Friday, June 28, 2013

TAWHEED KI QADR








Bismillahirrahmanirraheem






Tawheed Ki Qadr Poochni hai Hai Toh Unse Poocho ! Jo Shirk ki Bastiyon Se Nikal Kar Tawheed Ki Bulandion Par Aaye,

Kaaba Ke Rabb Ki Qasam ! Tum Zindagi Ke Aakhiri Lamhaat Tak Khuda Ka Shukr Karte Raho, Toh Uske Kiye Hue I
naam Ka Shukr Ada Ni kar Sakte Ke Allah Ne Tumhe Apni Tawheed Ka Aalam bardar banaya hai..

Khata'kaaron ! Ek din Aayega Ke Tauheed Waale Ko Apni Tauheed Ki Ghairat Aayegi.

Kahega Apne farishton Ko Ke Jaao, Mujhse Apne Bandon ka Jahannum Me Jalte Hue Dekhna Gawaara Ni Kiya Jaata, Jinhone Mere saath Kabhi Shirk ni kiya.

Kahenge Allah Ye bade Gunaahgaar they Unhone Bade Jurm Kiye,

Allah Farmaayega Bade Bade Jurm Kiye Magar Mere Saath Shirk toh Ni kiya tha,

Farishtey Kahenge Allah Ye Jal kar Khaak Ho chuke honge Unki Haddiyan Koyla Ho Gayi hain, Unke chamde Jal gaye hain, Unke Chehre Badal Gaye Hain.. Unke Jismon Me toh koi Baal nahin Raha,

Allah Inko Jahannum se Nikaal kar kiya karenge,

Allah paak Farmaayege Mujhe Meri Khuda'wandi Ki Qasam hai, Main inko JaNnat Ki Naharon me Gote De de kar Is Tarah Kar dunga Jis Tarah Maa ke Pet se Aaj Hi Phoolon Ki Tarah Paida Hue Hain.

Inhone Mere Saath Kisi Ko Shareek Ni Kiya, Aur Maine Inko Ruswa Na karne Ka faisla Kar rakha hai,

Aaj Jitni Bimaariyan Hain Hamare Mulk Ki , Hamare Afraad Ki, hamri Qaum Ki, Hamari Millat Ki.

In Saari Bimaarion Ki Asal Jadh Shirk Hai

(Allama Ehsan illahi zaheer, Quran wa Sunnat Conference, Sialkot 29 feb 1987)