Monday, August 27, 2012

HADITH AUR QURAN







BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM




HADITH AUR QURAN




Jis tarha Quran wahi hai Usi tarha Hadees bhi wahi hai, aur Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam par Quran ke alawa bhi Wahi Nazil hoti thii, is haqiqat par khud Quran shahadat deta hai, Aur Allah ne Quran main Nabiyon par 3 Qism ki wahiyon ka zikar kiya hai



"Kisi Bashar ki ye Shaan Nahi ke Allah us se Kalaam karey magar 'Wahi' key Zariye Sey, Ya pardey ke peechey Sey, Ya kisi Farishtey ko uskey paas bheyj dey, Taa'ke Apne Hukm ke mutabiq Jo Wahi chahe kardey, Beshak Allah sob se buland aur Hikmat wala hai, aur isi tarha Humne Aapki taraf apne hukm se Ruh (Quran aur uska Bayaan) ko Utara hai"(Ash-Shura 42, Ayat 51)



Malum huwa ke Kisi Rasul ya Nabi par Allah ke Ahkaam nazil hone ki 3 surten hai, magar Quran majid ki wahi sirf teesri aur Aakhri Qism ki Wahi hai, khud Quran iski Wazahat karta hai, jaise Allah ne farmaya "Aap kahdijiye ke Jo koi bhi Jibrail ka Dushman hai, Wo Jaanley ke Jibrail wo hai jisne Allah ke hukm se Aap ke Dil par ayesa Kalaam nazil kiya hai Jo pahli Aasmani Kitaabon ki tasdiq karne wala hai aur Iman walon ke liye Hidayat aur khushQabri hai"(Bakhra, Ayat 97) Isi tarha iska zikar Surah Shu'ara 26, Ayat 192-194 main bhi hai......



Is Ayat se bhi sabit hai ke Quran Wahi ki teesri Qism hai, Jo Hazrat Jibrail As key Zariye se Nabi Sallallahu alaihi wasallam par Nazil huwa, Bakhi 2 Qism ki Wahiyan bhi hai Jinke Zariye Allah apne Nabiyon aur Rasoolon par Wahi karta hai, Malum huwa k Hadees teenon Qism ki wahi k Zariye Nazil huwi hai jabke Quran sirf teesri Qism ki wahi hai, Aur agar koi ye kahta hai ke Nabi sallallahu alaihi wasallam par Sirf Quran hi nazil huwa, to Ayesa Shakhs khud Quran ki taleem ke khilaaf Jata hai, aur Quran main ayesi kayi Aayaten hai jinse sabit hota hai ke Nabi sallallahu alaihi wasallam par Quran ke alawa bhi Wahi Aati thi, jaise Allah ne farmaya



"Aur Jab Nabi ne Apni Kisi Biwi se ek Baat chupa kar (Raaz ke taur'par) kahi, Magar usne Wo Baat kisi Aur Biwi ko Bataadi, Aur Allah ne Nabi ko iski Khabar kardi to Nabi ne us baat ka kuch Hissa bataya aur kuch nazar andaaz kardiya, phir jab Nabi ne us biwi ko baat batayi to Wo puchney lagi ke Aap ko kisne khabar Di? Farmaya ke Mujhe Alim o khabir ne Bataya hai"(Surah Tahrim 66, Ayat 3)



Lekin Poorey Quran main koi ek Ayat bhi ayesi Nahi hai, Jiske Zariye Allah ne Apne Nabi sallallahu alaihi wasallam ko ye khabar Di ho ke Aapki Biwi ne Aap ke Raaz ki baat Dusri Biwi se Kahdi, Quran main to Ayesi koi Ayat nahi milti, Malum huwa ke Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam par Quran ke ilawa bhi Allah ki taraf se Wahi Aati thi.........



"Jab tum Apne Rab se faryaad kar rahey they to Us

ne tumhari faryad suni aur Jawab diya thaa ke "Main tumhari madad ke liye ek (1) hazaar farishtey lagataar bhej raha hun"(Al-Anfal 8, Ayat 9)



lekin Allah ki taraf se Musalmanon ki Faryad ka ye jawab Quran main kahin nahi hai, sabit huwa ke Nabi sallallahu alaihi wasallam par Quran ke ilawa bhi Wahi Aati thi.........



Aur Quran Majid Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam par ek hi dafah Nazil nahi huwa balke thora thora kar ke Nazil huwa hai, Allah ne farmaya "Aur Hum ne is Quran ko thoda thoda karke Nazil kiya hai taa'ke Aap use waqfe waqfe se logon ko Sunate rahe aur use Hum ne ba-tadreej utara hai"(Bani israil, Ayat 106)

aur iska zikar surah Furqan, Ayat 32 main bhi milega, aur hum jante hai ke sobse pahli Wahi to Surah Alaq ki ibtedayi 5 Ayaten hai magar Quran ki maujuda tarteeb main sobse pahle Surah Al fatihah rakhi gayi hai Jabke Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ne Quran majid ki Nuzuli tarteeb ko apni Marzi se tabdeel nahi kiya balke Ayesa karna Namumkin thaa, Allah ka irshad hai



"Jin logon ko Hamare paas Aaney ka yakheen nahi hai unho ne (Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam) se kaha ke Iske ilawa koi aur Quran ley Aao, Ya ise badal do, Aap kahden ke ye Mujh se nahi hosakta ke main ise apni taraf se badal dun, main to bas in Ahkaam ki pairvi karta hun Jo mujhe wahi k zariye pahunchte hai"(Yunus 10, Ayat 15)



"Is Quran ko Jamah karna aur ise Zuban se padha dena Hamare Zimmey hai"(Al-Qiyamah 75, Ayat 17)



Malum huwa ke Quran ki Maujuda tarteeb Allah ki hidayat ke Mutabiq hai aur Nabi sallallahu Alaihi wasallam ne ye apni Marzi se Nahi kiya, ab sawal ye hai k Quran main hamey ye hukm kahi nahi milta ke Uski Aayaton aur Surton ko Jamah karke Ayesi tarteeb se Joda jaye k sobse pahley surah Al Fatihah Rakhi jaye aur sobse Akhir main Surah An-Naas Rakhi jaye, lekin Quran main to Ayesa koi Hukm maujud nahi hai, Is se Sabit huwa ke wo "Wahi" Quran ke Ilawa thii, aur uski Tarteeb Quran k ilawa kisi aur Wahi ke Mutabiq Rakhi Gayi



Quran majid main Allah ne Qibley ki tabdili ka Waqia bayan kiya hai



"Aur Jis Qibley par Aap (Abtak) they, use to Humne isliye Muqarar kiya thaa ke ye Zaahir karden ke Kon Rasul ki Pairvi karta hai aur kon ulthey paa'un phir Jata hai"(Bakhra, Ayat 143)



Is Ayat se ye Sabit hota hai ke Allah ne khan e khaba ko Qibla bananey se pahle Musalmanon k liye ek Aur Qibla yahni Bait ul Muqaddas muqarar farmaya thaa, taa'ke Wo uski taraf Muh karke Namaz padha karen, magar Quran ki kisi Aayat main bait ul Muqaddas ki taraf muh karke Namaz padhne ka Hukm nahi hai, lekin Allah ne Use apni taraf Mansoob farmaya hai, manna padega ke Aap sallallahu alaihi wasallam par Quran k alawa bhi Wahi Aati thi............



Jang e badar ke khaatmey par Jab maal e Ghanimat ki taqseem ka Maslah paida huwa to Surah Anfaal Nazil huwi



"Aur tum log us Waqt ko yaad karo Jab ke Allah tumse un do Jamaaton main se ek ka "Wada" karta thaa ke wo tumhare Haath Aajayegi aur tum is tamanna main they ke ghair Musallah Jamaat tumhare haath Aajaye, aur Allah ko ye Manzoor thaa ke apne Ahkaam se Haq ka Haq hona sabit karde aur Kafiron ki Jad kaatkar rakh dey"(Anfaal, Ayat 7)



Purey Quran main koi Ayat ayesi Maujud nahi hai jisme Allah k us wadey ka zikar ho ke "Aye logon Jo Madiney se badar ki taraf Jihad k liye Jaarahe ho, Hum 2 grohon main se 1 par tumhe Khaabu ata farmayenge, is Ayat main jis wadey ki Taraf Isharah hai, wo Waeda Quran main kahin nahi hai, sabit huwa ke Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam par Quran k alawa bhi Wahi Nazil hoti Thii.......

Tab hi to Allah ne Rasul sallallahu alaihi wasallam ki Ita'at ko Apni Itaat kaha hai



"Jisne Rasul ki Ita'at ki Usne Allah ki Ita'at ki"(Nisa 4, Ayat 80) aur farmaya "Aye Muhammed! Tumhare Rab ki Qasm, log us Waqt tak Momin nahi hosakte jabtak ke Apne tamaam bahmi Ikhtilafaat main tumko Faislah karne wala Na Maanlen phir Jo bhi faislah tum karo, uspar Apne Dilon main koi tangi mahsoos na Karen balke Dil o Jan se Tasleem karlen"(Surah Nisa, Ayat 65)



"Jo Shakhs Allah aur Uske Rasul ki Ita'at karega Use Allah un Jannaton main Dakhil farmayega Jinke Neechey Nahrein Beh rahi hongi aur Jo shakhs Allah aur Rasul ki Itaat se Muh Pherega Wo use Dardnaak Azaab deyga"(Al-Fath 48, Ayat 17)



"Yaqinan Tumhare liye Rasul Allah (sallallahu alaihi wasallam ki Zaat) main bahtareen Namuna Maujud hai, Har us shakhs ke liye Jo Allah ki aur Qayamat ke Din ki tawakka rakhta hai aur bakasrat Allah ki Yaad karta hai"(Ahzab 33, Ayat 21)



Maine sirf kuch Ayaten Quote kiya hai, jab ke Ayesi kayi Aayaten hai jinse Muhaddisin ne Munkarin e Hadees ko Muh tor Jawab diya hai......



Allah tamaam Musalmanon ko Fitnon se bachaye aur Seedhi Rah par Chalne ki taufiq ata farmaye Ameen ya Rabbal Alameen