Monday, January 24, 2011

KYA TAQLEED ZAROORI HAI ??

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB


KYA TAQLEED ZAROORI HAI

jami ul lughat urdu me hai taqleed: pairwi karna,qadam ba qadam chalna bagair tehqeeq ke kisi ki pairwi karna.

(page 166 matbua dar ul asa`a`t karachi)

hanafiyon ki kitab muslim al saboot me likha hai (ghair kay qol par bagair hujjat kay amal (ka naam) hai.

jaise aami(jahil) apne jaise aami ya mujtahid dusre mujtahid ka qol le le.

pus nabi alehslam aur ijma ki taraf ruju karna is( taqleed) me se nahi. aur is tarah aami ka mufti ki taraf ruju karna aur qazi ka gawahoon ki taraf ruju karna(taqleed) me se nahi hai kyon ke ise nus nay wajib kiya hai.

lekin urf yeh hai aami mujtaahid ka muqallid hai..

(muslim al saboot page 289 taba 1316 h)


lijiye janab taqleed ka mani yeh nahi hai kisi aalim say masla poochna ya us ki kitab say dekh kar copy kar laina.

bhai jaan taqleed ghair e nabi ki baat ko bila daleel qabool karne ko kehte hain.


agar koi daleel (Quran hadees ya ijma e sihaba) say baat kare aur masla poochney wala us ki baat ko maan le us ko taqleed nahi kehtey hain kyon ki us par quran aur hadees ki hujjat qaim hui hai.


khateeb baghdadi kehte hain ke bagair daleel ke qol ko qabool karney ko taqleed kehtey hain

(al faqeeh wal muttafiqah jild 2 page 66)


ab main in se poochta hun ke jo yeh defination kar rahey hain woh kis aalim nay ki hai(kisi deobandi ki baat na karna motbar aalim ki baat karna)....


Kyon ke Quran me hai

"Keh dijiye agar tum suchey ho to daleel le aao"

(baqrah 111)

ek aur baat keh kya imam sirf 4 hi aaye hain jin ki taqleed ki jaye gi. kya yeh imam sihaba say barey the.


kya yeh imam nabi sallahu alihewasallam say bade the jo un ki baat kay aagey in ko baat ko muqaddam rakha ja raha hai??


yahaan aap kahen ge ke kounsi baat hai jo nabi ki baat ke khilaf hai...

to janab aap ke hi deobandi aalim mahmood ul hasan rahimullah farmatey hain: "Haq aur insaaf to yeh hai keh is masle me shafi ko tarjeeh hai aur hum muqallid hain aur hum par imam abu hanifa ki taqleed wajib hai".

wallahu alam

(taqreer e tirmizi page 36 , nuskha ukhra page 39)

abul hasan karkhi hanafi kehta hai:"asal yeh hai ke har ayat jo hamarey sathiyon kay khilaaf hai use mansookhiyat par mahmool ya marjooh samjha jaye ga. behter yeh hee hai keh tatbeeq kartey huye is ki taveel kar li jaye" (asool e karkhi)


shabbir ahmad usmani deobandi likhtey hain :"doodh churaney ki muddat jo yahan 2 saal byan hui ba aitebaar ghalib aur aksari aadat kay hai. imam abu hanifa jo aksar muddat dhaai saal batatey hain in kay pass koi aur daleel ho gee."

jamhoor kay nazdeek do hee saal hain

wallah u alam

(tafseer e usmani surah luqmaan ayat 14 hashia 10)


Allah tala farmate hain: "aur jis ka tujhey ilam na ho us ki pairwi na karo"

(bani israel 36)

is ayat se bohut se ullema nay taqleed kay batil honay ka istadlaal kiya hai jaise
abu hamid muhammad bin muhammad al ghazali (al mustasfa mun ilmulasool 2 /389)

ibne qaiyam (aelam ul moqieen 2 /188)

sayuti (al radd ala mun akhlada ilal ardh)


Allah farmata hai:" unhon ne apne ahbaar aur rahbar ko Allah kay siwa rabb bana liya"

(toba:31)

is ayat par bhi bohut ullema nay taqleed kay radd par istedlaal kiya hai

ibn e abdul barr(jame byan ul ilam wa fazla jild 2 page 109)

ibn e qaiyam syuti (al radd ala mun akhlada ilal ardh)

"aur jub in say kaha jata hai kay Allah tala nay jo ahkam nazil farmaye hain in ki taraf aur rasool ki taraf ruju karo to woh kehtey hain hum ko woh hi kafi hai jis par hum na apne baap dada ko paya"

(maida 104)


"qasam hai tere parwardigaar ki ye log kabhi momin nahi ho sakte jub tuk tamam aapas ke ikhtilaf me aap ko haakim na maan len..."

(nisa:65)


"maine aaj ke din tumhareyliye deen ko mukammal kar diya hai aur apni nemat ko tum par poora kar diya hai. aur tumharey liye deen e islam par razi ho gya hun"

(maida:3)


jana deen mukammal ho chuka hai bataiye agar nahi hua tha to taqleed kahan thi???


sihaba nabi ki pairwi karte they. imam abu hanifa ki nahi bataien woh konsi aise baat thi jo nabi bata kar nahi gaye aur imam abu hanifa rahimullah nay poori ki???


Hazrat salman fasi raziallahanho say chand mushrikoon nay kaha kya tumharey nabi nay tumheen sab kuch sikha diya hai hatta kay taharut bhi to unhoon nay farmaya: ji haan!!

(sahih muslim jild1)


janab aik hadees la den jis me nabi ne kaha ho kay in 4 mai sai 1 imam ki taqleed wajib hai.

huzoor sallahu alihe wasallam nay Quran ki ayat

"inna lazeena farraqu dinu hum wa kanu shee an"

tilawat ki aur farmaya jinhooon ne deen mai tafarraqa dala yeh eez groh the yeh woh groh hain jo khwahish parast bidati aur gumrahi walay hain..

"ae aisha (raziallahanha) har gunah ki touba hai magar khwahish parastoon aur ahl e bidat ki toba qabool nahi mai in say bari hoon aur yeh mujh say bari hain.

(al aiesaam jild 1 page 60)



janaab khawahish ko chorien haq ko pakden. lekin aap nahi manoge kyon ke aap ka asool hi ye hai jaise mai ne imam karkhi ka refrence diya
"jo quran ki baat hamare ashaab se takraye gi us ko mansookh samjha jaye ga".

deen me tafarraqa na daalen firqe bana kar.


shaykh abdul qadir jilani rahimullah ne farmaya tha ahle sunnat ka ek hi naam hai aur woh hai "ashabul hadees"

translation in urdu: ahle hadees ya hadees ke sathi.

( guniya tul talibeen page 212)


shah wali ullah muhaddis likhtey hain "ummat ke pehley log 4 th sadi say pehley kisi aik mazhab kay paband nahi the"

(hujjat ullah balagha jild 1 page 445)


yani yeh biddat hai 400 saal baad shuro hui.

hazrat abdullah bin masood raziallahanho nay farmaya: "tum me se koi aadmi apne deen ke baare me kisi aadmi ki taqleed na karey keh jab wo kisi baat par emaan lata hai to woh bhi lata hai jab kisi baat say inkaar karta hai to woh bhi karta hai


(aelaam ul moqaen jild 2)


Abdullah bin abbas raziallah anho farmatey hain: "qareeb hai tum logoon par aasmaan se pathar barseen main tum se kehta hoon Rasool Allah sallahu alihe wasallam ne farmaya tum mujhe kehtey ho abu bakar raziallahanho aur omar raziallah anho nay yeh farmaya"


(zad ul maad jild 2 page 195)


janab!!

imam abu hanifa abu bakar raziallahanho say bade hain kya jin ki taqleed laazmi hai?


hazrat abdullah bin omar raziallahanho farmate hain tu mujhe bata agar is kam se mere waalid(omar raziallahanho) ne mana kiya ho aur Allah ke rasool Sallahu alihe wasallam ne is ko kiya ho bata kis ki itteba karni chahiye??.

merey walid ki ya rasool Allah sallahu alihewasallam ki??

to us ne kaha beshak rasool Allah sallahu alihewasallam ki itteba ki jaye gi.

farmaya to phir sun le rasool Allah sallahu alihewasallam ne is kaam ko kiya hai.


(tirmizi baab maja fe al tumta)


janab kya kahen ge abu hanifa rahimullah sihabi e rasool se bade hain??


oh ALLAH(s.w.t) humein deen ki sahi samajh ata kar.. OR hume phir se ek kar de ..AAMIN YA RABBALAALAMEEN...