Thursday, June 30, 2011

GHALTIYON KI ISLAAH KA NABAWI TAREEQA

Bismillahir rahmaniraheem




hz mughira bin shaiba ra se riwayat hai ki jis din janab rasoollullah sws ke farzand hz ibraheem ra ki wafaat hui, us din suraj grahan(solar eclipes) tha, kuch logon ne kaha: yah to ibraheem ra ki wafaat ki wajah se be noor ho gaya hai, is par nabi sws ne farmaya:-" suraj aur chand allah ki nishaanion me se do nishaniyan hain, unhe gahnaya huwa dekho to grahan khatm hone tak allah se duwa aur namaaz me mashgool raho"


(sahih bukhari, kitabul kasoof, baab duwa h1060)



hz abu waaqid laisi ra se riwayat hai ki janab rasoollullah sws jihaad ke liye hunain tashrif le ja rahe they, raaste me aapka guzar mushkireen ke ek ped(tree) ke paas se huwa jo " zaat e anwaat" ke naam se mashoor tha, we log us par (barqat haasil karne ke liye) apne hathyar latkaya karte they, kuch musalmano ne arz kiya: ya rasoollullah sws! Jis tarah uska yah " zaat e anwaat" hai usi tarah hamare liye bhi Koi ped(tree) farma dijiye, nabi akram sws ne farmaya:-

" subhanallah! Yah to aisi hi baat hai jis tarah moosa(as) ki qaum ne kaha tha: jis tarah in logon ke but(idol) hain hamari liye bhi ek but bana dijiye, qasam hai us zaat ki jiske haath me meri jaan hai, tum( musalman) zaroor apne se pahlon( gair muslimon) ke tareeqo par chaloge"


(sunan tirmizi, kitabul fitan , baab maaja h 2180, imam tirmizi aur allama albani ne sahih kaha hai.)( musnad ahmad 5/218)



hz zaid bin khaalid zuhni ra se riwayat hai, unhone farmaya: janab rasoollullah sws ne hudaibiya me hame subah ki namaz padhai, raat ko baarish hui thi, namaz se faarig hokar nabi sws ne sahaba kiram se farmaya: "kya tumhe malum hai ki allah taala ne kya farmaya hai? Sahaba ne arz kiya: allah ko aur uske rasool ko zyada malum hai, nabi sws ne farmaya:

" allah ne farmaya : is subah mera banda mujh par iman laane waala ban gaya, koi kufr karne wala , to jisne yah kaha: hamen allah ke fazl aur uski rahmat se baarish mili hai, wah mujh par imaan rakhne waala hai aur sitaron(stars) ke saath kufr karne waala hai, aur jisne kaha: falan falan sitare ki wajah se baarish hui hai, wah mere saath kufr karne wala aur sitaare par imaan rakhne waala hai"


( sahih bukhari kitabul azaan, baab yas-takablul imam h846)



hz abdullah bin abbas ra se riwayat hai ki ek aadmi ne kaha : aiy allah ke rasool! Jo kuch allah chaahe, aur jo aap chaahe wahi hota hai, nabi sws ne farmaya: "tune mujhe allah ke barabar kar diya? Balki wahi hota hai jo akela allah chaahe,"


(musnad ahmad 1/283)



hz abdullah bin umar ra se riwayat hai ki unhone ek kaafile me hz umar ra ko apne baap ki qasam khaate paaya to janaab rasoollullah sws ne sab logon ko buland aawaz se mukhatib hokar farmaya:-" suno! Allah tumhe apne baapon ki qasme khaane se mana farmata hai, jis qasam khana ho wah Allah ki qasam khaaye, warna khamosh rahe"


( sahih bukhari, kitabul adab baab 74, h6108)



hz abu sureeh haani bin yazid ra se riwayat hai, kuch log nabi akram sws ki khidmat me haazir hue, nabi sws ne dekha ki wah ek aadmi ko abdul hajar( patthar ka ghulam) kahkar bulaate hain, huzoor sws ne usse kaha: "tumhara naam kya hai?" usne kaha: abdul hajar(patthar ka banda), farmaya: "nahi, tu abdullah(allah ka banda) hai


( al adbul mufrad imam bukhari 1/282)