Saturday, August 4, 2012

AMBIYA (AS) TAQLEED KI NAHI, ILM KI DAAWAT DETE THEY








Bismillahirraheem



AMBIYA (AS) TAQLEED KI NAHI, ILM KI DAAWAT DETE THEY:



ambiya (as) ne logon ko apni " taqleed" ki dawat nahi di, balke unki taalimaat ka khulaasa tha


" sab allah waale ban jaao ke tum uski kitab dusron ko sikhaate ho aur khud bhi padhte ho"

(surah aal e imran 79)


ambiya (as) ki dawat, taaleem, wa fikr tadbeer ki dawat thi, aur un par naazil hone waali har aayat aql wa baseerat ka khazaana thi,

hz musa (as) ne fir'aun ko mukhaatib hokar farmaya:-" tum acchi tarah jaan chuke ho ke in nishaaniyon ko aasmaano aur zameen ke parwardigaar ke siwa kisi ne naazil nahi kiya, aur inke nazool se maqsood tumhe baseerat se aash'na karna hai"

(surah isra 102)


qur'an kareem ka taruf karaate hue farmaya:-" ye qur'an tumhare parwardigaar ki jaanib se saamaan daanish wa baseerat hai aur momino ke liye sarasar hidayat wa rahmat hai "

(surah araf 203)


AMBIYA (AS) KI DAAWAT SE FAIZ'YAAB HONE WAALE KHUSH'NASEEB


Ambiya (as) ki daawat bila'imtiyaz tamaam insaano ke liye thi, taaham is daawat faizyaab hone waale, is noor e baseerat se musta'feed hone wale sirf wah khushnaseeb they jinhe rahmat baari taala ne apni shaan kareemi se muntakhab farma liya tha,

allah taala ka irshad hai:-" aur wah ikhtelafaat karte hi rahenge, siwaaye un logon ke jin par parwardigaar raham farmaye, aur isi liye usne unko paida kiya hai aur tumhare parwardigaar ka qaul poora ho gaya ke main dozakh ko jinno aur insaano (sabse) bhar dunga"

(surah hood 118, 119)


is ikhtelaaf ke nateeje me insaano ke do giroh ban gaye

allah taala ka irshad hai

" aur hamne har ummat me paighambar maboos kiya (ye paigham de karke) allah ki ibadat karo aur taaghoot se door raho, phir unme baaz aise hue jinhe allah ne hidayat se nawaaza, aur baaz aise hue ke unpar gumraahi saabit ho gayi, so tum zameen par dekhego ki jhutlaane Waalon ka kaisa (bura) anjaam huwa"

(surah nahal 36)


RASOOLON PAR IMAAN KE FUYUZ WA BARKAAT:


Hidayat naseeb giroh wah tha jo imaan se bahra'war huwa,

allah taala ka irshad:-" dar'asl log ek hi giroh they (unme ikhtelaaf hua) toh allah taala ne nabiyon ko khush'khabriyan sunaane waale aur darr sunaane waale banaakar maboos kiya, aur unke saath sachi kitabein naazil farmaayi taake logon ke har ikhtelaafi amr me faisla ho jaaye kitab me saaf ahkaam aajaane ke baad logon ne jinkn wah di gayi thi jhagda karna shuru kar diya aur ye sirf zidd aur anaad ke sabab huwa, us ikhtelaaf me allah taala ne imaan waalon ko haq ki taraf hidayat ata ki aur allah taala jise chaahta hai seedhi raah ki tarah rahnumaayi farmaata hai "

(surah baqarah 213)


aur farmaya:-" jo log imaan laaye aur nek amal karte rahe unka parwardigaar unki imaan ki badolat hidayat ata farmaata hai"

(surah younus 9)

aur farmaya:-" aur jo Allah par imaan laaye allah uske dil ko hidayat dega "

(surah taghboon 11)



AMBIYA (AS) KI ITAA'T ASAL IMAAN HAI:


Aur momin wah hote hain jo ambiya wa rasool ki itaa't karte hain, jaisa ke irshad rabbani hai

" momino ki toh baat sirf ye hai ke jab allah aur uske rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taraf bulaaye jaayen taake unme faisla karen toh kahen ke hamne (hukm) sun liya aur hamne maan liya"

(surah noor 51)


aur farmaya:-" tumhare parwardigar ki qasam ye log momin nahi ho sakte jabtak tumhe apne tamaam ikhtelaafaat me aapko haakim na maan len, aur jo faisla tum karo usse dil me tang na hon aur ba'khushi maan len, aur agar ham unpar apne aapko qatal karna ya apne gharon se nikal jaana farz kar dete toh unme thode hi ye huqm baja laate, aur agar ye is nasihat par kaar'band hote jo unko ki jaati hai toh unke haq me bahtar aur deen me unki mazeed saabit qadami ka maujab hota , aur ham unkn apne yahan se ajar azeem ata farmate aur seedhi raah ki taraf unhe hidayat ata karte"

(surah nisa 65-67)


ALLAH TAALA HAM SABKO HAQ BAAT KAHNE, SUNNE, AUR USPAR AMAL KARNE KI TAUFEEQ DE.....AMEEN