Thursday, August 30, 2012

AAL-E- SAUD AUR ULEMA E DEOBAND






Bismillahirrahmanirraheem



AAL-E- SAUD AUR ULEMA E DEOBAND:


Hanafiyyah ne (tohfa ahle hadith pg 84) me ye batlaane ki koshish ki hai ke:-" aal e saud bhi hamare MUQALLID bhai hain "

fir kuch jazwi wa furui masail me ikhtelaaf saabit karne ke baat irshad farmate hain:-" ab batao tumhare hain ya hamare, chalo ek aur tareeqe se aajma lo aap bhi bhi imam e kaaba ke paas chalo main bhi chalta hun, main kahunga ke main imam e azam abu hanifa ka muqallid hun, aap kahen 4ron aimma mese jo kisi ki taqleed kare wah mushrik aur gumrah hai, aimma arba mese kisi ek ki taqleed saraasar gumrahi hai, phir dekhenge ke wah imam e kaaba haath kiske choomta hai aur joote kisko maarta hai, phir dekhenge saudia waale tumhare saath ya hamare saath "

(tohfa ahle hadith pg 83-84)



JAWAB:



1- Aiyye chalte hain kharcha aap ke zimme raha, kyonke dawat aapne di hai,

kaaba ke imam ko judge maan lete hain, khakisaar akaabir deoband Ke aqaid aur nazariyaat ki nishaandehi karega, phir qudrat e illahi ka karishma dekhna ke aapke baare me kya faisla saadir karte hain,


2- taqleed ko sirf hamne hi shirk nahi kaha, balke bahut se ahle ilm ne isko shirk hone ki saraahat ki hai, auron ko jaane dijiye aapke ustad mohtaram maulana sarfaraz khan safdar aur maulwi ashraf ali thanvi wagerah ne bhi shirk kaha hai,


2- maulana ahmad raza khan barelwi hanafi ne 1324 hijri me ulema e haramain se aapki takfeer par must'amal fatawa haasil kiya tha jo ' hisamul haramain ', ke naam se shaaye bhi ho gaya tha jo ab tak kai baar taba (publish) ho chuka hai aur market me dast'yab hai, uske baare me aapka kya khayaal hai, motbar hai ya ghair motbar ??

Agar ghair motbar kahte ho toh ham kis tarah maan len ke aaj ke fatawa ko maan kar apne aqaid baatil se aap ruju kar lenge !!


3- baitullah aur masjid nabwi ke imamon se ham ye bhi arz karenge ke jitni der Saudia waale ghareeb they toh deobandiyon ke akaabir aap tamaam hazraat ko FAASIQ wa FAAZIR aur JAAHIL wagerh ka fatawa lagaate they,

ab chunke allah taala ne unpar gurbat ka daur khatam kar diya hai aur maal wa daulat ke darwaje khol diye hain jiski wajah se aajke deobandiyon ne ZAKAAT,FITRAANA , SADQAAT wasool karne ki gharz se munafiqat ka roop dhar liya hai, warna ye log dar'pardah aal e saudia ki takfeer ke qayel hain


molwi anwar shah kashmiri kahte hain:-" muhammd bin abdul wahhab najdi nihayat be'waqoof aur kam ilm shakhs tha, aur wah musalmano par kufr ka huqm lagaane me bahut tez tha "

(faiz ul bari page 171)



maulwi ahmad madni deobandi hanafi likhta hai:-" sahabon ! Muhammad bin abdul wahab najdi ibteda 13wi sadi najd arab se zaahir huwa aur chunke ye khayalaat baatila aur aqaid faasidah rakhta tha... Wah ek zaalim, aur baaghi , khoon'khwar faasiq shakhs tha "

(shihab us shaaqib pg 42)

" najdi aur uski itteba ka ab tak yahi aqeedah hai ke ambiya (as) ki hayat faqat usi zamana tak hai jab tak wah duniya me they, baat wafaat wah aur deegar momineen maut me baraabar hain, agar baad wafaat unki hayaat hai toh wahi hayat unko bar'zakhi hai, aur ahadaamat ko saabit hai baaz unke hafz jism ke qayel hai magar bila rooh "

(shihab us shaqib 45)


" ziyarat rasool maqbool (sws) wa hazoori aastaanah shareef wa malaheza rozah mutahhara ko ye taifa bidat, haraam wagerah likhta hai, is niyat se safar karna mahzoor wa mamnu jaanta hai "

" unka mus'tadal hai baaz unme se safar ziyarat ko maaz'allah zina ke darjah ko pahunchaate hain, agar masjid nabwi me jaate hain to salaat o salaam zaat ul aqdas nabwi (as) ko nahin padhte, aur na uski taraf mutawajjoh hokar dua maangte hain "

(shihab us saaqib page 45, 46)


" wahabiya kisi khaas imam ki taqleed ko shirk fi risaala jaante hain aur aimma arba . Unke muqallideen ki shaan me alfaaz waahiya khabeesa ( jhooton par allah ki laanat ) istemal karte hain, aur iski wajah se masail me wah ahle sunnat wal jamaat ke mukhalif ho gaye hain, chunke ghair muqallideen isi taifa wahabiya ke pairokaar hain, wahabiya najd wa arab agarchah izhaar daawa hambali hone ka iqrar karte hain lekin amal me unka hargiz jumla masail me imam ahmad bin hambal ke mazhab par nahi hai, balke wah bhi apne faham ke mutaabik jis hadith ko mukhalif fiqh khyaal karte hain unki wajah se fiqh ko chhod dete hain, unka bhi misl ghair muqallideen ke akaabir ummat ki shaan me alfaaz gustakhaana be'adabana istemaal karna maamool ho gaya hai "

(shihab us saaqib page 62)
al'gharz is tarah ki bahut si ibaraat hain jisme madni sahab ne khasiyat e ilaahi ko bila e taaq rakh kar saudia arab ke logon par kazzabaat wa aftara karke unko faasiq wa faajir qaraar diya hai


maulwi khaleel ahmad Ambethwi deobandi hanafi ne ( tasdeeqaat ladafa al talbisaat pg 28-29) me bhi isi taraf ke gul khilaaye hain,

aur ye mashallah wah kitab hai jiski tasdeeq karne walon me maulwi mahmud hasan khan, maulwi ahmad hasan amrohi, maulwi aziz ur rehman, mufti kifayat ullah dehlawi, maulwi ashraf ali thanvi,. Maulwi shabbir ahmad usmani, aur habiburrahman deobandi wagerah shamil hain,

(matbua daarul isha'at musaafir khaana karachi )


magar hamare deobandi bhai ko ghaliban wahan se sadaqaat wasool karne ka SHAUQ hai, jiski wajah se apne akaabireen ke bar'ashq hamko lalkaar raha hai ke

" aiyye imam e kaaba se insaaf karwa lete hain "


bhai ! Jab hamne poori haqiqat kholi toh yaqinan JOOTE munafiqeen ko lagenge, ham allah ke fazal se mahfooz rahenge.....INSHALLAH 



#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks