Sunday, January 16, 2011

AURTON KI NAMAZ ME FARQ AUR UMMAT KA IKHTELAAF

AAJ HAMARE BHAI MARD AUR AURTON KI NAMAZ ME FARQ SAMAJTE HAIN,

AUR KAHTE HAIN HUM IMAM ABU HANIFA KI TARAH NAMAZ PADHTE HAIN...


AFSOS KALMA TO NABI KA PADHTE HAI LEKIN PAIRWI IMAMON KI KARTE HAIN..

AUR KAHTE HAIN HUMNE QURAN IMAM ABU HANIFA(RH) SE SAMJHA HAI...!!!

MUJHE TAJJUB HOTA HAI KI NABI(SAW) KE DAUR ME SAHABAH KISSE QURAN SAMJHTE THY?


QURAN KAHTA HAI KI "IHDINAS SIRATAL MUSTAQEEM"

TRANS: MERA SEEDHA RAASTA HAI

LEKIN BECHARE 4 RAASTA BANA BAITHE HAI 1-IMAM ABU HANIFA(RH) 2-IMAM SHAFAI(RH) 3-IMAM MALIK(RH) 4-IMAM HAMBAL(RH)


SURAH FATIHA PADHKAR TO YE DUA KARTE HAIN HAME SEEDHA RAASTA DIKHA....

LEKIN YE AYAT SAMAJHNE ME KAASIR HAIN,

LAGTA HAI UNHONE YE AYAT IMAM SB SE NAHI SAMJHI


NABI SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM(PUBH) YA SAHABAH SE MARWI KISI EK HADITH DIKHA DEN JISME YE BATAYA GAYA HO KI AURTON KI NAMAZ MARDON SE ALAG HAI.....MAIN USE TASLEEM KARNE KE LIYE TAIYYAR HOON LEKIN HADITH SAHIH HONI CHAHIYE RAAVI MAJBOOT AUR PAKKA HONA CHAHIYE....


APNE AAPKO BAHUT BADA AASHIQ-E-RASOOL BANTE HAIN LEKIN JAB AQEEDA AUR NAMAZ KI BAAT AATI HAI TO BADBAKHT KAHTE HAIN KI HUM HANAFI HAIN, HUM SHAFAI HAIN HUM MALIKI HAIN ,HUM HAMBALI HAIN


AREEE BADBAKHTON....

SAHABAH (RA) SE QURAN NABI KAREEM (SAW) SE SAMJHA THA

AUR SAHABA (RA) BHI WAISA HI AMAL KARTE THEY...

PHIR TUM KYON BHATAK RAHE HOO

APNA BHEJA KYON KHAPA RAHE HO.....

UNKI HADITH TUMHE KYON SAMAJH NAHI AATI....

IMAM ABU HANIFA NE KABHI NAHI KAHA MERA DAAMAN THAAMNA JANNAT MILEGI ... UNKA TO YE KAHNA THA KI JAB KABHI TUMHE SAHIH HADITH KA PATA CHAL JAAYE, WAHI MERA MADHAB HAI...

ZAAHIR SI BAAT HAI UNKE DAUR ME HADITH COLLECTION POORA NAHI HO PAYA...THA

LEKIN AB TO SAHIH HADITH MAUJOOD HAI...

PHIR KYON ZIDD PAR HO...KI HUM UNKA KAHNA HI MANENGE NABI KA NAHI.....

CHALIYA AB ZARA SAHIH HADITH KI ROSHNI ME AURTON KI NAMAZ DEKHTE HAIN


SAHIH BUKHARI KI HADITH HAI- PADHO NAMAZ (AIY MERI UMMAT) JIS TARAH DEKHTE HO TUM KI MAIN NAMAZ PADHTA HOON (YAANI BILKUL MERI TARAH SAB AURTEN AUR MARD NAMAZ PADHEN,

PHIR APNI TARAF SE YAH HUKM LAGANA KI AURTEN SEENE PAR HAATH BAANDHE AUR MARD NAAF KE NEECHE AUR AURTEN SAJDA KUCH AUR TARIQE SE KAREN MARD KUCH AUR TAREEQE SE, YAH DEEN ME DAKHAL HAI,

DEEN ME HAR DAKHAL BIDAT HAI,

HAR BIDAT GUMRAHI HAI AUR HAR GUMRAHI JAHANNUM ME LE JAANE WALI HAI,


YAAD RAKHEN TAKBEERE TAHREEMA SE SHURU KARKE ASSALAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH KAHNE TAK AURTON AUR MARDON KE LIYE EK HI NAMAZ HAI


"RASOOLLULLAH SALLALLAHU ALLAIHI WASALLAM NE HZ UMME WARQA (RA) KO HUKM DIYA KI WAH APNE GHAR WALON KI IMAMAT KARAIN

(ABU DAWOOD)


HZ AISHA(RA) AURTON KI IMAMAT KARATI THI AUR SAF KE BEECH ME KHADI HOTI THI (MUSTARDARK HAAKIM)


1-SAJDE KA TAREEQA:

NABI KARIM(SAW) FARMATE HAIN:" MAIN HUKM KIYA GAYA HOON KI SAJDA KARUN MAIN 7 HADDIYON PAR ,PESHANI, DONO HAATH PAR, DONO GHUTNO PAR AUR DONO PANJO PAR

(BUKHARI,MUSLIM)

NABI KARIM NE YE FARMAN APNI POORI UMMAT KO DIYA HAI ,

ISME IKHTILAAF NAHI KARNA CHAHIYE KI YE SIRF MARD KE LIYE YA SIRF AURAT KE LIYE HAI


2-AURTEN BAAZU NA BICHHAYE:


BAHUT SI AURTEN SAJDE ME BAAZU BICCHA LETI HAIN AUR PAIT KO RAANO SE MILAKAR RAKHTI HAIN AUR DONO KADAMON KO BHI ZAMEEN PAR KHADA NAHI KARTI,

MALUM HO KI YE TAREEQA NABI KAREEM(SAW) KE HUKM AUR SUNNAT KE KHILAAF HAI,

SUNIYE

HZ ANAS(RA) KI RIWAYAT HAI KI NABI (SAW) FARMATE HAIN:" LA-YABSUTU AA-HA-DAKUM ZIRA IMBISTA AL-KALBI"

YANI NA BICCHAYE KOI TUMHARA(MARD HO YA AURAT) DONO BAAZU APNE(SAJDE ME) JIS TARAH KUTTA(DOG) BICCHATA HAI

(BUKHARI,MUSLIM)


HUZUR KE IS HUKM SE SAAF SAAF PATA CHALTA HAI KI NAMAZI (MARD YA AURAT) KO APNE DONO HAATH ZAMEEN PAR RAKHKAR KUHNIYAN YAANI BAAZU ZAMEEN SE UTHA KAR RAKHNA CHAHIYE, AUR PAIT BHI RAANO SE ALAG RAHE AUR SEENA ZAMEEN SE UNCHA HO,


MERI PYARI MUSALMAN BAHNON, DHYAN SE SUNO HAMARE PYARE NABI (SAW) KE IRSHAAD KE MUTABIK NAMAZ PADHO,


EK RIWAYAT ISI MAJMOON KI SAHIH MUSLIM ME HAI HUZUR PAAK (SAW) FARMATE HAIN AUR MUSALMAN MARD AUR AURTON KO BARABAR SUNATE HAI "YAANI SAZDE ME RAKH DONO HAATH APNE(ZAMEEN PAR) AUR UNCHI KAR APNI DONO KUHNIA(BAAZU)

AB AAP HI FAISLA KIJIYE KI KISKO MANNA HAI " NABI (SAW) YA IMAM)


HO SAKTA HAI YE HADITH IMAM ABU HANIFA KE DAUR ME UNKE PAAS NA PAHUNCH PAYI HO..

KYONKI UNKE DAUR ME HADITH COLLECTION SHURU HUWA THA...

ISLIYE IMAMON NE KAHA THA" JAB TUMHE SAHIH HADITH KA PATA CHAL JAAYE TO USKO APNA LENA AUR MERA TAREEQA CHHOD DENA"

ALLAH ME HAQ BAAT KAHNE AUR SAMJHNE KI TAUFEEQ DE


AAMEEN