Tuesday, August 21, 2012

GHAIR-MUQALLID KI TAREEF (DEFINITION)

Bismillahirrahmanirraheem


GHAIR-MUQALLID KI TAREEF (DEFINITION)


Hanafiya ghair muqallid ki taareef karte hue farmate hain:-" ghair muqallid toh wah hota hai jo khud bhi ijtehaad na kar sake aur mujtahid ki taqleed bhi na kare, balke fuqaha ko gaaliyan de aur unke muqallideen ko mushrik kahe "

(tohfa ahle hadith page 63)


JAWAB:


1-Aap ki bayaan ki hui taareef ki ru se muqallid ki ye taareef hogi ke jo mujtahid ho kar taqleed kare, halaanke mujtahid aalim hota hai, aur ahle ilm ka ittefaq hai ke muqallid ka shumaar ahle ilm me nahi hota

(alamul moqeen jild 1 page 7)

maulana ashraf ali thanwi hanfi deobandi farmate hain ke:-" ham khud ek ghair muqllid ke motaqid aur muqallid hain kyonki imam azam ka ghair muqallid hona yaqeeni hai"

(majaalis hakeem ul ummat page 345, murattab mufti muhammad shafeeq sahab, aur dekhiye hashiya tahawi durr e mukhtar jild 1 page 51)

deobandiyyah apni bayaan kardah Taareef ki ru se saraahat karen ke imam abu hanifa mujtahid they ya nahi ?

Aur wo aimma e deen aur buzurgaan e millat ko gaaliyan diya karte they ke nahi ??

2- aapne jo ghair muqallid ki tareef ki hai ye fiqh aur usool fiqh hanafiya ki kis kitab me darj hai ?? Mai hawala saraahat karen,

3- maine aaj tak apne kisi ustad se aimma kiram ko gaali dete nahi sun, agar aapke qaul me sadaaqat hai toh saboot dijiye, warna LANATULLAH MIL KAAZIBEEN ki waeed se dar jaayye,

ham allah ko gawah banakar kasaman kahte hain ke ahle hadith tamam buzurgan e deen , aimma kiram, fuqaha e azzam ka dil se ehteraam karte hain,

haan ! Albatta unke qaul wa aqwaal ko wahiy aasmaani ki tarah nahi jaante ke jisme nazar'saani karna kufr ho,

aur na hi unko masoom ain ul khata tasawwur karte hain, balke unke quraan wa sunnat ke khilaaf aqwaal ko unki bashari kamzoriyan aur bhool chook se taabeer karte hain,

aur unke durust Ijtehadaat ki qadr karte hain, poori ummat ke buzurgaan se hamari khususi muhabbat hai, aur gaaliyan dene waali ko ba'hukm nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ,faasik tasawwur karte hain

(asbab al muslim fasooq, bukhari wa muslim, ba'hawala miskaat page 411)


is baat ka izhaar hamne sirf aaj hi nahi kiya balke aaj se kayi saal pahle ham " deen ul huq jild 1 page 516" me kar chuke hain,


4- adab wa ehteraam ki thekedaari ka dawa karne waale deobandiyyah se badh kar koi gustakh wa be'adab nahi,

aap ke akaabir ne har mukhaalif ki wah khabar li hai ke allah ki panaah

' usool e shashi' aur ' noor ul awtaar page no 179' me hz abu hurairah (ra) aur hz anas (ra) ko ghair faqeeh likha hai,

aur usool shashi ke bain al satoor me hz uqbah bin malik (ra) aur aas paas ke dehaat (village) ke tamam sahaba kiram ko ghair faqeeh likha hai,

urdu zabaan me ghair faqeeh ka theek maana " be'waqoof" ke hote Hain,

aapke imam abu hanifa ne hz wail bin hajar (ra) ki hadith ko 'aaraabi '(jungli wa badu) kahkar thukra di thi

(musnad abu hanifa mutarjam page 88)

aur " tauzeeh page 411" me imam shafai ko jaahil aur ameer muawiya (ra) ko bidati likha hai,


shayad aap unko adab wa ehteraam aur bade acche alqaab qaraar dete hon toh zara himmat karke jab " nasratul ulonm ki taqreeb bukhari " ka ishte'haar shaaye karen toh unhen al'qaab se ish'tehar me apne ustaad ka naam likhna ke

" falan sheikh ul hadith jo ghair faqeeh, aaraabi jaahil wa bidati hain "

ka bukhari ki aakhiri hadith par dars hoga,

uthiye aur himmat kijiye aur in laqab se ek deobandi aalim ko mukhaatib kijiye, phir kudrat ka karishma dekhiye ke charon taraf se aapke haq me deobandi dua khair karenge ke aapko jaan ke laale padh jaayenge...


Afsos aap apne akaabir ke liye toh jaahil, bidati, ghair faqeeh, aur aaraabi ka lafz pasand nahi karte, Magar sahaba kiram (ra) aur haami e sunnat imam shafai (rh) ke mutaallik ise bade shauq se gawaara karte hain, balke is maarifat ka naam dete hain,

ye hain adab ke waahid thekedaar.... INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAJIUOON...




#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks