Friday, June 10, 2011

NIYYAT KA MASLA

Bismillahirrahmanirraheem



musalmano ki nazar me "niyat" ka mamla deeni aur dunyawi mamlon me bada importance hai, isliye ki sab aamaal isi buniyad par hote hain aur isi hisaab se we sahi ya ghalat qaraar paate hain,

har amal ke liye niyat aur uska sahih hona zaroori hai allah taala ke farman se saabit hai:


WAMA UMIRU ILLA LIYA-BUDUL-LAAHA MUKHLISEENA LAHUD-DEEN


" Aur unhe yah huqm diya gaya hai ki ibadat karen aur khaalis farmabardari ki niyat se"


aur yah ki rasoollullah ke mubarak hadith se

"aamaal ka base niyaton par hai aur insan ke liye wahi hai jo niyat kare"

(bukhari wa muslim)


aur aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya:

" beshak allah tumhari sooraton aur daulat nahi dekhta wah to sirf tumhare dilon aur aamaal ko dekhta hai"

(bukhari,muslim)


dilon ko dekhna niyat ko dekhna hai ki yahi insan ko amal par taiyyar karti hai

nabi-e-paak ka farman hai:

" jisne kisi neki ka iraada Kiya aur phir use poora na kar saka to uske liye neki likh di jaayegi"

(muslim)

isliye acchi niyat wa iraade se jo amal kiya jaaye azr wa sawaab ka sabab hoga, aur usme acchi niyyat ki importance saaf hai,

is baare me ek aur farmaan rasoollullah sallallaho alaihi wasallam hai:


" log 4 tarah ke hain ek insaan ko allah ne ilm wa maal diya hai wah apne ilm par amal karta hai aur maal kharch karta hai, dusra insaan jo usse mahroom hai kahta hai agar mere paas ilm wa maal hota to main bhi uski tarah amal karta , to ye dono sawaab me barabar hain, ek aur aadmi jise allah ne maal diya hai magar ilm nahi diya wah apne maal me hi bhatak raha hai to ek insan kahta hai mere paas uski tarah maal hota to main bhi uske tarah ke kaarnaame anjaam deta , to ye dono gunaah ke barabar hain"

(ibne majah)


is hadith se saaf huwa ki sirf acchi niyat se ek insaan ko sawab mila aur dusre ko buri niyat ki wajah se Gunah haasil huwa, yah niyat ki karishmasaazi to hai,


aap (sws) tabook me they farmaya:

" madina munawwara me kuch log hai hamne jo waadi taiy ki aur jis jagah safar kiya ki jisse kuffar ranjeeda hote aur koi kharch kiya ya hamen bhookh lagi to us sawaab me we sab log shareek they, jabki we madeena me hain, arz kiya gaya ya rasoollullah(sws) yah kis wajah se hai?? Aapne farmaya wah kisi wajah se hamaare saath na aa sake aur acchi niyat ki bina par hamare saath(sawaab me) shareek hain"

(abu dawood wa bukhari mukhtasar)


"husn-e-niyat" ne gair ghaazi ko ghaazi ka maqaam dila diya hai aur gair mujahid ko mujahid ke darje me la khada kiya hai,


isi tarah rasoollullah ka ek aur farman hai:


"jab do musalmaan ek dusre ko qatal karne ke liye laden to kaatil wa maqtool dono jahannami honge, arz kiya gaya kaatil to qatal ki wajah se aur maqtool kyon? Farmaya isliye ki wah bhi dusre ke qatal ko taiyyar Tha"


( bukhari wa muslim)

kharaab niyat aur ghalat iraade ne jahannami kaatil aur maqtool dono ko barabar la khada kiya hai jabki agar maqtool ki qatal ki niyat na hoti to wah jannati hota,


isi tarah nabi(sws) ne farmaya:

" jo maher muqarrar karke nikaah karta hai aur uski adaayegi ka iraada nahi karta, wah zaani hai aur jo karz leta hai aur ada nahi karna chahta wo chor hai"

(musnad ahmad)

isme ek "mubaah kaam" buri niyat se haraam ho gaya hai aur jayez kaam haraam qaraar de diya gaya hai aur jo kaam karne me koi harz nahi tha niyat ki kharaabi se wah harj waala ban gaya hai,


magar niyat se muraad sirf zabaan se "aiy allah! Maine falan niyat ki hai" kah dena kaafi nahi hai aur na hi sirf zehan me rakhne ka naam hai, balki niyat dil ka kaam hai jiske nateeze me sahi mansha hoti hai, aur kaam karne ke sacche iraade ka naam hai jisse allah ki raza matloob ho aur uske ahkaam ka ahkaam par amal ho , musalmaam ka yah aqeeda hai ki acchi niyat se mubaah amal bhi ajar wa sawaab ka sabab hota hai jabki niyat ki kharaabi se wah gunaah ho jaata hai aur insaan saza ka mustahiq banta hai,

haan gunah aur allah taala ki nafarmaani ke kaam kabhi bhi neki nahi ban sakte chahe wah neki ke iraade wa niyat se kiye jaayen, dekhiye ek insaan dusre insaan ka dil khush karne ke liye geebat karta hai, yah allah ki nafarmaani hai ki geebat har haalat me gunah hai, acche iraade se yah neki nahi ban jaayegi, isi tarah ek insaan ne haraam maal se masjid taameer kar di use sawaab nahi milega, ya jihadi muhim me paisa lagane ke iraade se kisi haraam kaam me hissa le ye sab najayaz hai aur allah taala ki khuli nafarmaani hai,

bhale logon ki qabron par unki muhabbat ki wajah se koi insan kubbe taamir karta hai ya unke naam par jaanwar zibah karta hai, unke liye nazar maanta hai to yah gunaah hai, chahe wah apne khayal me Neki ka kaam kar raha ho kyonki niyat se wahi kaam karne waala hai jo mubaah ho aur uske karne ki shariat me izazat ho , haraam kaam kisi bhi tarah bhi mubaah nahi ban sakte....