Monday, March 2, 2015

BIWI KA INTEKHAAB (SELECTION) KAISE KAREN?? (PART-2)





BIWI KA INTEKHAAB (SELECTION) KAISE KAREN?? (PART-2)

DEEN'DAAR KE INTEKHAAB (SELECTION) KI AHMIYAT:

Biwi Pasand Karne Ke Liye Jo Usool Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Muqarrar Kiye Hain Unke Mutaabik
Deen'dar Ko Deen'dar Par Tarjeeh Deni Chahiye,

Jaisa Ke Nabi (Sws) Ne Farmaya

"Aurat Ke Saath 4 Baaton Ke Pesh E Nazar Nikah Kiya Jaata Hai, Daulat, Hasab O Nasab, Khoobsoorti Aur Deen'dari, Tum Deen'daar Ko Haasil Karna"

(Sahih Bukhari Hadith No. 5090)

Aadmi Ke Liye Biwi Ka Intekhaab Karte Waqt Asal meyaar Toh Deen'dari Aur Parhez'gari Hi Hai, Agar Aurat Sahab E Daulat Ho Toh
Shauhar Uski Raza'mandi Se Uski Daulat Se Faayeda Utha Sakta Hai,,

Agar 2 Auratein Deen'dari Me Baraabar Hon Toh Khoobsoorat Qaabil E Tarjeeh Hogi,

Lekin Ek Khoobsoorat Magar Be'deen Aurat Ko Deen'dar Magar Aam Si Shakal Wa Soorat Waali Aurat Par Tarjeeh Nahin Honi Chahiye,

Miyan Aur Biwi Ke Ahal Khana Ko Shadi Shuru Karne Se Pahle Apne Bete Ya Beti Ke Liye Bahtareen Shareek E Hayaat Talaash Karna Chahiye, Fir Unke Deen, Akhlaaq Aur Nafsiyaati Halaat Ke Mutaalliq Muqammal Chhaan Been Aur ItminaaN Haasil Kar Lena Chahiye,
Shuru'at Hi Me Bahtareen Intekhaab Aur Saaf'goi, Chahe Iska Nateeja Shadi Na Hone
Ki Soorat Me Zaahir Ho, Shadi Ke Baad Aur Bila'aakhir Nakaami Se Kahin Bahtar Hai,

Jis Tarah Pahle Zikr Ho Chuka Hai Ke Islam Yahi Chaahta Hai Ke Biwi Deen'dar, Shareef, Aur Nek Momin Khaandaan Se Taalluq Rakhti Ho,

Kyonki Aurat Ka Kirdaar Aur Akhlaq Aise Mahaul Se Shadeed MutaassiR Hota Hai Jiski Goad Me Usme Tarbiyat Paayi Ho,

Usi Tarah Uski Aulaad Bhi Kudrati Taur Par Uske Bahut Saare Akhlaaq Aur Adaat Ko Apna Leti Hai, Isliye Deen'dar Aur Acche
Akhlaaq Wali Biwi Ka Intekhaab Bahut Zaroori Hai,

Taaki Wah Apne Aulaad Ko Aala Akhlaaq, Umdah Kiradaar Sikhaaye,

Hz Aisha (Ra) Bayan Karti Hain Ke Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya

"Apne Nutfon (Bacchon) Ke Liye Qabil Liyaaqat (Shareq E Hayaat, Wife) Muntakhab Karo, Qabil Aur Ba'salahiyat Ke Saath Shadi Karo Aur Aise Hi (Apni Betion, Bahno Ke Liye) Muntakhab Karo"

(Sunan Ibn Majah Hadith No. 1968, Silsila Tus Sahiha Hadith No. 1076)

Agar Aurat Deeni Maamlaat Me Jaahil Lekin Khoobsoorat Ho Toh Uski Aazmaish Badi Shakht Hoti Hai,

Kyonki Shauhar Ka Use Chhodna Bada Mushkil Aur Uski Judaayi Par Sabr Karna Bada Muhaal Hota Hai,

Shauhar Ka Haal Us Shakhs Ki Tarah Hota Hai Jo Rasoollullah (Sws) Ki Khidmat Me Haazir Hua Aur Kaha

"Aiy Allah Ke Rasool ! Meri Ek Biwi Hai Jo Kisi Haath Lagaane Waale Ka Haath Nahin Jhidakti"

Aap Sallalalho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Use Talaaq De Do"

Wah Kahne Laga:

"Main Usse Pyaar Karta Hoon Aur Uski Judaayi Bardaast Nahin Kar Sakta"

Aap (Sws) Ne Farmaya

"Fir Use Roke Rakho"

(Sunan Nisaai 6/170)

Note:

imam Ibn Kathir (Rh) Ne Is Hadith Ki Sanad Ko Ja'eed Kaha Hai,

Tafseer Ibn Kathir Me Hai Ke Ibn Qutaiba (Rh) Farmate Hain Ke
Uski Is Baat Se Ke

"Wah Kisi Ka Haath Nahin Jhidakti"

Ye Muraad Hai Ke Wah Badi Fayyaaz Hai Jo Kisi Saael Ko Mana Nahin Karti,

Ye Bhi Kaha Gaya Hai Ke Uski Tabiyat Kisi Haath Lagaane Waale Ko Rokna Pasand Nahin Karti,

Ye nahin Ke Kabhi Aisa Hua Ho Aur Wah Bad'kar Ho, Kyonki Nabi E Kareem (Sws) Kabhi Aisi Aurat Ke Saath Rahne Ki Ijaazat Nahin De Sakte.....

(Tafseer Ibn Katheer 4/322)

To Be Continued


Elegant Enterprises
#UmairSalafiAlHindi
#Islamicleaks
#RabbatUlBait