Monday, August 6, 2012

IMAAN KI SA'AADAT SE MAHROOMI KI WAJAH







Bismillahirrahmanirraheem



IMAAN KI SA'AADAT SE MAHROOMI KI WAJAH:


1- Ghuroor e ilm

2- baap, daadaon ki TAQLEED,


Ambiya wa mursaleen par imaan laane ki sa'aadat se mahroomi ki yahi do wajah hain,


1- GHUROOR E ILM


Ek toh wah log they jo guroor ilm me is tarah mulawwis aur apni jihaalat par is hadd tak naazan they ke khud ko kisi qism ki rahnumaayi se mustaghna samjhte they, wah apni fitri pasti aur kotah nazri ke sabab apne maz'oomah uloom par is qadr na'zaan they ke unhone uloom nubuwwat aur unke mu'aarif wa hukm me ghaur wa fikr nahi kiya,

allah taala ne unhi logon ka haal bayaan karte hue farmaya hai

" phir jab unke paighambar unke paas waazeh dalail lekar aaye toh wah ilm par itraane lage. Jo unke apne khyaal me unke paas tha "

(surah momin 83)

aur farmaya:-" aur kaha ke jis cheez ki taraf tu hamen bulaata hai, usse hamaare dil pardon me hain aur hamare kaano me bhojh hai, aur hamare Aur tumhare darmiyaan pardah hai, tu so apna kaam kar ham apna kaam karte hain "

(surah sajda 5)



2- BAAP DADAON KI TAQLEED



dusra giroh aisa tha jisne khud ko akaabir parasti ke hisaar me mahsoor kar liya , jaamid taqleed unke khoon me aise sama gayi ke unhone haqaiq wa dalail ke taraf aankh uthakar nahi dekha, aur apne baap daada ke nazariyaat aur qol ko harf aakhir samjha, aur uske muqaabil har haqiqat ko jhoota samjha

jaisa ke farmaya

" unhen is baat ka kuch ilm nahi wah toh sirf atkal daudaate hain, kya hamne isse pahle unhe koi kitab di ? Ke wah use mazbooti se thaame hue hain, wah toh sirf ye kahte hain ke ham ne apne baap daadaon ko ek raah par paaya aur ham unhi ke naqs e qadam par chalte hue durust ja rahe hain, is tarah hamne tujh se pahle jo daraane waala kisi basti me bheja toh wahan ke aasudah logon ne yahi kaha, hamne baap daadaon ko ek deen par dekha hai, aur ham unhi ki iqteda Karte rahenge, rasool ne kaha, agarchah main tumhare paas wah cheez laaun jo hidaayat me isse badhkar ho jis par tumne apne baap daadon ko paaya, wah bole, ham is paighaam ke munkir hain jo tumhare haath bheja gaya "

( surah zukhruf 20-24)


wahi e ilaahi par mabni aur taufeeq rabbami se taeed yaafta uloom nubuwwat ke muqaable me muqallideen ke maz'oomah uloom wa fano ki haisiyat hamesha wahi rahi jo hz moosa (as) ke moje'zaat baahrah ke saamne fir'aun ke bulaaye hue jaadugaron ke phenki hui rassiyon ki zaahir hui, ambiya wa rasool (as) ke baseerat afroz dalail ke saamne taqleed ki shab nahi thahar sakti thi na thahri, is qism ki aawezish ka nateeja ilm se mahroomi hi raha,

irshad rabbani hai:-" hamara paigham pahunchaane waalon se hamara peshgi (advance) waada hai ke wah muzaffar wa mansoor honge aur hamare lashkar hi ghaalib rahenge "

(surah saffaat 171-173)


chunanche insaani taareekh ka ek ek Page gawah hai ke nubuwwat aur uloom nubuwwat ke muqaabil aane waale

" ye bhi ek lashkar hai jahan aur lashkaron ne shikast khaayi hai ye bhi hazeemat naseeb hai "

ki tafseer bankar rah gaye, namrood apni tamam taaqat wa chalaaki ke ba'wajood hz ibraheem (as) ke dalail ke saamne ruswa ho gaya toh fir'aun apni fir'auniyat aur laao lashkar samet darya e nile me doob gaya aur ibrat ka samaan bana,

silsile nubuwwat wa risaalat hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par apne kamaal ko pahuncha, aur huzoor e rahmat par ye nemat is shaan se poori hui ke allah taala ne irshad farmaya

" wahi toh hai jisne apne paighambar ko hidayat aur deen e haq dekar bheja taake usko tamaam deeno par ghaalib kar de aur allah kaafi gawaah hai "

(surah fath 28)


kaaba me gaade gaye pattar ke buton ko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne apne haath mubarak se hataaya aur dil wa dimagh ke jharokhon me Bithaaye gaye ghulu aur auhaam parasti ke buton ko apni nooraani taalimaat se paas paas kiya aur elaan farma diya

" haq aa gaya aur baatil nabood ho gaya, be'shak baatil nabood hone waali cheez hai "

(surah al isra 81)

aur deen e haq ki mukhalifat me aidi choti ka zor lagaane waala abu sufyan bin al haaris bin abdul muttalib apni zabaan se elaan karne par majboor hogaya

" qasam se main jin dino jhanda uthaaye phirta tha ke laat ka lashkar nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke shahaswaaron par ghaalib aajaaye, andheri raat ki taareeqion me thokaren khaane waale bhatke hue pareshaan ki maanind tha, ab waqt aagaya hai ke mujhe hidayat naseeb ho aur main seedhe raaste par aa jaaun "


ALLAH TAALA HAM SABKO HAQ BAAT KAHNE AUR SUNNE KI TAUFEEQ DE.......AMEEN