Sunday, April 15, 2018

TAX KI SHA’RAI HAISIYAT: RULING OF TAXATION IN ISLAM





Bismillahirrahmanirraheem



TAX KI SHA’RAI HAISIYAT: RULING OF TAXATION IN ISLAM

Tax Wo Rakam (Cash) Hai Jo Hukumat Chalaane Ke Liye Alag Alag Sooraton (Types) Me Logon Se Wasool Ki Jaati Hai, Aur Jo Log Taiy (Fixed) Waqt Par Tax Ada Na Karen Unke Khilaaf Kaanooni Kaarwaahi Ki Jaati Hai,

Kaha Jata Hai Ki Sabse Pahle Yunaan (Greece) Aur Rome  Me Sab Se Pahle Istemaal Hone Waali Cheezon (Goods) Par Tax Lagaaaya Gaya, Sabse Pahle Jis Mulk Ne Aam Income Tax Ke Nizaam Ko Apnaaya Wo Britain Hai,

Nepolean Bonaparte Ke Khilaaf Jung Ladne Ke Liye  Britain Hukumat Ne 1799 CE Me Income Tax Laagu Kiya,1810 Me Jung Khatam Hui Toh 1842 Tak British Logon Ko Is Tax Ke Bojh Se Azaad Kar Diya Gaya, Lekin Baad Me President Budget Me Khasaare (Budget Deficit) Ki Wajah Se Dobara Tax Laagu Kar Diya,

1880 CE Tak Log Tax Ke Aadi (Habitual) Ho Gaye, Isi Tarah Dheere Dheere Germany, France, Italy, Sweden Aur America Etc Me Be Tax Laagu Ho Gaya, Angrez Hindustan Me Aaya Toh Yahan Bhi Tax Laagu Ho Gaya,

Islam Ki Aamad Ke Mauqe Par Jo Mukhtalif (Different)  Qism Ke Tax They Unka Mukhtasar (Short) Bayan Is Tarah Hai

M’sak: Zamana E Jaahiliyat (Period Of Ignorance) Me Logon Se Zabardasti Wasool Kiye Jaane Wala Tax, Islam Ne Iski Muzammat Bayan Ki Au Rise Azeem Gunaah Aur Jahannum Me Daakhile Ka Zariya Qaraar Diya

Jiz’yah:  Ye Wo Tax Tha Jog Hair Muslimon (Non- Muslim) Se Unki Jaan Aur Maal Ki Hifaazat (Security Of Life And Wealth Tax) Ke Badle Me Wasool Kiya Jaata Tha, Islam Qubool Karne Se Ye Tax Khatam Ho Jaata Hai,

Khi’raaj : Ye Tax Bhi Ghair Muslims Par Lagaaya That Ha, Dar’asal Ye Unki Zameeno Par Lagan Tha, Jung Me Jeete Hue Ilaaqon Ko Unke Puraane Maalikon Ke Qabze Me Rahne Diya Jaata Aur Unke Ilaaqe Ke Aitbaar Se Khi’raaj Wasool Kiya Jaata

Za’reebah : Ye Bhi Tax Ki Ek Soorat Se Jo Ghulaamon Aur Ghair Muslamano Par Lagaaya Jaata, Musalmano Se Iska Koi Taalluq Na Tha.

Aa’shar:  Is Se Muraad Wo Tijarati Import Duty Thi Jo Yahood Aur Isaayi Aur Hinduon Ke Un Maalon Par Wasool Ki Jaati Thi Jo Tijaarat Karne Ki Wajah Se  Musalmano Ke Ilaaqe Me Laaya Karte They,

Waazeh Rahe Musalmano Par Sirf Zakaat Aur Aa’shoor Ki Hi Paabandi Hai, Iske Elawah Koi Apni Marzi Se Sadqah Wa Khairaat Karta Hai Toh Who Zyada Ajr Wa Sawaab Ka Mustahiq Hai, Zakaat Aur A’shar Ke Elawah Musalmano Par  Allah Ki Taraf Se Koi Bhi Tax Waajib (Obligatory) Nahin, Isiliye Imam Shaukani Ne Naqal Farmaaya Hai Ke

“In (Musalmano) Par Zaqaat Ke Elewa Koi Tax Ya Us Jaisi Koi Cheez Waajib Nahin”

(Neel Ul Awtar)

Aur Ek Riwayat Me Bhi Hai Ke

“Jab Tune Apne Maal Ki Zakaat Ada Kar Di To Jo Tujh Par Farz Tha Who Tone Poora Kar Diya”
(At Targheeb)

Islam Ne In Sab Zaalimaana Taxes Ke Bar’khilaaf (Opposite) Sirf Saal Me Ek Hi Baar Zakaat Farz Ki Hai, Aur Ghair Muslimon Se Bhi Un Par Waajib (Obligatory) Tax Se Zyada Wasool Karne Ki Ijaazat Nahin Di Toh Islami Riyaasat Me Musalmano Se Baar Baar (Income Tax, Sale Tax, GST, Import Duty, Excise Duty Etc) Ghair Islamic Tax Wasool Karne Ki Gunjaish Kaise Nikal Sakti Hai ??


Lihaza Waazeh Rah Eke Is Tarah Ke Tamam Tax Ghair Sharai Hain Islam Ka Inse Koi Taalluq Nahin 



#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi