Tuesday, March 10, 2015

PAON KO KUSHADA RAKHNE KA MASLA: (PART-2)




Bismillahirrahmanirraheem

PAON KO KUSHADA RAKHNE KA MASLA: (PART-2)


Hanafi MuQallid Ne Ek Hadith Ka Mazaaq Udaate Hue Kaha Hai Ke

"Chalo In Par Amal Karke Dekh Lete Hain Ke Ye Charon Cheezein Aadmi Mila Bhi Sakta Hai Ya Nahin, Gardan Se Gardan, Kandhe Se Kandha, Ghutne Se Ghutna, Takhne Se Takhna, Ye Charon Toh Mil Nahin Sakti"

Ye Baat Muqallid Jahil Ne Abu Dawood ki Hadith Noman Bin Basheer (Ra) Ke Jawab Me Tahreer Ki Hai Halanke Hadith Noman Bin Basheer Me Gardan Milaane Ka Qat'an Zikr Nahin,

Ham Aapki Tasalli Ke Liye Asal Matan Hadith Pesh Karte Hain

IsKa Maana Molwi Anwar KhursheeD Hanafi Deobandi Se Naqal Kiya Jata Hai

 











"Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Logon Ki Taraf Mutawajjoh Hue Aur 3 Baar Farmaya Ke Apni Safon Ko Seedha Karo, Allah Ki Qasam Tum Log Zaroor Apni Safon Ko Seedha Kar Lo Warna Allah Tala Tumhare Dilon Me Foot Daal Denge"

Hz Noman Bin Basheer (Ra) Farmate Hain Ke

"(Iske Baad) Maine Dekha Ke Ek Shakhs Dusre Shakhs Ke Kandhe Se Kandha, Ghutne Se Ghutna, Aur Takhne Se Takhna Milakar Khada Hota Tha "

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 511)

JAWAB:

Ab Dekhiye Abu Bilal Jhangwi Sahab Ne Matan Hadith Ko Bigaad Karte Hue Apni Taraf Se Gardan Gardan Milaane Ka Izaafa Kar Diya, Fir Is Bad'diyanati Ko Jaan'boojhkar Kiya Gaya Hai,

Mazeed Qabil Afsos Baat Ye Hai Ke Is Ayyari Aur MakkarI Aur Be'imaani Ko Buniyaad Banakar Sunnat Ka Mazaaq Udaaya Gaya Hai Ke Aap Hazraat Gardan Nahin Milaate

(Tohfa Ahle Hadith Page 25)

Muqallid : Abu Dawood Ka Jild 1/97 Hai, Usme Poora Bab Hai Usme Ek Hadith Toh Ibn Umar (Ra) Se Marwi Hai Ke Shaitan Ke Liye Darmiyan Me Faasla Na Chhodo,

 



Dusri Riwayat Me Aaya Hai Ke Nabi (Sws) Hamari Safon Me Aakar Hamari SafeN Durust Farmaate, Hamare Kandho Aur Seeno Ko Haath Lagaakar Baraabar Karte,

 


3rd Hadith Me Aaya Hai Ke, Qareeb Qareeb Ho Jao Aur Gardano Ko Baraabar Rakho,

 



4th Riwayat Me Kandhon Ko Barabar Karo, Hai,

 


In Riwayaton Me Aa'naaq Aur Manaqab Ke Saath Lafz "Haazwa" Aaya Hai Jiska Maana Hai, Baraabar Rakho, "Mahazaat" Ka Maana Chimtaao Koi Bhi Nahin Karta,

Agar "Hazawa Bainal Manaqab" Ka Tarjuma Kandhe Se Kandha Milaana Karoge Toh Phir Yaqeenan Ye Riwayat No 3 Me "Haazawa Bainal Aa'naq" Me Bhi Yahi Tarjuma Karna Padega, Ke Gardane Milao, Is Par Amal Ghair Muqallideen Bhi Nahin Karte, Jahan Kandhe Milaate Hain Gardanein Bhi Milaayen, Zara Mere Saath Khade Ho Jaayen Aur Gardan Se Gardan Milaakar Dikhaaye"

(Tohfa Ahle Hadith Pg 24)

Muhammadi : Baat Ko Samjhne Ke Liye Bahtar Ye Hai Ke Pahle Abu Dawood Ki Hadith Ko Ham Naqal Karen, Fir Aapki Fuzooliyat Par Tabsirah Karen

1- Yani Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Safon Ko Qayem Karo, Kandhon Ko Barabar Karo Wa Khali Jagah Ko Band Karo Aur Apne Bhaiyyon Ke Haathon Me Naram Ho Jao, Shaitan Ke Liye Saf Me Khali Jagah Na Chhodo, Jisne Saf Ko Milaaya Allah Use Milaayenge Aur Jisne Saf Ko Kaata Allah Use Kaat Denge"

(Tarjuma Hadith Aur Ahle Hadith Page 508)

2- Hz Bara Bin Azib (Ra) Farmate Hain Ke

"Nabi E Akram (Sws) Saf Ke Andar Aate They, Idhar Udhar Se Aur Hamare Seeno Aur Kandhon Ko Baarabar Karte They Aur Farmaate They Ke

" Aage Peeche Mat Ho Warna Tumhare Dil Mukhtalif Ho Jaayenge "

Aur Farmate They

"Allah Jal O Jalal Apni Rahmat Bhejte Hain Aur Farishte Dua E Rahmat Karte Hain Pahli Saf Walon K Liye"

(Tarjuma Hadith Aur Ahle Hadith Page 509)

3- Hz Anas Bin Malik (Ra) Nabi E Akram (Sws) Se Riwayat Karte Hain Ke Apne Farmaya

"Apni Safon Ko Milaao Aur Unhe Nazdeek Rakho Aur Gardano Ko Baraabar Rakho, Qasam Hai Us Zaat Ki Jiske Qabze Kudrat Me Meri Jaan Hai Main Shaitaan Ko Dekhta Hoon Ke Wah Saf Ki Khali Jagahon Se Ghus Aata Hai Goya Ke Wah Bhedh Ka Chhota Sa Bachha Hai "

(Tarjuma Hadith Aur Ahle Hadith Page No 510)

Bhaiyyon ! Baqi Batein Toh Baad Me Hongi Pahle Ham Ye Arz Kar Dena Munaasib Khyaal Krte Hain Ke Maulaf Hadith Aur Ahle Hadith Ne Aakhiri Hadith Me Lafz "Beedah" Ka Maana Jiske Qabze Kudrat Me Kiya Hai, Aur Ye Lafz Alfaaz Nabawi Me Tahreef Hai,

Kyunki "Yadh" Ka Maana Haath Hota Hai Kisi Lughat Ki Kitab Me "Yadh" Ka Ye Mana Nahin Likha Jo Is Hanfi Ne Hanafiyat Ki Waqaalat Me Kiya Hai,

Dusri Baat Ye Ke Maulaf Tohfa Ahle Hadith Ne Jo Number 1 Aur 3 Me Alag Alag Hadith Bayan Ki Hai, Wah Dar'asal Ek Hi Hadith Hai Jisko Hamne Awwal Number Par Darj Kiya Hai,

Lihaaza Jhangwi Sahab Ka Use 2 Hadith Juda Juda Baawar Karaana Jihaalat Aur Taqleedi Haath Ki Safaayi Hi Kah Sakte Hain,

2- Ab Tarteeb Waar Inka Jawab Suniye Ke Pahli Hadith Me "Haazwa Bainul Manaqab" (Jise Jhangwi Sahab Ne 4th Number Par Zikr Kiya Hai ) Se Muraad Ye Hai Ke Saf Banaate Waqt Aage Peeche Khade Na Hon Balke Saf Ko Teer Ki Tarah Seedha Rakha Jaaye,

Chunanche Allama Muhammad Tahir Fatni Hanafi 986 Hijri "Hazwa" Ka Maana Karte Hue Tahreer Karte Hain Ke

"Yani Ek Taraf Baraabar Pe Khada Hona Yani Masaawi Hona, Na Aage Hona Aur Na Peeche"

(Majmua Bahar Ul Anwar 1/465)


Al'gharz Is Hadith Ka Mafhoom Toh Ye Hai Ke Muqtadi Aage Peeche Khade Na Ho Balke Barabar Saf Banaayen...

To Be Continued.



#UmairSalafiAlHindi
# IslamicLeaks