ki qirat se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mana farmaya hai,


4- hz abu hurairah (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ek namaz se faarig hue jisme aapne jahar (zor) se qirat ki thi, toh aapne farmaya:-" kya tum logon mese kisi ne abhi mere saath qirat ki hai ? Toh ek shakhs ne kaha, haan ya rasoollullah !,

maine qirat ki to nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" main kahta hun kya hai mujhko ki main manaza'at kiya jaata hun qur'an me"

jab logon ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se ye baat suni toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath qirat karne se baaz aa gaye, jisme aap jahar se qirat karte they

(malik, abu dawood, tirmizi, nisai, ibne majah)


JAWAB:


Is hadith me " main kahta hun kya hai mujhko ki main munaza'at kiya jaata hun quraan me "

tak hadith marfu hai yani nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka qaul hai aur uske baad se aakhir tak juhri tabai ka qaul hai,

imam juhri (rh) ki aadat thi ki apna qaul hadith e marfua me mila diya karte they, isliye isse daleel pakadna sahih nahi hai, kyonki tabai ka qaul hujjat nahi hai, agar is baat ko daleel maan bhi liya jaaye toh uska sahih mafhoom yahi hoga ki surah fatiha ke elawa ki qirat se baaz aa gaye, Kyonki sahih hadith se saabit ho chuka hai ki surah fatiha ke elawa ki qirat se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mana kiya hai,


5- hz jaabir (ra) se riwayat hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jis shakhs ke liye imam ho toh imam ki qirat uske liye qirat hai "

(ibne majah)


JAWAB:


1- Hz jaabir (ra) ki ye hadith nihayat daeef hai,iski sanad me "jaabir ja'afi raawi" daeef hain, khud imam abu hanifa (rh) uske baare me farmate hain:-" jin logon se maine mulaaqaat ki hai unme se hz ata se zyada bahtar har jaabir ja'afi se zyada jhoota maine kisi ko nahi dekha, jab maine jabir ja'afi se koi baat apni raaye se kabhi bhi bayan ki toh usne us baat ke baare me koi na koi hadith mujhe lakar di "

(takhreej e zailai)

2- allama abu hasan sidhi hashiye ibne majah me likhte hain:-" kaha gaya hai ki ehtemaal hai ki jaabir ki hadith ka ye matlab ho ki jo shakhs imam Ke peeche ho toh usko khud apni qirat karne chahiye, kyonki imam ki qirat imam hi ke waaste hai"



Allah taala hamen taufeeq de ki ham koi bhi amal karne se pahle use kitab wa sunnat ki kasauti par parakh len....... Ameen