Monday, August 22, 2011

HADH HO GAYI !!! (PART 1)





Bismillahirrahmanirraheem




kitab wa sunnat se muh modne wale sabhi baatil firqe mangadant kisse kahaniyon ka sahara lete hain, taaki we jhooti riwayaton ko apna kar seedhe saadhe logon ke saamne unko daleel ki hasiyat se pesh karke apne baatil aqeedon ko riwaaj se saken...


Saaf si baat hai kitab wa sunnat se to kisi baatil aqeede ki daleel nahi mil sakti, majboor hokar kisse wa kahniyon ki taraf rukh karna padhta hai taaki jab kisi ki taraf se daleel maangi jaaye to jaldi se in kahaniyon ko pesh kar di jaaye jaise aqeeda yah hai ki auliya e kiram apni mureedon ki haajat poori aur mushkile dur kar sakte hain aur iski daleel yah hai ki sheikh jilani rh ne kisi aurat ki fariyad 12 saal baat ek doobi hui kashti ko paida karke usme maujood doobne waale saare logon jo zinda kardiya tha,


aiyen kuch aisi ki kahaniyon ka jaayeza len...


Barelwi hazraat ne bahut si kahaniyon ko sanad ka darja de rakha hai,



Ham unki anginat kahaniyon me se kuch ek ko nakal karte hain, janab barelwi ka aqeeda hai ki buzurgaane deen apne mureedon ki pareshaaniyon ko door karte hain, ghaib ka ilm rakte aur bahut door se apne mureedon ki pukaar sunkar unki fariyaad poori karte hain, we kahte hain

" sayyid musa abu imran rh ka mureed yahan kahin unko pukaarta jawaab dete, jabki saal bhar ki raah par hota ya usse zyada"

( majmua rasail rizwiya 1-182)


" hz muhammad bin fargal farmaya karte they main unme se ek hun jo apni qabron me tasarruf farmate hain jise koi haajat ho mere paas mere chehre ke saamne haazir hokar mujhse apni haajat kahe main poori kar dunga"

( rasail e rizwiya 1-182)


ab in aqeedon ki daleel quran ki koi aayat ya nabi sws ka farman nahi balki ek kahani hai jise janab ahmad raza khan sahab ne apne ek risaale me naqal kiya hai-

likhte hain:-


" ek din hz sayyidi madyan bin ahmad ashmuni ra ne wuzu Farmate waqt ek chappal(footwear) mashriq ki taraf fenki, saal bhar ke baad ek shakhs haazir hue aur wah chappal unke paas thi, unhone haal bataya ki jungle me ek badsoorat ne unki beti par zabardasti karna chahi, ladki ko us waqt apne baap ke peer murshid hz sayyidi madyan ka naam malum na tha usne dua ki " aiy mere baap ke peer murshid ! mujhe bachaiye" yah aawaz sunkar wah chappal aayi, ladki ne najaat paayi, wah chappal unki awlaad me ab tak maujood hai"

( anwarul intebaah 1-182)


isi se milti julti ek aur kahani naqal karte hain


" sayyidi muhammad shamshuddin muhammad hanafi ke ek mureed ko safar ke dauran choron(theives) ne lootna chaha, ek chor uske seene par baith gaya, usne pukaara-" aiy mere aaqa mujhe bachaiyye", itna kahna tha ki ek chappal udti hui aayi aur uski seene par lagi wah behosh hokar ulat gaya"

(anwarul intebah 180)


Ek aur mazedar kahani dekhiye


" ek fakeer bheekh maangne Waala ek dukaan par khada kah raha tha, ek rupiya de wah na deta tha, fakeer ne kaha " rupiya deta hai to de warna teri dukaan ulat dunga, itne me bahut se log jama ho gaye, ittefaq se ek saahibe dil ka guzar huwa jinse sab log motkid they, unhone dukaandaar(shopkeepar) se farmaya- jald rupiya(indian currency) de warna teri dukaan ulat jaayegi, logon ne kaha hazrat ! Yah be sharah jaahil kya kar sakta hai ? Farmaya-" maine is fakeer ke baatin par nazar daali ki kuch hai bhi?? Malum huwa bilkul khaali paaya, iske sheikh ke sheikh ko dekha unko allah walon mese paaya aur dekha ki wah intezar me khade hain ki kab uski zabaan se nikle aur main dukaan ulat dun"


( malfuzaat mujaddid 189)


Andaaza lagaayen ki ek maangne waala jaahil fakeer namaz roze ka taarik beshara nafa wa nuksaan pahunchaane aur tasarrufaat wa ikhtiyaar ka maalik hai, kis tarah ye log jis, ghaleez, napaaki wa paleedi se na aashna Mughallazaat bakne waale, gale me ghungru daale aur maila kuchaila libaas pahne logon ke saamne haath failaaye, pet pooja karne wale jaahil logon ko aam log muqaddas, paak baaz, buzurg aur sab kuch karne waali hastiyan samjhte hain aur deen e islam ki paakiza ilm ko mita rahe hain, yahi we kahaniyan hain jinpar inke mazhab ki buniyad hai