Saturday, June 30, 2012

MAZHAB AHLE-MADEENA AUR AHLE HADITH

Bismillahirrahmanirraheem



MAZHAB AHLE-MADEENA AUR AHLE HADITH



Aaj Kal Dekhne Aur Sunne Me Aa Raha Hai Ki Hanafiyah Imam Malik (Rh) Aur Ahle Hadith Ke Darmiyan Ikhtilaafaat Saabit Karte Hain, Halaanke Madeena Taiyyaba Ke Rahne Waale Sirf Imam Malik Rh Hi Nahi Balke Aur Bhi Jaleelul Qadr Imam Hain Jo Sahaba Ki Awlaad Se Hain,

Magar Kuch Logon Ko Madeena Tayyaba Me Sirf Ek Hi Aalim Nazar Aaya Hai Unke Mauqaf Ko Hi Wah Ahle Madeena Ka Mauqaf Baawar Karaate Hain, Jo Unki Jihaalat Ka Muh Bolta Suboot Hai...


Bila'shubah Imam Malik Ek Azeem Us Shaan Imam Hain, Sunan Ke Fawaid Aur Qur'an Ke Aalim Hain, Isliye Imam Malik Madeena Ke Ulama Me Shumaar Hota Hai, Al'gharz Ulema E Madeena Ka Woh Juzz To Hain Magar Kul Nahi...


Ab Aayen Tarteeb Se Un Masail Ki Haqeeqat Mulaaheza Karen Jin Ki Jhaangwi (Writer Of Tohfa Ahlul Hadith) Shahab Ne Wazaahat Ki Hai...


Masla Raful'yadain


Hz Abdullah Bin Umar Ra Se Marwi Hai Ke Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Jab Namaz Shuru Karte Aur Jab Ruku Karte Aur Jab Ruku Se Sar Uthaate Toh Rafulyadain Karte "


(Sahih Bukhari Jild 1 Page 102)


Is Hadith Ke Raawi Imam Malik Rh Hain Aur Is Hadith Par Unka Amal Hai...

Jawab:


Hafiz Ibn Abdul Barr Maliki Rh Farmate Hain Ke:-" Imam Ibn Wahhab, Imam Waleed Bin Muslim, Imam Sayeed Bin Abi Maryam, Imam Ashhab Aur Imam Abu Masayyab, Imam Malik Se Bayaan Karte Hain Ke Wah Hz Ibn Umar (Ra) Ki Hadith Ke Muwafiq Namaz Me Rafulyadain Karte Rahe Yahan Tak Ke Unki Wafaat Ho Gayi"


(Tamheed Jild 9 Page 213)



Pagdi(Turbon) Par Masah:



Jhaangwi (Hanafi) Sahab Farmate Hain Ke:-" Ahle Hadith Pagdi Par Masah Ke Qaayel Hain Jabke Madeena Ka Imaam Uski Ijaazat Nahi Deta"


(Moatta Imam Malik Page 23, Tohfa Ahle Hadith Page 77)


Jawab:


1- Bhai Agar Imam Madeena Hz Imam Malik Rh Ko Is Sunnat Ka Ilm Nahi Ho Saka Toh Kya Huwa, Jabke Muhaajir Madeena Aur Imam Ul Ambiya Aur Khaatim Ul Nabiyyeen Hz Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Se Pagdi Par Masah Karna Saabit Hai

Hz Umar Bin Umayya Ra Bayan Karte Hain Ke:-" Maine Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Ko Amaama Mubaarak Aur Mauzon Par Masah Karte Dekha"


(Bukhari Jild 1 Page 33)


Hz Bilal (Ra) Raawi Hain, Farmate Hain:-" Bila'shubah Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Ne (Wuzu Me) Mauzon Aur Pagdi Par Masah Farmaya"


(Sahih Muslim Jild 1 Page 134, Abu Awaana Jild 1 Page 260, Sunan Nisai Jild 1 Page 17, Tirmizi Jild 1 Page 106)



3- Hz Shobaan (Ra) Rawi Hain, Farmate Hain Ke :-" Rasoollullah Sallaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Ne Ek Lashkar Ko Bheja, Unko Sardi Lag Gayi, Jab Wah Rasoollullah Sallaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Ke Paas Aaya Toh Nabi E Akram Rasoollullah Sallaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Ne Unko Pagdi Aur Jurabon Par Masah Karne Ka Huqm Farmaya"



(Sunan Abu Dawood Jild 1 Page 56, Musnad Ahamad Jild 5 Page 277, Baihapi Jild 1 Page 62, Mustardak Hakim Jild 1 Page 169)

Imam Hakim Wa Zahbi Farmate Hai Ke Ye Shart Muslim Par Sahih Hai,


4- Hz Salman Farsi Ra Farmate Hain Ke:-" Maine Rasoollullah Sallaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Ko Pagdi Aur Mauzon Par Masah Karte Hue Dekha"


(Sahih Ibn Habban Jild 3 Page 261, Hadith No 1341,1342, Musnad Tayalisi Page 91)


5- Hz Khazimiyah Bin Saabit Ra Bayaan Karte Hain Ke:-" Bila'shubah Rasoollullah Sallaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Maujon Aur Pagdi Par Masah Farmaya Karte They"


( Muazzam Tibrani Jild 2 Page 256)


Allama Haythmi Farmate Hain Ke Iski Sanad Hasan Hai

(Majmua Al Zawaid Jild 1 Page 256)


Imam Tirmizi Pagdi Par Masah Ke Qaayeleen Ka Zikr Karte Hue Farmate Hain Ke Hz Abu Bakr (Ra), Hz Umar Farooq (Ra), Anas Bin Malil, Imam Ozzie, Imam Ahmad, Imam Ishaq, Imam Waqee, Pagdi Par Masah Ke Qayel They"



(Tirmizi Jild 1 Page 105)


Isi Tarah Imam Abu Soor , Imam Dawood Bin Ali, Hz Abi Amaama, Hz Saad, Hz Abu Darda, Hz Umar Bin Abdul Aziz, Hz Qatadah Bhi Qayel They


(Aun Ul Mabood Jild 1 Page 306)


Aur Isi Tarah Hz Abu Musa Al Ashri, Hz Ali, Imam Sufyan Suri, Imam Hasan Basri, Bhi Pagdi Par Masah Ke Qayel They

(Al Mahli Bil Asaar Jild 1 Page 306)


Sawaal Ye Hai Ke Rasoollullah Sallaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Aur Sahaba Kiram Ra Ka Muqaddas Giroh Bil Khusoos Khalifa E Rashideen Aapke Nazdeek Madeena Taiyyaba Ke Baashinde Na They,....... Ke Aap Hamen Mazhab Ahle Madeena Se Ikhtelaaf Ka Taana De Rahi Hain...


Jhaangwi (Hanafi) Ek Baat Aur Sun Len Ke:-" Imam Malik Rh Ke Nazdeek Poore Sar Ka Masah Farz Hai. Agar Sar Ka Kuch Hissa Masah Karne Se Rah Gaya To Wazu Nahin Hoga"

(Tamheed Jild 20 Page 125)


Zaahir Hai Ke Ye Mauqaf Hanafiya Ke Khilaf Hai, Kyonki Unke Nazdeek Sar Ka Chauthaayi Hissa (One-Fourth Part) Farz Hai,



Namaz Me Surah Fatiha Ka Bayaan:


Hanafiya Hazraat Farmate Hain Ke:-" Ahle Hadith Hazraat Jahri Wa Sirri Namazon Me Muqtadi Ke Liye Fatiha Ko Farz Kahte Hain Jabke Imam Madeena (Imam Malik) Jahri Namazon Me Fatiha Ki Muqtadi Ko Ijaazat Nahin Dete"


(Tohfa Ahle Hadith Page 77)



Jawab:



1- Bila'shuba Imam Malik Ka Yahi Maaroof Maslak Hai, Lekin Imam Qurtubi Maliki Farmate Hain Ke


" Yani In Aqwaal Me Sahih Qaul Imam Shafai, Imam Ahmad Aur Ek Qaul Me Imam Malik Ka Qaul Hai Ke Fatiha Har Rakat Me Har Ek Ke Liye Zaroori Hai"


(Tafseer Qurtubi Jild 1 Page 119. Ba'hawala Tozih Ul Kalaam Jild 1 Page 65)


Allama Qurtubi Fiqh Maliki Ke Numaayan Imam Hain, Unke Kalaam Ko Bila Daleel Radd Karna Bhi Badi Jurrat Ka Kaam Hai


2- Imam Malik Ka Naam Kis Muh Se Lete Ho Jabke Aapko Iqraar Hai Ke Wah Sirri Namaz Me Fatiha Padhne Ke Qaayel They, Halaanke Ahnaf Ke Nazdeek Muqtadi Par Sire Se Waajib Hi Nahin Balke Mutaakhireen Ke Qaul To Uski Hurmat (Haraam) Par Hain


3- Ahnaf Ke Nazdeek Aakhiri Do Rakat Me Mutlaq Qirrat Farz Hi Nahi, Chaahe Imam Ho Ya Muqtadi Balke Ahnaaf Ke Nazdeek Agar Imam Musaafir Ho Aur Muqtadi Muqeem Ho Aur Imam Do Rakat Padh Kar Salaam Pher De To Muqtadi Aakhiri Do Rakaton Me Bhi Qurat Ki Majaal Nahi,

Halaanke Imam Malik Chaaron Rakat Me Fatiha Ko Wajib Kahte Hain


Allama Ibn Barr Maliki Rh Farmate Hain Ke:-" Yani Chaar Rakat Ke Namaz Me Pahli Do Rakaton Me Qirat Tamaam Ulama Ke Nazdeek Waajib Hai, Haan Albatta Aakhiri Do Rakaton Me Ikhtelaaf Hai, Imam Malik, Imam Shafai, Imam Ahmad, Imam Ishaq, Imam Abu Soor, Imam Dawood Wagerah Ka Mazhab Hai Ke Aakhiri Do Rakaton Me Bhi Surah Fatiha Ka Padhna Waajib Hai Aur Jis Shakhs Ne In Aakhiri Do Rakaton Me Fatiha Na Padhi To Uski Namaz Nahi Hui Uspar Waajib Hai Ke Dobaara Namaz Ada Kare"

(Tamheed Jild 20 Page 194)


Imam Malik (Rh) Ke Qaul Ko Buniyaad Bana Kar Ahle Hadith Ko Mat'oon Karne Waalon Suno!

Madeena Ka Imam Kya Kah Raha Hai Aur Tum Kis Taraf Ja Rahe Ho ???



4- Hanafi Aalim Shaykh Muhammad Sarfaraz Khan Safdar Farmate Hain Ke :-" Hz Ubaada Bin Saamit (Ra) Ne Sahih Samjha Ya Ghalat, Baher'haal Ye Bilkul Sahih Baat Hai Ke Hz Ubada Imam Ke Peeche Surah Fatiha Padhne Ke Qayel They Aur Unki Yahi Tahqeeq Aur Yahi Maslak Wa Mazhab Tha, Magar Faham Sahabi Aur Mauqoof Sahabi Hujjat Nahi"


(Ahsan Al Bayaan Jild2 Page 156) Astaghfirullah


" Hz Ubada Bin Saamit (Ra) Ansaar Ke Qabeele Khajraj Se They Aur Madeena Taiyyaba Ke Baashinde They, Maaroof Badri Sahabi Hain"


(Taqreeb Page 164)



Mazhab Ahle Hadith Se Ikhtelaaf Saabit Karne Waalon Pahle Apne Ustad Ki Kitab Ka Acchi Tarah Mutaala Kar Liya Karo!!



5- Maulana Sarfaraz Khan Sahab Hanafi Ki Mazkoorah Ibaarat Se Saabit Huwa Ke Mauqoof Sahaba Hujjat Nahi,




" Jabke 'Tohfa Ahle Hadith' Kitab Ka Likhne Waala Jhaangwi Hanafi Kahte Hain Ke Ye Mauqaf Shia Ka Hai"

(Tohfa Ahle Hadith Page 75)


Malum Huwa Ke Aap Bhi Shia Ke Chhote Bhai Hain



Witr Ki Rakat Ki Tadaad:



Hanafiya Farmate Hain Ke:-" Ahle Hadith Ke Yahan Witr Ek Hai Jabke Imam Madeena Ke Yahan Kam Se Kam Teen Hain "


(Tohfa Ahle Hadith 78)


Jawab:



1- Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Farmate Hain Ke Rasoollullah Sallaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Ne Farmaya Ke:-" Raat Ki Namaz Do Do Rakat Hai Jab Tumse Kisi Ko Tulu E Fajr Ka Khauff Ho Toh Wah Ek Rakat Witr Padh Le Ye Rakat Uski Pahli Namaz Ko Taaq Kar Degi "


(Bukhari Jild 1 Page 135, Muslim Jild 1 Page 257)



Sahih Muslim Ki Ek Hadith Me Hai:-" Witr Ek Rakat Hai Raat Ki Aakhir Hisse Me"


(Muslhm Jild 1 Page 257, Nisai Jild 1 Page 200)





2-Bila'shuba Moatta Me Imam Malik Ka Yahi Qaul Hai Ke Witr 3 Rakat Hain, Lekin Unke Padhne Ki Tafseel Nahi Hai , Imam Ibn Abdul Barr Rh Ne Saraahat Ki Hai Ke Wah Do Rakat Padh Kar Salaam Pherne Ke Baad Ek Adad Witr Padhne Ke Qayel Hain,

Unhone Sahih Sanad Se Imam Malik Rh Se Naqal Kiya Hai Ke:-" Agar Kisi Ke Witr Rah Jaayen Aur Subah Ho Jaaye Toh Kaise Ada Kare, Imam Malik Ne Jawab Diya Ke Agar Usne Raat Ko Kuch Nawafil Wagerah Padhe They Toh Ek Rakat Witr Padh Le Aur Agar Raat Ko Nafil Na Padhe They Toh Do Rakat Padh Kar Salaam Pher De Phir Ek Rakat Witr Padh Le "

(Tamheed Jild 13 Page 251)


Is Tafseel Se Malum Huwa Ke Imam Malik Rh Ke Nazdeek Witr To Ek Rakat Hi Hai, Lekin Witr Ke Saath Do Rakat Ko Mila Kar Padhna Chahiye, Is Tareeqe Witr Ke Ham Bhi Qaayel Hain, Balke Hamare Nazdeek Afzal Tareeqa Hai,

Khulaasa Kalaam Ye Hai Ke Imam Malik Rh Ek Rakat Witr Ke Qaayel Hain,


Maulana Muhammad Taqi Usmani Hanfi Deobandi Farmate Hain Ke:-" Aimma E Salaasa Ke Nazdeek Witr Ek Rakat Se Lekar 7 Rakat Tak Jayez Hai "


(Dars Tirmizi Jild 2 Page 215)


Agar Imam Malik Ke Nazdeek Witr 3 Rakat Hi Hain Toh Saraahat Kijiye Maulana Usmani Ne Jhoot Bola Hai??


Nahin Bhai Nahin Unhone Jhoot Nahi Bola, Balke Imam Malik Ka Mauqaf Ek Rakat Ka Hi Hai,


Isi Qaul Ko Imam Tirmizi Ne (Sunan Jild 1 Page 340) Me, Ibn Hazam Ne (Al Mahli Jild 2 Page 89) Me, Imam Malik Ki Taraf Mansoob Kiya Hai....


Allah Hamen Haq Baat Kahne Aur Uspar Amal Karne Ki Taufeeq De.... Ameen




#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks