Tuesday, April 10, 2018

MAUT KA SAFAR...





MAUT KA SAFAR...



"Maut Ka Safar Har Insan Ki Zindgi Ka Akhiri Safar Hai, Isi Ko Hum "Safar-E-Akhirat" Bhi Kehte Hai. Zindgi Me Kuch Safar Majbooran Ya Phir Ikhtiyari Taur Par Krne Padte Hain Lekin Akhiri Safar Ke Liye Koi Ikhtiyar Nahi Diya Gaya. Hamesha Ke Liye Chale Jana Hai, Har Ek Ko Jana Hai Aur Yahi Akhiri Thikana, Akhiri Manzil Aur Akhiri Gharana Hai. Sath Hi Jaza Aur Saza Ka Muamla Bhi Hai.

Safar Ka Waqt Tai Shuda Hai Isme Koi Bhi Tabdeeli Nahi. Aur Sabse Badi Bat Ki Achanak Kooch Krna Hai. Wapsi Mumkin Nahi, Khali Hath Jana Hai. Koi Madadgar Sath Nahi Akele Jana Hai. Han Aamaal Ki Currency Sath Hogi Jo Qayamat Ke Din Cash Hogi Wahi Kaam Aegi.


Har Musafir Ko Bas Apne Aamaal Hi Sath Le Kar Jane H, Rabb-E-Kaynat Se Mulaqat Bhi Hogi Lekin Insaan Kitna Nidar Aur Kaisa Bekhauf Bana Hua Hai, Halanki Uske Liye Kitni Nazuk Ghadi Aur Kaisi Kadi Azmaish Ane Wali Hai. Maut Ka Safar Sabse Mukhtalif Safar Hai, Isliye Musafir Ko Ba Qaida Tawajjoh Ki Zarurat H.


Yeh Duniya Na Humne Banai Hai Na Hum Iske Malik Hain, Is Duniya Ke Malik Ki Marzi Ke Mutabiq Chalenge To Muamla Sahih Aur Safar Kamyab Hoga, Tab Hi Mehfooz Manzil Tak Pahuchenge. Sochne Ki Bat Yeh Hai Kya Is Safar Ke Liye Kuch Tayyari Ki Hai?

 Kya Kya Karna Hai Jiska Allah Tala Ne Hukm Diya Hai? Kya Kya Chhorna Hai Jisse Allah Tala Ne Mana Farmaya Hai.?


Zindgi Kis Qadr Ba-Mayne Hai Lekin Iska Anjaam Ise Kitna Be-Mayne Bana Deta Hai. Admi Bazahir Kitna Azad Hai Lekin Maut Ke Samne Woh Kitna Majbur Nazar Ata Hai. Har Admi Apni Zindgi Ko Be-Inteha Tasawwur Kiye Hue Hai. Har Admi Mojuda Duniya Me Apni "KAL" Ko Sawaarne Or Tameer Karne Ka Mansooba Liye Hue Hai.

 *Magar Achanak Maut Akar Batati Hai Ki Tumhari "KAL" Is Duniya Me Nahi Balki Agli Duniya Me Shuru Hone Wali Hai.* Jahan Duniya Ke Calender Lapet Kar Rakh Diye Jate Hain. Woh Abdi (Kabhi Na Khatm Hone Wali) Duniya Hai. Insan   Mansooba Bandi (Planing) Kar Sakta Hai Lekin Akhirat Ko Samne Rakh Kar Kare To Uske Liye Behtar Hai. Admi "AAJ" Me Jita Hai Aur Apni Asal "KAL" Ko Bhule Baitha Hai.


Hame Apne "AAJ" Se "KAL" Ki Khabar Malum Karni Hai. "AAJ" Ke Amal Ka Natija "KAL" Bhugatna Hai. Log Maut Ki Taraf Badh Rahe Hain Magar Khush Hain Ki Woh Zindagi Ka Safar Kaat Rahe Hain. Zindagi Ek Dhoka Hai Jabki Maut Ek Yaqini Chiz Hai. Hum Zinda Sirf Isiliye Hain Ki Abhi Hum Mare Nahi. Koi Shakhs Maut Se Nahi Jeet Sakta. Maut Hame Amal Ke Mojuda Maidan Se Hata Kar Waha Daal Deti Hai Jahan Apne Aamaal Ka Yaqini Anjaam Bhugatna Hai.


*Allah Hum Sabko "MAUT KE SAFAR" Ke Bare Me Sochne Or Iski Tayari Karne Ki Taufiq Ata Farmaye. Ameen.*