Tuesday, June 5, 2012

NAMAZ KI AHMIYAT




Bismillahirrahmanirraheem




NAMAZ KI AHMIYAT:



Hz ibn umar (ra) se riwayat hai ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jisme amaanat nahi usme IMAAN nahi, aur jis me TAHAARAT nahi uski NAMAAZ ka la'dam hai, aur jiski namaz nahi uska DEEN bhi nahi, deen me namaz ka wahi maqaam hai jo jism ke andar sar (head) ka hai "

(tabrani)



hz abu hurairah (ra) se riwayat hai ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" tumhara kya khyal hai ke agar tum mese kisi ke darwaaze par nahar ho aur usme rozaana paanch waqt nahaaye, kya uspar kuch mail (waste) baaqi rahega ? Sahaba ne arz kiya:- nahi rahega ,aapne farmaya:-" yahi misaal panch waqt namaz ki hai, allah taala unke zariye se khataaye maaf karta hai "

(sahih bukhari, fath ul bari )


hz abu hurairah (ra) se riwayat hai ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" kya main tumhe aisi baatein na Batlaaun jisse allah taala gunaah mitaata hai aur darje buland farmata hai ?, sahaba kiram ne jawab diya:-" ya rasoollullah zaroor bayaan farmaayen ! Aapne farmaya:

1- mausam aur haalaat ke na'khushgawaar hone ke ba'wajood wuzu poora poora karna,

2- masjid ki taraf zyadah qadam uthaana ( yani lambi doori taiy karke masjid me jamaat ke saath namaz ada karna )

3- ek namaz ke baad dusri namaz ke intezaar me rahna, yahi rabaat hai ( yani uska sawaab jihad ke liye sarhadon par pahra dene ke baraabar hai,

(rawaah muslim )


hz abu saeed khudri (ra) se riwayat hai ke rasoollullah (sws) ne farmaya:-" jab tum kisi shakhs ko masjid me pabandi se hazir hote dekho toh tum uske imaan ki shahadat do, kyonki allah taala farmata hai ke allah ki masjid ko wahi aabaad karta hai jo allah aur yaum e aakhir par imaan laaya ho"


(rawaah tirmizi, mishkaat)



hz bareedah (ra) se riwayat hai k rasoollullah (sws) ki irshad Girami hai farmaya:-" jo log bareeqiyon me masjid jaane waale hain, unhen qayamat mein noor taam ki khushkhabri suna do "

(rawah tirmizi)



mohtaram bhaiyyon aur bahno ! Aaj se ham ye ahad kar len ke ham kahin bhi rahenge namaz ba'jamaat ki pabandi karenge aur jannat ki tamaam nematon ko haasil karke rahenge, aur agar ham paanch waqtah namazon ki pabandi karenge toh allah taala duniya bhi ata karega aur aqabi bhi aur tamaam mushkilaat ko allah aasaan farmayega......AMEEN