Wednesday, August 29, 2012

AHLE HADITH KE TAQLEEDI MASAIL KA JAYEZA (PART 3)

Bismillahirrahmanirraheem



AHLE HADITH KE TAQLEEDI MASAIL KA JAYEZA (PART 3)



Deobandiyyah hazraat farmate hain ke:-" ghair muqallideen ki namaz ki sharait hadith se nahi milti, sharait namaz me AHNAF ki taqleed karte hain "

(tohfa ahle hadith 92)


JAWAB:


1- Sharait namaz se aapki kya muraad hai ??

Agar wahi hai jo hanafi bayaan karte hain, toh aap pahle fursat me apne ustad mohtaram soofi abdul hameed sawati ki taaleef " namaz masnoom page 264-274" tak mutaala karen, jahan unhone quraan wa hadith se sharait namaz ko bayaan kiya hai, agar unke dalail sahi hain toh aapke aitraaz ghalat hain,

2- sharait namaz me ahnaaf ne, taharah badan, taharah syaab, taharah makaan, satar aurat, qibla ki taraf rukh, aur niyat ko shumar kiya hai,

ab aap saraahat se bayaan karen ke unme se kis cheez ka quraan wa hadith me dhikr nahi ??

Magar mujhe poora yaqeen hai ke aap kisi cheez ke mutaallik dawa nahi kar Sakte, haan ! Albatta aapne aage page no 16 me namaz ki niyyat ka dhikr zaroor kiya hai, halaanke islam ka dastoor wa kanoon hai ke:-" amaal ka daaromadar niyyat par mauqoof hai "

jaisa ki hadith me hai

(bukhari jild 1 page 2, muslim jild 2 page 140)


agar aap ki niyyat se muraad awaam un naas me maroof tareeqa zabaan se niyyat karne ka hai toh uska koi bhi ahle hadith qayel nahi, balke tamaam hi ise bidat kahte hain,

kyonki namaz ki ibteda nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ' allahu akbar ' se karte they,

aur aapke khud banaaye hue alfaaz ada nahi farmate they,

3- jis tarah allah ke pyaare rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne namaz ada ki hai wah tamaam tareeqa hi dar'asal sharait namaz se hai,

hz malik bin huwairish (ra) ko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne namaz ke maamle me taaqeed karte hue farmaya

" tum namaz us tarah padho jis tarah tumne mujhko Namaz padhte hue dekha "

(bukhari, kitabul musaafireen hadith 63)

isse waazeh howa ke jo shakhs jaan bhoojh kar nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke tareeqe ke mutaabik namaz nahi padhta uski namaz nahi hoti,

maslan nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) namaz ka salaam ke saath akhtimaam karte they, ab agar koi shakhs salaam ki jagah par jaan bhoojh kar hawa khaarij kar de toh uski namaz bekaar hai,


KYA AHLE HADITH IBN HAJAR KE MUQALLID HAIN ??


Deobandiyah farmate hain ke:-" asma wa rijaal me ghair muqallideen imam ibn hajar ki taqleed karte hain "

(tohfa ahle hadith page 92)


JAWAB


1- Iska jawab sirf LANATULLAH ALAL KAAZIBEEN kaafi hai,

2- aapne imam hafiz ibn hajar (rh) ki kutub rijaal ka ghaliban mutaala nahi kiya, warna aisa daawa na karte

bhai unhone " tahzeeb aur lisaan" me aimma jirra wa tadeel ke aqwaal ko jama kiya hai, aur raawi ke 'siqa' wa ' dhaeef' par Dalail naqal kiye hain, unko qubool karna gawaahi ki zamare me aata hai, taqleed ki taareef is par fit nahi hoti,


3- jirrah wa tadeel ki buniyaad umoor mahsoosah yani masmu'aat wa masha'hedaat par hai, na ke qayaas wa ijtehaad par,

4- taqribam tamam muqaliddeen hazraat ahle hadith ko " ghair muqallid" ke naam se mukhatib karte hain,

deobandiyyah wazaahat karen ke ahle hadith ko ghair muqallid kahne me akaabireen deoband ka kaazib hain ya nahi ??


ROZA, QURBANI KI FARZIYAT:


Farmate hain ke:-" roza farz hai, qurbani farz hai, ye hadith me lafz nahi hai, ahnaf ki taqleed karte hain "

(tohfa ahle hadith 92)


JAWAB



1- Roze ki farziyat ka toh quraan kareem me waazeh bayaan hai

" ya aiyyu'hal lazeena aamanu kutiba alaikum siyaam "

Aur "kutiba" ka yahan maana sirf aur sirf farz hai,

bhala batao quraan chhodkar fiqh hanafi ki taqleed koi ahle hadith kar sakta hai ?

2- lagta hai aapne mishkaat bhi Nahi padhi, warna hadith me aata hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke:-" ramzan ul mubarak ka maheena aa gaya, allah taala ne uske roze tumpar farz kiye hain "

farz allah alaikum siyaam

( musnad ahmad, nisai ba'hawala mishkaat page 173)

iske elawa roze ki farziyat toh quraan se saabit hai, aap kisi ahle hadith madarsa me daakhila lekar pahle quraan paak ka tarjuma zaroor padhen


2- ahle hadith aur jamhoor ummat ke nazdeek qurbaani sunnat hai, yahi imam ahmad aur tahaawi ka qaul hai,

tafseel ke liye dekhen
(mir'aat jild 5 pg 71)


lihaaza aapka qurbaani ki farziyat ko ahle hadith ki taraf mansoob karna hi ghalat bayaani hai, aur ise ahnaaf ki taqleed me baawar karaana double jhoot hai,


NAMAZ E JANAZA KI TARTEEB:


deobandiyyah farmate hain ke:-" ghair muqallideen janaze me jo tarteeb rakhte hain ye tarteeb hadith paak me nahi hai, yani pahli takbeer ke baad 'sana' , taa'wuz, tasmiya, fatiha, agli surat, dusri takbeer ke baad durood ibraahimi, teesre takbeer ke baad 12,13 duwaayen ikatthi karna, ye tareeqa janaaza kisi sahih hadith se saabit nahi "

(tohfa ahle hadith pg 92)


JAWAB:


1- Sirf qiraat fatiha me akhtilaaf hai, baaqi tamaam cheezon me ishtaraaq hai, ek se zayaadah duwaayen ka padhna, ahnaaf ko bhi musallam hai

(masnoon namaz page 732)

isi tarah tarteeb bhi fariqain ke nazdeek ikhtalaafi nahi, kyonki iski hadith se taeed hoti hai,

hz abu umamah, sahal bin hunaif (ra) bayaan karte hain ke:-" namaz e janaza me sunnat tareeqa ye hai ke pahle takbeer kahi jaaye, uske baad surah fatiha padhi jaaye, phir nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par durood bheja jaaye, aur durood ke baad khuloos niyat se mayyit ke haq me maghfirat ki dua ki jaaye, phir past aawaaz se daayen jaanib salaam phera jaaye aur qirat sirf pahli takbeer ke baad ki jaaye"

(musannaf abi razzaq jild 3 pg 489,490, ibn abi shaiba jild 3 page 296, al mahli ibn hajam jild 3 pg 353)

Ye hadith sunan nisai jild 1 pg 228 me bhi mukhtasar marwi hai , jisme hai ke:-" sunnat ye hai ke surah fatiha ko padhe phir teen takbeeren kahe aur aakhiri takbeer ke saath salaam phera jaaye,

is hadith ki sanad sahih hai aur isse tarteeb namaz e janaja saabit hai,

jaisa ke hz ibn abbas (ra) ki sahih hadith me hai

(nisaai jild 1 pg 228, baihaqi jild 4 page 38, ibn habban jild 6 pg 69)


2- namaz janaza me sana ka padhna kisi ahle hadith ka mauqaf nahi, al'gharz aapka is masle ko ahle hadith ki taraf mansoob karna jhoot hai, phir use taqleed kahna double jhoot hai


allah taala aapko jhoot bolne aur likhne ki buri aadat se toba ki taufeeq de.... Ameen