Monday, January 24, 2011

KYA TAQLEED SHAKHSI ZAROORI HAI PART 2

CONTINUED....READ PRE VIOUS POST



janaab khawahish ko chorien haq ko pakden. lekin aap nahi manoge kyon ke aap ka asool hi ye hai jaise mai ne imam karkhi ka refrence diya
"jo quran ki baat hamare ashaab se takraye gi us ko mansookh samjha jaye ga".

deen me tafarraqa na daalen firqe bana kar.


shaykh abdul qadir jilani rahimullah ne farmaya tha ahle sunnat ka ek hi naam hai aur woh hai "ashabul hadees"

translation in urdu: ahle hadees ya hadees ke sathi.

( guniya tul talibeen page 212)


shah wali ullah muhaddis likhtey hain "ummat ke pehley log 4 th sadi say pehley kisi aik mazhab kay paband nahi the"

(hujjat ullah balagha jild 1 page 445)


yani yeh biddat hai 400 saal baad shuro hui.

hazrat abdullah bin masood raziallahanho nay farmaya: "tum me se koi aadmi apne deen ke baare me kisi aadmi ki taqleed na karey keh jab wo kisi baat par emaan lata hai to woh bhi lata hai jab kisi baat say inkaar karta hai to woh bhi karta hai


(aelaam ul moqaen jild 2)


Abdullah bin abbas raziallah anho farmatey hain: "qareeb hai tum logoon par aasmaan se pathar barseen main tum se kehta hoon Rasool Allah sallahu alihe wasallam ne farmaya tum mujhe kehtey ho abu bakar raziallahanho aur omar raziallah anho nay yeh farmaya"


(zad ul maad jild 2 page 195)


janab!!

imam abu hanifa abu bakar raziallahanho say bade hain kya jin ki taqleed laazmi hai?


hazrat abdullah bin omar raziallahanho farmate hain tu mujhe bata agar is kam se mere waalid(omar raziallahanho) ne mana kiya ho aur Allah ke rasool Sallahu alihe wasallam ne is ko kiya ho bata kis ki itteba karni chahiye??.

merey walid ki ya rasool Allah sallahu alihewasallam ki??

to us ne kaha beshak rasool Allah sallahu alihewasallam ki itteba ki jaye gi.

farmaya to phir sun le rasool Allah sallahu alihewasallam ne is kaam ko kiya hai.


(tirmizi baab maja fe al tumta)


janab kya kahen ge abu hanifa rahimullah sihabi e rasool se bade hain??


oh ALLAH(s.w.t) humein deen ki sahi samajh ata kar.. OR hume phir se ek kar de ..AAMIN YA RABBALAALAMEEN...