Tuesday, August 14, 2012

AHLE HADITH KE TAQLEEDI MASAIL KA JAYEZA ( PART-1)

Bismillahirrahmanirraheem



AHLE HADITH KE TAQLEEDI MASAIL KA JAYEZA:



SANA WA TA'WUZ KA AAHISTA PADHNA:


Hanafiya farmate hain ke:-" namaz me sana , ta'wwuz aahista padhna chahiye, fiqh ka masla hai, isme GHAIR MUQALLIDEEN ahle hadith fiqh ki taqleed karte hain "

(tohfa ahle hadith page 91)


JAWAB:


1- Hamen hanafiyyah se ek shikwa hai, wah ye ke khud mutaala karke aitraaz nahi karte balke master ameen safdar deobandi ki qaiy khori karte hain, lekin naam nahi lete,

2- agar aap kutub fiqh ke bajaaye sunnat se muhabbat ke jazbe se kutub hadith aur uswa rasool sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko padhte toh yaqinan aap aisa fuzool daawa na karte,

hz abu hurairah (ra) raawi hain ke:- " rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) takbeer e tahreema aur qiraat ke darmiyaan thodi deir khamosh rahte,

hz abu zara'h (ra) kahte hain ke main samjha yun ke hz abu hurairah (ra) ne yun kaha ke

" ya rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) mere maa baap aap par qurbaan hon, aap takbeer e tahreema aur qiraat ke darmiyaan ki khamoshi me kya padhte hain ?

rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" ke main padhta hun ' allahumma ba'idni khataaya kama........'

(abu dawood, bukhari jild 1 page 103, muslim jild 1 page 213)


ek dusri hadith me aata hai ke hz anas (ra) raawi hain ke:-" rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) namaz me qir'aat ko ' alhamdulillahi rabbil aalameen ' se shuru karte '

(bukhari jild 1 page 103, muslim jild 1 page 172)


in dono hadith sahiha se saabit huwa ke qir'aat se pahle sana, ta'awwuz jahar se nahi balke aahista padhna masnoon hai,

3- hanafi muqallideen jo sana padhte hain uska kya saboot hai , kya uspar koi marfu hadith pesh kar sakte hain ? Yaqinan nahi,

ham aapko sunnat e mustafa par amal karne ki daawat dete hain,


IMAM KI TAKBEERAAT KO MUQTADI BULAND KYON NAHI KAHTA ?


Is silsile me hanafiyyah ne takbeer tahreema aur salaam ka zikr kiya hai ke uski taqseem hadith se saabit nahi ke :-" imam buland kahe aur muqtadi aahista , balke ye fiqh ka masla hai "

(tohfa ahle hadith 91)


JAWAB:


1- allah taala ka irshad hai:-" aur mere zikr ke liye namaz padha karo"

(surah taha 14)

aur zikr me asal akhfa hai,

irshad rabbani hai:-" apne rab ko aajizi aur chupke chupke pukaaro "

(surah aaraaf 55)

namaz toh bil'khusoos zikr hai aur usme shurui taur par akhfa hai, aur is par sahih sareeh hadith maujood hai,

bhaiyyon ! Jab aapne is baat ko ba'khoobi jaan samjh liya hai, toh aap jahan aur jis jagah ke liye ' jahar ' saabit hoga wah toh buland aawaaz se kahega, baaqi asal haalat me akhfa(khamoshi) me rahenge,

imam ka 'takbeer tahreema, salaam pherna aur deegar takbeeraat ka buland aawaaz se kahna hadith mutawaatirah se saabit hai,

uska inkaar Mahaz zidd aur tassub ki wajah se kiya ja raha hai, aur ye la'ilaaj marz hai,

al'gharz hadith me imam ki takbeeraat wa tamheed ke buland aawaaz se kahne ka zikr maujood hai

(bukhari jild 1 page 114, baihaqi jild 2 page 18)


jabke muqtadi ka buland aawaaz se takbeeraat kahna saabit nahi, poori ummat e muhammadiah ka nasal dar nasal tawatur se muqtadi ka aahista kahna hi amal hai,


rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne marz ul maut me sayyeda hz abu bakr (ra) ko imamat karne ka huqm farmaya, jamaat khadi ho gayi toh khud rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) bhi tashreef le aaye, hz abu bakr (ra) ke baazu me baith kar imamat karwaayi, magar rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki aawaaz buland na thi, jiski wajah se mukbir ki zarurat pesh aayi aur hz abu bakr (ra) mukbir bankar takbeeraat int'qaal buland aawaaz se kahne lage,

bukhari me hai ke:-" wa abu bakr yasma al naas Al takbeer "

trans: yani hz abu bakr (ra) logon ko rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki takbeer suna rahe they "

(hadith 712, bab man sami'al naas takbeer al imam "

agar imam aur muqtadi dono hi buland aawaaz se takbeeraat kahne ke muqallaf hote toh hz abu bakr (ra) ko mukabbir banne ki zarurat na thi,


2- imam toh takbeeraat wagerah ko buland aawaaz se muqtadi ke liye kahta hai, taake wah mutabe'at kare, jaisa ke hadith hai ke:-" imam isliye banaya jaata hai ke uski poori poori iqteda ki jaaye jab wah takbeer kahe toh tumbhi takbeer kaho "

(muslim jild 1 page 177)

ye hadith saboot hai ke imam ko takbeeraat buland kahni chahiye jabke muqtadi ke buland kahne ka saboot aap dijiye...


3- jab muqtadi takbeeraat wa tamheed aur baaqi azkaar namaz ko jahar se ada karega toh manaza'at ki soorat paida hogi, aur ye bila ittfaq NA'JAYEZ hai,

hz imran bin hussain (ra) raawi hain ke:-" rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne juhar ki namaz padhaai (phir namaz ke baad) farmaya ke:-" tum mese kisi ne mere peeche ' subbi hisma rabbikal aala' padha tha, ek shakhs ne arz kiya:- maine padha tha, aur mera iraada isse sirf sawaab tha"

rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke:-" main samjha ke tum mese koi mujh se quraan chheen raha hai "

(sahih muslim jild 1 page 172, nisai jild 1 page 111, abu awana jild 2 page 132, musnad ahmad jild 4 page 431)

is farmaan me allah ke nabi rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne muqtadi ko buland aawaaz se padhne se mana kiya hai,

jaisa ke imam nawawi ne (sharah sahih muslim ) me ,allama ibn abdul barr ne (tamheed jild 11 page 52) me, aur allama shaukani ne (neelul awtaar jild 1 page 229) me saraahat ki hai,


allama muhammad taahir fatni marhoom (986 hijri) farmate hain ke:-" khalaj ka mufaad ye hai ke padhne waale Ne rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke peeche buland aawaaz se padha tha, toh rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke:-" mujh se jhagda kar raha tha, jaisa ke wah meri zubaan se alfaz quraan ko chheen raha hai, toh ye alfaz nabwi qiraah khalf ul imam ki muma'niat par dalaalat nahi karte, kyonke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne us shakhs par inkaar buland aawaaz se padhne par kiya hai, jisse saabit huwa ke sahaba kiram (ra) rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke peeche qirat karte they "

(majmua bahar ul anwar jild 2 page 83)


lijiye janab is hadith se saabit huwa ke muqtadi ka wazeefa ye hai ke wah zikr wa azkaar aahista padhe, lekin khaas zikr ka buland karna saabit ho toh wah juda hai,

4- fiqh se aapki kya muraad hai ?

Agar fiqh fil deen hai toh uske ham munkir nahi balke asal ummat ke fuqaha hi muhaddiseen hain,

agar fiqah se aapki Muraad aqwaal ul rijaal aur fiqh hanafi ke mutawwin hain, toh bataaye ke ye fiqh pahle murattab hui ya namaz ki farziyat ?

Aur unke azkaar wa arkaan ki kama'haqqah rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne tojeeh wa tashreeh ki thi ya nahi ?

Agar aap kah den ke namaz baad me farz hui, aur uski poori tafseel allah ke habeeb rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne bayaan nahi ki aur fiqah hanafi ke mutawwin wa sharhul isse pahle ke hain toh ye itna bada jhoot hai jo tumhaare ke siwa shaitaan bhi bolte hue sharma jaaye,

agar aap is baat ka iqraar kar len ke waqai namaz ki farziyat pahle hui aur iski poori wazaahat rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne bayaan kar di thi, toh is aitraaf se aapke saare daawe baatil wa mardood ho gaye,

kyonke aapne saaf iqraar kar liya ke imam abu hanifa ki paidaish 80 hijri se pahle bhi ummat e muhammadia namaz ada karti thi aur ye tareeqa e Namaz poori ummat marhooma me maroof tha,

taba tabieen ne taabien kiram se akhaz kiya aur taabien ne sahaba kiram se us tareeqa e namaz ko seekha,

ab aap bataaye ke sahaba kiram ne namaz kis se seekhi ??

rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se ya aapke fuqaha se ??

Agar aap kahte hain ke in masail ka hadith se suboot nahi toh iska maana ye hoga ke fiqah hanafi ki tadween tak deen naakis tha, uski takmeel fiqh hanafi ki tadween ke baad hui hai,


6- aap hanafi hain ke imam abu hanifa ke muqallid hain,?

Aap iski saraahat karen ke imam abu hanifa ne in masail ko kahan bayan kiya hai ?

Yahan baad ke fuqaha ka naam na lena balke sirf imam abu hanifa ka qaul pesh karna,

agar aap sahih sanad se imam abu hanifa ka qaul pesh kar den toh ham aapko 100 rs inaam denge,

agar aap pesh na kar sake, yaqinan pesh nahi kar sakenge, toh phir kis muh se fiqh ka naam lete ho ??


to be continued



#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks