Sunday, March 8, 2015

PAON KO KUSHADA RAKHNE KA MASLA: (PART-1)




Bismillahirrahmanirraheem

PAON KO KUSHADA RAKHNE KA MASLA:

Hz Anas (ra) Bayan Karte Hain Ke

Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya Ke

"Safen Barabar Kar Lo Main Tumhe Apne Peeche Se Bhi Dekhta Rahta Hoon"

Aur Ham Mese Har Shakhs Ye Karta Ke (Saf) Me Apna Kandha Apne Saathi Ke Kandhe Se Aur Apna Qadam Uske Qadam Se Mila Deta Tha"

(Sahih Bukhari Kitabus Salat Bab Al ZaqUl Manqab Bil Manqab Wa Qadam Ba Baqam)

Is Hadith Me 2 Baaton Ka Zikr Hai

Pahle Irshad Nabawi Ki Ta'meel Me Sahaba (Ra) Ka Kandhe Se Kandha Aur Qadam Se Qadam Milaana

2- Nabi E Akram (Sws) Ka Sahaba Kiram Ke Amal Ko Dekhna,

Pahli Baat Se Malum Hua Ke "Iqamat Safoof" Ka Maana Kandhe Se Kandha Aur Qadam Se Qadam Milaana Hai,

Dusri Baat Se Saabit Hua Ke Yahi Maana Dusrust Hai Kyonki Us Maane Ki Tasdeeq Nabi E Akram (Sws) Ne Apni Deed Se Ki Hai, Jab Kadam Se Kadam Aur Kandhe Se Kandha Milaya Jaaye Toh Qadmon Ka Darmiyaani Faasla Nikal Aata Hai,

Kyonki Agar Namazi Apne Qadamo Ko Kushada Karke Na Rakhe Toh Paon Mil Hi Nahin Sakte, Paon Tab Hi Mil Sakte Hain Jab Namazi Kandhon Jitna Faasla Qadmon Me Bhi Rakhe,

Ye Seedhi Si Baat Hamare Hanafi Bhaiyyon Ke Ulte Dimagh Me Nahin Aati,

Is Muqallid Aalim Abu Bilal Jhangwi Likhta Hai Ke

"Agar Aap (Ahle Hadith) Sahih Hadith Me Dikha Den Jiska Tarjuma Ye Ho Ke Paon Ko Itne Jode Rakho Ke Apne Kandho Ke Baraabar Ho Jaaye"

(Tohfa Ahle Hadith Page 21)

Toh Main Arz Karta Hoon Ke Kya Aapke (Muqallid) Nazdeek Kisi Hadith Ka Mafhoom Qabil Hujjat Nahin Aur Kya Fiqh Hanafi Ke Usool Me Isharaul Nas Ka Mustaqal Daleel Ke Taur Par Qubool Nahin Kiya Gaya ??

Agar Kiya Gaya Hai, Yaqeenan Kiya Gaya Hai Toh Aap Is Hadith Par Amal Karke Dikhaaye Ke Kandhe Se Kandha Aur Qadam Se Qadam Toh Mil Jaaye Magar Kandhon Ke Barabar Paon Jode Na Hon,

Yaqeen Jaaniye Ke Poori Duniya Ke Munkireen E Sunnat Koshish Ke Ba'wajood Aisa Karke Dikha Nahin Sakte,

Malum Hua Ke Muqallid Abu Bilal Jhangwi Sahab Ne Mazkoorah Baat Sunnat Rasoollullah Ke Bughz Me Aur Ahle Hadith Se Taassub Ki Wajah Se Likh Di Hai, Warna Is Par Hadith Maujood Hai,

Fir Imam Bukhari Shareef Ke Mazkoorah Bab Me Ta'leeqan Imam Bukhari Hz Noman Bin Basheer (Ra) Ka Asar Laaye Hain Ke

"Yani Maine Dekha Ke Ek Shakhs Ham (Sahaba Kiram) Me Se Dusre Ke Takhne Se Takhna Milaata Tha"

Ahle Hadith Wa Hanafi Ki Guftughu

Muqallid: Pyare ! Is Riwayat Ki Sanad Nahin Hai ?

(Tohfa Ahle Hadith Page 23)

Muhammadi: Goya Aap Koi Baat Be'ghair Sanad Ke Qubool Nahin Karte, Is Baat Par Qayem Rahna Toh Tab Baat Hai,

Kyunki Fiqh Hanafi Me Marwi Aksar Aqwal Bila'sanad Hain, Toh fir Aap Use Tarq Kyun Nahin Kar Dete,

Aap Par Waazeh Ho Ke Iski Sanad Bhi Maujood Hai, Chunanche Ye Hadith Musnad Ahmad, Abu Dawood, Dar E Kutni, Sahih Ibn Habban Me Ba'sanad Maujood Hai,

Muqallid: Magar Uski Sanad Me Zikriya Bin Abu Ziyad Rawi Mudallis Hai Aur An Se Riwayat Karta Hai,

(Tohfa Ahle Hadith Page 30)

Muhammadi: Pahle Toh Aapne IsKi Sanad Se Inkaar Kiya Jab Dikhayi Gayi Toh Pahli Baat Se Mukar Gaye Aur Sanad Par Aitraaz Kar Diya,

Mere Azeez Bhai ! Sunan Dar e Kutni Me Tahdees Ki Sarahat Hai, Jiski Wajah Se Tadlees Ka Aitraaz Karna Hi Fuzool Hai,

Hafiz Ibn Hajar (Rh) Ne Bukhari Ki Sharah Me Likha Hai Ke

"Is Hadith Ko Ibn Khazeema Ne Sahih Kaha Hai"

(Fath Ul Bari 2/167)

Aur Khud Hafiz Ibn Hajar Farmate Hain Ke

"Wa Isnaad Hasan"

(Taghleeq Ul Ta'leeq 2/303)

Yani Uski Sanad Hasan Darje Ki Hai,

Muqallid : Hafiz Ibn Hajar Farmate Hain

"Yani Us Huqm Se Maqsood Safon Ki Durustagi Aur Darmiyani Jagah Ko Pur Karne Me Mubalgha Karna Hai"

Muhammadi: Bila'Aakhir Aapne haqeeqat Ko Qubool Hi Kar Liya Bhai,

Mubalgha Ka Ye Mafhoom Toh Ho Hi Nahin Sakta Ke Paon Ke Darmiyaan Me Ba'lisht Bhar Jagah Ko Chhod Chhod Kar Namazi Khade Ho, Kyonki Kisi Cheez Me Taqalluf Ko Mubalgha Se Tabeer Karte Hain,

Chunanche Allama Fatni Hanafi Mubalgha K Mana Karte Hain

"Yani Jab Kisi Kaam Me Koshish Ki Jaaye Toh Use Mubalgha Kahte Hain"

(Majmua Bahar Ul Anwaar 1/219)

Yahi Maana Allama Ibn Manzoor Afriki Ne (Lisaan Ul Arab 8/420) Me, Aur Allama Muhammad Murtaza Zubaidi Hanafi Ne (Taj Ul Urus 6/5) Me Kiye Hain,

Aapki Musallama Sharah Ki Ru Se Hadith Ka Maana Ye Hua Ke Kandhe Aur Takhno Ko Khoob Milaaya Jaaye,

Magar Afsos Aap Hafiz Ibn Hajar (Rh) Ke Kalaam Ko Ghalat Mani Dekar Ahle Hadith Ko Lalkaar Rahen Hain, Fir Is Ghalat Bayani Par Aapko Sharm Na Haya,

Muqallid: Chalo In Par Amal Karke Dekh Lete Hain Ke Ye Charon Cheezein Aadmi Mila Bhi Sakta Hai Ya Nahin, Gardan Se Gardan, Kandhe Se Kandha, Ghutne Se Ghutna, Takhne Se Takhna, Ye Charon Toh Mil Nahin Sakte,

Muhammadi : Ye Baat Muqallid Jahil Ne Abu Dawood Ki Hadith Noman (Ra) Ke Jawab Me Tahreer Ki Hai; Halaanke Hadith Noman Bin Basheer (Ra) Me Gardan Milaane Ka Qat'an Zikr Nahin....

To Be Continued...



#UmairSalafiAlHindi
# IslamicLeaks