Tuesday, April 10, 2018

MAUT KI CHAKKI ZOR ZOR SE CHAL RAHI HAI AUR LOG GHAFLAT ME PADE HUE HAIN







MAUT KI CHAKKI ZOR ZOR SE CHAL RAHI HAI AUR LOG GHAFLAT ME PADE HUE HAIN




Maut ki Chakki Jor Jor Se Chal Rahi...

Aur Log Gaflato'n Me Pade huye Hain Duniya Me Be Shumar Masayil Me Ikhtilaf Hai...

Islam Aur Kufr Ke Darmiyan Bahut Ikhtilaf hai...
Ek Mulk Ke Andar Rahne Walo'n Me Ikhtilaf huta hai,
Ek Shahar Ek Muhalle Ke Logo'n Me Ikhtilaf hu Jaata Hai,
Hatta Ki Ek Ghar Me Rahne Wale Ek Khandan ke Afraad ke Darmiyan Ikhtilaf hu Jaata hai...

Lekin Duniya me Ek Aaisa Masla Hai Jis Me kisi ek Fard ko Bhi Ikhtilaf Nhi Kisi Muslim, kisi Yahodi, Kisi Esayi, Kisi Hindu Kisi Parsi, Kisi Majosi Hatta Ki Kisi La Deen ( Mulhid Dahriya Nastik) ko Bhi. 

Kisi Ameer, Kisi Gareeb, Kisi Aala Kisi Adna, Kisi Gore Kisi kale, kisi Aalim Kisi Aami, kisi Mard Aur Kisi Aaurat ko Bhi Ikhtilaf Nhi...

Ji han ! O Masla hai ''Maut''' Har Koi Maanta Hai ki Usko Maut Aani Aur Ek din Usne Is Jaha'n Faani Se. Koch Kar Jaana Hai...

Har koi Maanta Hai, Ki Uski Daulat yahi'n Rah Jaani Hai Aal o Aaulad yahi'n Rah Jaani Hai Duniya Ki Rangini Se Nikal Kar Use Ek Tareek Qabr Me Dafn Kar Diya Jaana Hai...

Lekin Phir bhi Gaflat Me Pade Hain Malik'e Arzo Sama Irshad Farmata Hai
_____________________________________
:.اِقۡتَرَبَ لِلنَّاسِ حِسَابُہُمۡ وَ ہُمۡ فِیۡ غَفۡلَۃٍ مُّعۡرِضُوۡنَ ۚ
الانبیاء،
_____________________________________

Logo ke Hisaab Ka Waqt Qareeb Aa Gaya Aur O hain ki Gaflat Me Monh Mode Huye Hain....
Roye Zameen Par Koi Aaisa Ghar Nhi Jis Par Maut Ne Apna Saya Na Daala hu.... Kisi ne Baap ka, Kisi ne Maa ka. Kisi ne Dada dadi, kisi ne Biwi ka Kisi ne Bacche ka Janaza Uthaya...

Ham Ne Apne Gharo, Riste Daro Ke Gharo, ham Sayo ke Gharo Se Janaze Uthte Dekhe, Aur Dekhte Hain ,Lekin Kabhi Yeh Ehsas Paida Nhi huta Ki yeh Uthne Wala Janaza Mera Bhi hu Sakta Hai...
Yeh Dafnaya Jaane Wala Murda Mai Bhi Hu Sakta Hun...

Qabre'n Dekh Kar yeh Fikr Paida Nhi huti ki In me Meri Qabr Bhi hu Sakti hai...

Pak Paigambar ne farmaya tha : Qabro'n ki Jiyrat Kiya karo Taki Tumhe Aakhrirat Yaad Aaye,
Aaj Murda Dafnate Dekh Rahe hute hain Magar Zahann Duniya ke Jhamelo Me Gum huta Hai...
Nazar Murde Par Huti Hai Magar Phone Par kaaro baari Baate'n hu Rahi huti Hai....
_____________________________________
اَلۡہٰکُمُ التَّکَاثُرُ ۙحَتّٰی زُرۡتُمُ الۡمَقَابِرَ ؕالتكاثر، 1-2)
_____________________________________

Logo tum ko Maal ki bahut Si talab Ne Gafil Kar Diya, Yaha'n Tak Ki tum ne Qabre'n Ja Dekhe'n,yeh Jaante Hain ki Marna Hai Magar Yeh Waham yaqin Tak Pahunch Chuka Hai
Ki Abhi Nhi Marna Abhi kafi Umar Padi Hai, Magar Haqiqat yeh ki Maut har Waqt Sar Par Mandala Rahi hai....

Hadees Me Aata hai...

Jis Ke Janaze Me Dua Karne Wale 40 Mawahid log Mauzod huye us ki Bakhahish hu Jayegi...

Kya hamne Aaise 40 Log Jama Kar Liye Hain Jo Hamare Janaze me Shareek hun Aur Hamare Liye Bakhahish Ki Dua kar Sake'n.....

Qabar Andheri Kothri Hai Kiya Hamne Aaise Amal Kar Liye Hain Jin se Qabar Manauwer Hu Sake...

Aur Sab Se Aham Baat Kiya ham Is Qabil Hain ki Zameen Hamare Gunaho Samet Hame'n Qubol Kar Sake...

Kiya Qabar ki Chandd Gaz Zameen Mayassar Hugi Qabar ka Azab barhaQ Hai is me Dhaal Banne Wala Quran Hai SadQa Hai. Gibat Aur Chugal Khori Jaise Gunaho Se Bachna Hai..
Rasool,e Pak Ne Farmaya Tha...
Qabar Jannat ke Bago'n Me Se Bag Hai ya Jahannam ke Garho'n Me Se Garha Hai.bas Tesri Halat koi Nhi....

Aaj Dekh Lo. Soch Lo Kis Halat Me Rahna Pasand. Karoge Is Fiqr me Pad Jao Baki Fiqre'n Dam Tod De'ngi....
Ek Shayar kahta
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
الناس فی غفلاتہم ورحی المنیتہ تطحن"
,,,,,.,,,.,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Maut ki Chakki Jor jor Se Chal Rahi Hai
Aur log Gaflato me Pade huye hain ....

"