Monday, January 24, 2011

BARELWIYAT KA TARUF

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB



"RAZA KHANIAT(bralviat) se apne kaam ka aaghaz karta hoon. is post me sab se pehlay raza khaniat ka mukhtaser taaruf karata chalun.


Bralviat: pakistan mein payi jane wale ahnaf ke mukhtalif makateb-e-fikr mein sat aik maktba-e-fikr hay.

iss giroh ke aqaid baaz dosre islami mulk mein paaye jaate hain .ghair-ullah say fariyad ,

unke naam ki mantein manna jaise shirkiya aqaide rakhte hain.

ahmad raza brailvi ne in tamam mushrikana aur ghair islami rasm-o-riwaj ko munazim shakal de kar qalmah mushrekeen ki ek jamaat tayyar kar daali.

islami tareekh k mutaliay se ye baat wazeh hoti he ke yeh tamaam aqeede aur rasme hindu madhab aur dusre batil madhab k zariye musalmano me dakhil hoye aur agraizi(britishers) istemar ki wasatat say parwan charhein hain.


islam jiddo-jehad ka darsh deta hai lekin bralvi mujaddid ne islam ko rasm-o- riwaj ka majmooa bana diya hay.

namaz,rozay aur jihad ki taraf dawat ki bajaey urs,qawali,peer parasti,aur nazr-o-niaz ko islam ka naam de kar islam ki haqeeqi shakal ko bigaadne ki har mumkin koshish ki hai.

bralviat me fatwa-e-kuffar saazi ki hazaaron(thausands) factories maujood hain.jis maulvi ko ye bhi nahi pata ke bukhari kiya hai,

wo bhi kuferr ka fatwa jari ker deta hai.


Maulana ismail salafi(r.h) apni kitab

"MASLA HAYAT UN NABI(S.A.W)" me likhte hain bralviat mein ilm-e-kalam ke 3 asool hain:


1) apnay mukhalif ko pait bhar kar galiyan do ke bechara kuch bol hi na paye.


2) jo bhi biddat karo us k sath shareef laga do(khtam shareef,urs shareef,qul shraeef).


3) jahan bhi kisi peer ki qabar dekho us shehar k nam k sath shareef laga do(multan shareef,taunsa shareef,pak patan shareef,ajmer shareef)


ahmad raza brailvi hindustan k soobay(province) uttar pradesh(UP) me shahar Barelly me paida huwe.

(dera-tul-moarif jild no 4 page no 487)

,aala hazret bralvi by bastvi page no 25

,hayat-e- aala hazret by zafar-udeen bahari rizvi published from karachi)


ba mutabiq brailviyon ke un ke aala hazrat ilmi gharanay mein paida huwe.un ke waalid naqi ali aur dada raza ali ka shumar ahnaf k mash'hoor ullama mein hota hai.


(tazkera ullama-e-hind page no 64)


unn ki paidaish 14 june 1865 mein hoi.

(hayat-e-aala hazret jild no 1 page no 1)

unka naam Mohammad rakha gaya.walida(mother) ne unka naam Aman Mian rakha,walid(father) ne Aher Mian aur dada(Grand father) nay Ahmad Raza rakha.

(aala hazret by bastavi page no 25)

lekin Ahmad Raza in naamon pe mutmaen na huwe aur apna naam khud hi Abdul-Mustafa rakh lya.

(min ho ahmad raza by shujat qadri page 15)


ab jab mukamel introduction karana hay to phir ab unki rangat ka bhi ziker kerna pray ga na,

ab is se kisi ko sharam aaye ya ghussa aaye to hame kya, hume to wahi batana hai jo haq hai.


AHMAD RAZA SAHB KA HULIA

ahmad raza ka rang intehai siyah tha.un k mukhalifeen unhe aksar chehray ki siyahi ka taana diya kerte they.

(wah teri shaan ke sadkay jaon meray rab,aaj tak bralvi yeh kehtay aey hain k DR ISRAR Ahmed Sahab k chehray ki siahi asal mein unke amal ki siyahi hai chalo wo to aik tanzeem k leader hain lekin app ke to baani ke chehray pe phatkaar baras rahi hai aap ke apne asool k mutabiq,


jab bani hi lanati huwa(kalay chehray ko lannat say tabeer kertay hain bralvi)


to phir Alhumdulillah aap ke asool ke mutabiq poori raza khaniat lanati ho gayi.


"ULJHA HAY PAON YAR KA ZULF-E-DRAZ MEIN, LO AAP APNE DAM MEIN SIYAAD AA GYA."

ahmad raza ke khilaf likhi jane waali aksar kitabon mein un ke chehray ki siyahi ko hataf-e-tanqeed banaya gaya hai.

Ek kitab ka nam hi lay lijiay ab

"A TEEN UL LAZIB ALA AL ASWAD AL KAZIB"

yaani ke kalay(black) jootay(shoes) k oper chipak jaane waali mitti rakha gaya hai.

ye kitab likhi hai Maulana Murtaza Hassan Devbandi Sahib ne.

maulana sahab ki kitab ke naam par poori bralviat bahot ghabrai aur mukhtalif heelay bahanon k zariye ahmad raza ki rangat ko safaid kerne ki koshish ki,

ha lan ke rangat ka kala pan koi aisi bat bhi nahi thi,

aaj bhi ahmad raza ki saari aulaad kalay rang wali hay.


ALLAMA EHSAN ILLAHI ZAHEER SHAHEED(R.H) ne haramain sharifain conference mein khitab karte howe isi baat ka tazkirah kiya tha jab unki kitab al-bralvia pe bralviat me hul chal machi hoi thi:


1) baaz logon ko aitraaz hai ke hum ne janab ahmad raza ki rangat ka tazkera kiyun kia,

ha lan k yeh koi qabil-e-aetraz bat ni thi.

2) iss k jawab mein baaz hazrat nay siyah ko safaid sabit kerne ke liye bila wajah apni kuttub k safhat siah ker diay.


3) jawab mein kaHA gaya ke aala hazrat ka rang siyah to nahi tha al bata gehra gandomi tha aur rang ki aab-o-taab bhi khtam ho chuki thi.


hum kehtay hain keh "gehra gandomi" rang ki koun si qism hay?


kya zarurat hai in taweelat mein pernay ki?

seedha aitraf kiyun nahi kar liya jata ke un ka rang siyah tha.

TO BE CONTINUED....